Biography Of Junaid Baghdadi


Hazrat Shaikh Abul Qaasim Junaid al-Baghdadi rahmatullāhi alaihi :

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Sayyed-ut-Taa'ifa, Qutb-ul-Istihqaaq, Sultaan-e-Tareeqat, Shaikh alal-Itlaaq,  Ta'oos-ul-Ulama, Mamba-e-Israar.

Biography Of Junaid Baghdadi


Aap ki wilaadat 218 Hijri (830 A.D.) Baghdad me hui.
Aap ke waalid ka naaam Muhammad bin Junaid al-Khazzaaz al-Nehawandi hai.
Aap ke waalid Zajjaj ya’ni sheesha (aa'ina) bechne wale the.

Biography Of Junaid Baghdadi


7 saal ki umr me Aap apne khaalu Hazrat Sirri al-Saqati rahmatullāhi alaihi ke saath Haram shareef gaye tab 400 ulama jama hokar Shukr ke mauzu par guftago kar rahe the. Har aalim ne baari baari apni baat batai. Aakhir me Hazrat Sirri al-Saqati ne aap ki taraf dekhkar farmaaya “Junaid Tum bhi is ke baare me kuchh batao.” Aap ne kuchh lamho ke liye nazar jhuka li. Phir farmaaya “Shukr yeh hai ke banda ALLĀH ta’ala  ki ata ki hui kisi bhi ne'amat ko ALLĀH ki na-farmaani me ya kisi ko takleef dene me istemaal na kare.”

Yeh sunkar waha maujood tamaam ulama kehne lage “Aye hamari aankho ki thandak, Tum ne jo bhi kaha woh sab sach hai aur tum apne alfaaz me imaandaar ho. Is ke baare me jo tum ne kaha hai hum is se behtar nahi keh sakte.”

Hazrat Sirri al-Saqati ne Aap se puchha “Beta! Aise achhi baat tum ne kaha se sikhi?” Aap ne farmaaya “Yeh sab maine aap ki sohbat ke faiz se sikha hai.”
****************
Apni jawaani me Aap kushti kiya karte the aur baadshaah ke khaas pehalwaan me se ek the.
Shaher e Baghdad me ek aale rasool saadaat rehte the. Un ke haalaat aise the ke khaane aur pehanne ke liye bhi saamaan nahi tha. 

Wo baadshaah ke paas aaye aur un se kaha ke ‘Main aap ke pehlwaan se kushti ladna chaahta hu.’ Baadshaah ne socha ke Ye shakhs dubla patla hai kaise kushti ladega.
 Lekin jab sayyedzaade ne zor dekar kaha ke “Main aap ke sab se achhe pehlwaan se kushti ladna chaahta hu.” Tab baadhshaah ne Hazrate Junaid Baghdadi ko bulaaya aur in se kushti ladne ke kaha.

Baghdad shaher ke saare log kushti dekhne ke liye jama ho gaye. Jab pehlwaan Junaid Baghdadi aur Sayyedzaada dono maidaan me aa gaye tab Sayyedzade ne Juned ko dhire se kaha ke “Main aale rasool hu aur bahot ghareeb hu aur mere gharwale bahot takleef me hain. 
Agar aaj aap mujhe kushti  me jitne de to mumkin hai ke baadshaah mujhe kuchh in’aam  de jis se main apna guzraan kar sakun.”

Jab dono ke bich kushti shuru hui to thodi hi der me sayyedzaade ne Junaid Baghdadi ko pachhad diya. Sab log hairaan hue. Phir se kushti shuru hui to phir se us hazrat ne Junaid Baghdadi ko pachhad diya aur teesri baar bhi aisa hi hua.

Baadshaah ne sayyedzaade ko in’aam me bahot maal diya aur wo khush hokar apne ghar aaye.
Us raat Hazrat Junaid Baghdadi ke qismat jaagi aur Khwaab me Huzoor Rehmate aalam pyare
Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye aur farmaaya ke “Aye Junaid  tum ne
meri aal ki madad ki hai aur main tum se bahot khush hu aur Rab ta’ala ne tumhe wilaayat ata farmai hai.”
Jab aankh khuli to aap baadshaah ke paas gaye aur sab qissa sunaaya aur waha se rukhsat ho gaye aur puri zindagi ALLĀH aur us ke Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ki ita’at me guzaari.

Biography Of Junaid Baghdadi


Aap ne Hazrat Abu Ali Soori rahmatullāhi alaihi se Fiq'h ki ta’aleem haasil ki (jo Imaam Shafi'i ke shaagird hain) aur 20 saal ki umr me Fatawa dena shuru kiya.

Junaid Baghdadi ne Hazrat Shaikh Sirri al-Saqati rahmatullāhi alaihi se Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
****************
Is ke baad Aap ne apne waalid ka sheeshe (aa'ina) ka kaarobaar shuru kiya. Aap roz pehle 400 rak’at nafl namaaz padhte phir dukaan me aakar kaarobaar shuru karte.
****************
Kuchh saal baad aap ne apna kaarobaar chhod diya. Aur apne peer Hazrat Sirri al-Saqati rahmatullāhi alaihi ke makaan me ek kamre me rehne lage. Aap zyada waqt Peer ki khidmat me aur ibaadat, riyaazat aur muraaqaba me guzaarte.
Aap Taqwa aur Ibaadat me bemiṡaal the.
Aap hamesha Sunnat e Rasool par amal karte aur shariat ki paabandi karte.

Puri raat aap ibaadat e ilāhi me guzaarte. 30 saal tak Aap ne isha ke wuzu se fajr ki namaaz ada ki.
20 saal tak Aap namaaz me Takbeer e ula ke saath shareek hue.

Agar namaaz me aap ko dunya ki isi cheez ka khayaal aata to aap namaaz ko dohra lete. Agar namaaz me Jannat ka khayaal aata to aap sajda e sahaw karte.
Aap akṡar roza rakha karte the.
****************
Ek baar ek majoosi andar zanaar (dhaaga) pehankar aur upar islaami libaas pehankar aap ke paas aaya aur kaha 
“Huzoor! Main aap ke paas is hadeeṡ ka mafhoom jaanne ke liye aaya hu - Itaqu bi firaasatil mo’min fa innahu yanzuroo bi Noorillaahi (ya’ani Kaamil Mo’min ki firaasat se daro beshak woh ALLĀH ke noor  se dekhta hai.)” Aap ne farmaaya “Is ka matlab jaanne se pehle tum zanaar nikaal do aur kufr ko chhodkar Islaam ko apna lo.”

Yeh sunkar majoosi ko ta’ajjub hua aur woh foran kalma padhkar musalman ho gaya.
****************
Aap ke bahot saare mureedo me ek mureed aap ka khaas aur pasandeeda tha. Dusre mureedo ne is par aitraaz kiya. 

Aap ne farmaaya ke “Wo tum sab me zyada ilm waala aur daana hai. Is liye main us par khaas tawajjoh deta hu.” Phir aap ne farmaaya “Main is baat ka ṡaboot pesh karta hu.” Aap ne sab ko ek ek murgi aur chhoori dekar farmaaya “Ise aisi jagah le jaakar zubah karo jaha par koi dekh na raha ho.”

Sab mureed tanhai me jaakar murgi ko zubah karke aaye. Aakhir me woh mureed zinda murgi ko lekar waapas aaya. Aap ne us se puchha “Tum ne murgi ko zubah kyun nahi kiya?” Us ne arz kiya ‘Huzoor! Main jaha bhi bhi gaya maine ALLĀH ki qudrat ko maujood paaya aur main jaanta hu ke woh kaainaat ki har cheez ko dekh raha hai. Is liye mere paas koi raasta nahi the aur main ise zubah nahi kar saka.”

Aap ne tamaam mureedo se farmaaya “Aap sab ne is ka jawaab sun liya. Yehi wajah hai ke yeh mera khaas aur pasandeeda hai.”
****************
Ek martaba ek Ameer Shakhs ne aap ko 500 deenaar nazr pesh ki. Aap ne farmaaya “In 500 deenaaro ke siwa tumhare paas aur bhi kuchh hai?” 

Us ne kaha “Bahot kuchh hai.” Aap ne farmaaya ke “Bahot kuchh ke hote hue tujhe kuchh aur ki khwaahish hai?” Us ne kaha “Haan hai.”
Aap ne farmaaya “In deenaaro ko tum hi le jaao. Kyun ki mujh se zyada to tu is ka mustahiq hai. 

Is liye ke mere paas kuchh nahi aur kuchh bhi haajat nahi aur tere paas bahot kuchh hai aur phir bhi tujhe aur kuchh ki haajat hai. Goya asl me Mohtaaj tum ho na ke main.”
****************
Aap ne ‘Fana fillāh’ ki haqeeqat samjhai.

Aqbaal Junaid Baghdadi

Aap irshaad farmaate hain

(1) Qalb ko dunyaawi khwaahishaat se paak saaf karne ka naam hi Tasawwuf hai. Aur ALLĀH ki mohabbat me hamesha nafs ki khwaahishaat ko mukhaalifat karna Fana fillāh hai. Yeh Zohad se shuru hokar Ibaadat aur Zikr ki kaṡrat, aur Ikhlaas ke zariye Muraaqaba par mukammal hota hai.

(2) Nafs ki taabedaari barbaadi ki bunyaad hai.

(3) Jo aankh ALLĀH ta’ala ki qudrat wa khalqat ka nazaazra dekhkar naseehat haasil na kare us se na-bina hona behtar hai;
Jis kaan ko haq baat sunne ki aadat nahi us se behra hona behtar hai;
Jis zabaan ko zikr e ilaahi ki aadat nahi us se gunga hona behtar hai;
Aur jis jism ALLĀH ki ibaadat karne ki aadaat nahi us se maut aa jaana behtar hai.

(4) Jo apne Qalb ki hifaazat karta hai us ne Deen ki hifaazat ki.

(5) Dunya ko tark karne se aur khalwat apnaane se Eimaan mehfooz rehta hai, badan tandurast rehta hai aur dil khush rehta hai.
****************
Aap Hazrat Shaikh Sirri al-Saqati rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘Junaidi’ silsila jaari hai.

khulfa Junaid Baghdadi

(1) Hazrat Shaikh Abu Bakr Shibli rahmatullāhi alaihi;
(2) Hazrat Shaikh Abu Ali Ahmad Rudbari rahmatullāhi alaihi;
(3) Hazrat Shaikh Mansoor Abraar rahmatullāhi alaihi;
(4) Hazrat Shaah Muhammad bin Aswad Dinawari rahmatullāhi alaihi;
(5) Hazrat Shaah Ismāeel-al-Azeez rahmatullāhi alaihi;
(6) Hazrat Khwaja Mumshaad Dinawari rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Shaikh Abu Muhammad Amwiya rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Khwaja Muhammad Rumi rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ‘Sayyed-ut-Taa'ifa’ hain.
Maujooda tamaam Salaasil me Aap ka faiz jaari hai.
****************
Jab Aap ka wisaal ka waqt qareeb tha tab Aap ne apne shaagirdo ko wuzu karaane ke liye farmaaya. 

Wuzu karaane me wo log daadhi me khilaal karaana bhul gaye to Aap ne unhe yaad karaaya. Phir Aap sajde me gaye aur rone lage. Logo ne Aap se arz kiya “Aap to ibaadat guzaar hain phir aap itna kyun ro rahe hain?” Aap ne farmaaya “Junaid Baghdadi" ko is se zyada is ki zaroorat kabhi pesh nahi aai.” Phir Aap ne tilaawat e Qur’an shuru kiya. Logo ne Aap se puchha 
“Hazrat aap ne Qur’an majeed ki tilaawat kyun shuru ki?” 

Aap ne farmaaya “Is ke baad mera naam e aamaal band hone waala hai. Main dekh raha hu ke mera aamaal naama ek baarik dhaage me baandhkar latkaaya gaya hai aur hawa chal rahi hai. M

nahi jaanta ke yeh hawa wisaal ki hai ya maghfirat ki hai. Main apni ek jaanib malik-ul-maut ko dekh raha hu aur ek jaanib pul siraat ko dekh raha hu.”
Aap ne pura Qur’an majeed mukammal karne ke baad Surah Baqarah ki 70 aayaten tilawaat ki.
Is ke baad Aap ne apni ungliyo par tasbeeh padhna shuru kiya. 

Jab Aap Shahaadat ki ungli par pahunche tab Aap ne ungli ko aasmaan ki taraf uthaaya aur “Bismillāhir Rahmānir Raheem” padha. Phir apni aankhen band kar li aur intiqaal farmaaya.

Junaid Baghdadi ka wisaal 27 Rajab 298 Hijri (910 A.D.) ko  Jum’aa ke roz hua.
Aap ka mazaar Shaunizia, Baghdad (Iraq) me hai.
****************

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Junaid al-Baghdadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments