Hazrate Sayyeda Fatima Zahra RadiAllāhu ta’ala anha

Hazrate Sayyeda Faatima Zahra RadiAllāhu ta’ala anha

Hazrate Sayyeda Fatima Zahra RadiAllāhu ta’ala anha


*खातूने जन्नत हज़रत फातिमा ज़ुहरा रज़ियल्लाहु तआला अन्हा*
ⓩ आलाहज़रत अज़ीमुल बरकत मुजद्दिदे दीनो मिल्लत इमाम इश्को मुहब्बत सय्यदना इमाम अहमद रज़ा खान रज़ियल्लाहु तआला अन्हु जिनकी शाने अक़्दस में फरमाते हैं*

*उस बुतूले जिगर पार-ए मुस्तफा*
**मजला आरा-ए इफ्फत पे लाखों सलाम*

*जिसका आंचल ना देखा मा ओ महर ने*
**उस रिदाए नज़ाहत पे लाखों सलाम*

*सय्यदा ज़ाहिरा तय्यबा ताहिरा*
**जाने अहमद की राहत पे लाखों सलाम*

नाम ----- हज़रत फातिमा ज़ुहरा रज़ियल्लाहु तआला अन्हा

लक़ब ---- ज़ुहरा व बुतूल

वालिद --- रसूल अल्लाह सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम

वालिदा -- हज़रत खदीजा रज़ियल्लाहु तआला अन्हा

विलादत - ऐलाने नुबुव्वत से 1 साल क़ब्ल

शौहर  --- मौला अली रज़ियल्लाहु तआला अन्हु

निकाह --- 17 रजब,पीर,2 हिजरी

औलाद --- (6) हज़रत इमाम हसन,हज़रत इमाम हुसैन,हज़रत मोहसिन,हज़रत ज़ैनब,हज़रत कुलसुम,हज़रत रुक़य्या रिज़वानुल्लाहि तआला अलैहिम अजमईन

विसाल --- 3 रमज़ान,मंगल,11 हिजरी

*ⓩ आप रज़ियल्लाहु तआला अन्हा के फज़ाइलो मनाक़िब बेशुमार हैं तहरीर में नहीं आ सकते मगर हुसूले बरकत के लिए चन्द का ज़िक्र करता हूँ*
* आप नबीये पाक की सबसे छोटी साहबज़ादी हैं,नबीये पाक सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम को आपसे बेहद्द मुहब्बत थी,आपके आने पर नबी करीम सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम फौरन खड़े हो जाते आपकी पेशानी चूमकर अपनी मसनद पर बिठाते
* उम्मुल मोमेनीन सय्यदना आईशा सिद्दीक़ा रज़ियल्लाहु तआला अन्हा फरमाती हैं कि मैंने उठने बैठने चाल ढाल और बर्ताव में फातिमा से बढ़कर हुज़ूर के मुशाबह किसी को नहीं देखा
* मशहूर है कि आप की रूह क़ब्ज़ करने के लिए हज़रत इस्राईल अलैहिस्सलाम नहीं आये बल्कि खुद रब्बे ज़ुलजलाल के हुक्म से आपकी रूह क़ब्ज़ हुई
* आप रज़ियल्लाहु तआला अन्हा कभी नमाज़ के क़याम में ही होतीं और रात गुज़र जाती कभी रुकू में और कभी एक ही सजदे में सारी रात निकल जाती आप रज़ियल्लाहु तआला अन्हा फरमाती हैं ऐ मौला तूने कैसे छोटी छोटी रातें बनायीं है कि फातिमा दिल खोलकर इबादत भी नहीं कर पाती
* आप एक ही वक़्त में हाथों से आता गूंधतीं ज़बान से क़ुरआन पढ़तीं दिल में उसकी तफसीर करतीं पैरों से हसनैन का झूला झूलातीं और आंखों से खुदा की याद में रोतीं
📕 मदारेजुन नुबुव्वत,जिल्द 2,सफह 127-787-788
📕 सच्ची हिक़ायत,सफह 325
📕 ज़रक़ानी,जिल्द 3,सफह 200
📕 शरह सलामे रज़ा,सफह 459

* हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि फातिमा मेरे गोश्त का एक टुकड़ा है तो जिसने उसे नाराज़ किया उसने मुझे नाराज़ किया और जिसने उसे तकलीफ दी उसने मुझे तकलीफ दी (इसी लिए आपके निकाह में रहते हुए हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम ने मौला अली पर दूसरा निकाह हराम फरमा दिया था)
📕 मिश्कात,सफह 568

* जिस तरह हज़रत इमाम हसन रज़ियल्लाहु तआला अन्हु व हज़रत इमाम हुसैन रज़ियल्लाहु तआला अन्हु जन्नती जवानों के सरदार हैं उसी तरह हज़रते फातिमा रज़ियल्लाहु तआला अन्हा तमाम जन्नती खवातीनों की सरदार हैं
📕 बुखारी,जिल्द 1,सफह 532

* एक मर्तबा मौला अली रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ने हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम से पूछा कि आप किसको ज़्यादा महबूब रखते हैं मुझे या फातिमा को तो आप सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम फरमाते हैं कि बेशक फातिमा मुझे तुमसे ज़्यादा महबूब है और तुम मेरे नज़दीक उनसे ज़्यादा इज़्ज़त वाले हो
📕 अशरफुल मोअब्बद,सफह 53

* आप इंसानी शक्ल में हूर थीं इसी लिए आपको कभी हैज़ नहीं आया और बच्चा होने के बाद फौरन आप निफास से पाक हो जाती थीं इसी लिए आपका लक़ब ज़ुहरा हुआ
📕 बरकाते आले रसूल,सफह 123

* आपके विसाल से पहले आपने हज़रत अस्मा बिन्त क़ैस जो कि हज़रत अबु बक्र सिद्दीक़ रज़ियल्लाहु तआला अन्हु की बीवी हैं उनसे फरमाया कि मर्दों की तरह औरतों का जनाज़ा ले जाना मुझे पसंद नहीं,तो आपके लिए एक लकड़ी का गहवारा बनाया गया और उस पर पर्दा डालकर आपको दिखाया गया जिसे देखकर आप बहुत खुश हुईं
📕 खुत्बाते मुहर्रम,सफह 305

*ⓩ जो लोग हज़रत अबु बक्र सिद्दीक़ व हज़रत उमर फारूक़े आज़म रिज़वानुल्लाहि तआला अलैहिम अजमईन पर ये ऐतराज़ करते हैं कि उन्होंने मौला अली की खिलाफत ग़सब कर ली और अहले बैते अतहार को सताया मआज़ अल्लाह,उन्हें जानना चाहिए कि खुद मौला अली रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ने अपनी एक बेटी हज़रत कुलसुम का निकाह हज़रते उमर फारूक़े आज़म रज़ियल्लाहु तआला अन्हु से किया,क्या दुनिया का कोई बाप अपने दुश्मन से अपनी बेटी का निकाह करेगा हरगिज़ नहीं तो मानना पड़ेगा कि उनके दर्मियान कभी कोई ना इत्तेफाक़ी नहीं रही*
*-------------------
*हज़रत ख्वाजा सिरी सकती रज़ियल्लाहु तआला अन्हु*
नाम ----- सिरुद्दीन,अबुल हसन

वालिद --- हज़रत मुग़लिज़

विलादत - ग़ालिबन 152 हिजरी

विसाल --- 3 रमज़ान 250 हिजरी

* आप रज़ियल्लाहु तआला अन्हु आलाहज़रत अज़ीमुल बरक़त के सिलसिले के मशायखे किराम है
* आप हज़रत मारूफ कर्खी रज़ियल्लाहु तआला अन्हु के मुरीदे खास है
* हज़रत जुनैद बगदादी रज़ियल्लाहु तआला अन्हु आपके भांजे व मुरीद है
* आपसे किसी ने पूछा कि क्या किसी मुरीद का मरतबा अपने पीर से बढ़ सकता है इस पर आपने फरमाया कि किसी और कि क्या पूछते हो खुद मेरे मुरीद जुनैद का मरतबा मुझसे कहीं आगे बढ़ चुका है
* इबादत का ये हाल था कि 98 बरस तक सिवाये बीमारी के आप कभी ज़मीन पर लेटे ही नहीं और रोज़ाना 1000 रकात नमाज़ पढ़ते
* एक मर्तबा आपने एक शराबी को देखा जो कि उसी मदहोशी की हालत में अल्लाह अल्लाह कर रहा था तो आपने उसके पास जाकर उसका मुँह धोया कि जिस का नाम वो ले रहा है तो कम से कम मुंह तो साफ कर ही ले और फिर आप चले गए,जब वो होश में आया तो लोगों ने उसे बताया कि हज़रत सिरी सकती ने तेरा मुँह धोया है ये सुनकर वो रोने लगा और अपने नफ़्स पर बहुत शर्मिंदा हुआ उसी रात हज़रत सिरी सकती ने ग़ैब से निदा सुनी कि तूने हमारे लिए उसका मुंह धोकर साफ किया हमने तेरे लिए उसका दिल धोकर साफ कर दिया,जब हज़रत रात को मसजिद पहुंचे तो उसे भी वहीं तहज्जुद पढ़ते हुए पाया
* आपकी मज़ार शरीफ शवनीज़ बग़दाद में है
📕 महफिले औलिया,सफह 109
📕 द चेन ऑफ लाइट,सफह 157

Hazrate Sayyeda Fatima Zahra RadiAllāhu ta’ala anha

*Khatune Jannat Hazrat Fatima Zuhra Raziyallahu Taala Anha*
**
**Ⓩ Aalahazrat Azimul Barkat Mujaddide Deeno Millat Imaam Ishqo Muhabbat Sayyadna Imaam Ahmad Raza Khan Jinki Shaane Aqdas Me Farmate Hain Ki
*Us Butule Jigar Paara-e Mustafa*
*****Majla Aara-e Iffat Pe Laakhon Salaam*

*Jiska Aanchal Na Dekha Ma O Mahar Ne*
*****Us Ridaye Nazahat Pe Lakhon Salaam*

*Sayyada Zaahira Tayyaba Taahira*
*****Jaane Ahmad Ki Raahat Pe Lakhon Salaam*

Naam ------- Hazrat Fatima Zuhra Raziyallahu Taala Anha

Laqab ------ Zuhra,Butool

Waalid ------rasool Allah Sallallahu Taala Alaihi Wasallam

Walida ----- Hazrat Khadija Raziyallahu Taala Anha

Wiladat ---- Elane Nubuwat Se 1 Saal Qabl

Shauhar  --- Maula Ali Raziyallahu Taala Anhu

Nikah --------- 17 Pajab,Peer,2 Hijri

Aulaad ------ (6) Hazrat Imaam Hasan,Hazrat Imaam Husain,Hazrat Mohsin,Hazrat Zainab,Hazrat Kulsum,Hazrat Rukayya Rizwanullahi Taala Alaihim Ajmayeen

Wisaal -------- 3 Ramzan,Mangal,11 Hijri

*Ⓩ Aap Raziyallahu Taala Anha Ke Fazaylo Manaqib Beshumar Hain Tahreer Me Nahin Aa Sakte Magar Husule Barkat Ke Liye Chund Ka Zikr Karta Hoon*
**
*** Aap Nabiye Paak Ki Sabse Chhoti Sahab Zaadi Hain,Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ko Aapse Behad Muhabbat Thi,Aapke Aane Par Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Fauran Khade Ho Jaate Aapki Peshani Choomkar Apni Masnad Par Bithate

* Ummul Momeneen Sayyadna Aisha Siddiqa Raziyallahu Taala Anha Farmati Hain Ki Maine Uthne Baithne Chaal Dhaal Aur Bartaav Me Fatima Se Badhkar Kisi Ko Huzoor Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ke Mushabah Na Dekha
* *
* * * Mashhoor Hai Ki Aapki Rooh Qabz Karne Ke Liye Hazrat Israyeel Alaihissalam Nahin Aaye Balki Khud Rabbe Zuljalaal Ke Hukm Se Aapki Rooh Qabz Ho Gayi

* Aap Kabhi Namaz Ke Qayaam Me Hoti Aur Raat Guzar Jaati To Kabhi Ruku Me Aur Kabhi Ek Hi Sajde Me Poori Raat Nikal Aati,Aap Farmati Hain Ki Ai Maula Tune Kaise Chhoti Chhoti Raatein Banayi Hain Ki Fatima Dil Kholkar Teri Ibaadat Bhi Nahin Kar Paati
* *
* * * Aap Ek Hi Waqt Me Haathon Se Aata Goondhti Zabaan Se Quraan Padhti Dil Me Uski Tafseer Karti Pairon Se Hasnain Ka Jhoola Jhulati Aur Aankhon Se Khuda Ki Yaad Me Roya Kartin
📕 Madarejun Nubuwat,Jild 2,Safah 127-787-788
📕 Sachchi Hikayat,Safah 325
📕 Zarkani,Jild 3,Safah 200
📕 Sharah Salame Raza,Safah 459

* Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Irshaad Farmate Hain Ki Fatima Mere Gosht Ka Ek Tukda Hai To Jisne Use Naaraz Kiya Usne Mujhe Naaraz Kiya Aur Jisne Use Taqleef Di Usne Mujhe Taqleef Din (Isi Liye Aapke Nikah Me Rahte Hue Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ne Maula Ali Par Doosra Nikah Haraam Farma Diya Tha)
* * * 📕 Mishkat,Safah 568

* Jis Tarah Hasnain Karimain Rizwanullahi Taala Alaihim Ajmayeen Jannati Jawano Ke Sardar Hain Usi Tarah Hazrate Fatima Raziyallahu Taala Anha Jannati Aurton Ki Sardaar Hain
* * * 📕 Bukhari,Jild 1,Safah 532

* Ek Martaba Maula Ali Raziyallahu Taala Anhu Ne Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Se Poochha Ki Aap Kisko Zyada Mahboob Rakhte Hain Mujhe Ya Fatima Ko To Aap Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Farmate Hain Ki Beshak Fatima Mujhe Tumse Zyada Mahboob Hai Aur Tum Mere Nazdeek Unse Zyada Izzat Waale Ho
* * * 📕 Ashraful Moabbad,Safah 53

* Aap Insani Shakl Me Hoor Thin Isi Liye Aapko Kabhi Haiz Nahin Aaya Aur Bachcha Hone Ke Baad Fauran Aap Nifaas Se Paak Ho Jaati Thin Isi Liye Aapka Laqab Zuhra Hua
* * * 📕 Barkaate Aale Rasool,Safah 123

* Aapke Wisaal Se Pahle Aapne Hazrat Asma Bint Qais Jo Ki Hazrat Abu Bakr Siddiq Raziyallahu Taala Anhu Ki Biwi Hain Unse Farmaya Ki Is Tarah Mardon Ki Tarah Aurton Ka Janaza Le Jaana Mujhe Pasand Nahin,To Aapke Liye Ek Lakdi Ka Gahwara Banaya Gaya Aur Uspar Parda Daalkar Aapko Dokhaya Gaya Jise Dekhkar Aap Bahut Khush Huyin
* * * 📕 Khutbate Muharram,Safah 305

*Ⓩ Jo Log Hazrat Abu Bakr Siddiq Wa Hazrat Umar Farooqe Aazam Rizwanullahi Taala Alaihim Ajmayeen Par Ye Aitraaz Karte Hain Ki Unhone Maula Ali Ki Khilafat Gasab Kar Li Aur Ahle Baite Athaar Ko Sataya Maaz Allah,Unhein Jaanna Chahiye Ki Khud Maula Ali Raziyallahu Taala Anhu Ne Apni Ek Beti Hazrat Kulsum Ka Nikah Hazrate Umar Farooqe Aazam Raziyallahu Taala Anhu Se Kiya,Kya Duniya Ka Koi Baap Apne Dushman Se Apni Beti Ka Nikah Karega Hargiz Nahin To Mannna Padega Ki Unke Darmiyan Kabhi Koi Na Ittefaqi Nahin Rahi*
****-------------------

*Hazrat Khwaja Siri Sakti Raziyallahu Taala Anhu*
***Naam ----- Siruddin,Abul Hasan
Waalid --- Hazrat Mughliz

Wiladat - Galiban 152 Hijri

Wisaal --- 3 Ramzan 250 Hijri

* Aap Raziyallahu Taala Anhu Aalahazrat Azimul Barkat Ke Silsile Ke Mashayakhe Kiram Me Se Hain
* *
* * * Aap Hazrat Maroof Karkhi Raziyallahu Taala Anhu Ke Mureede Khaas Hain
* Hazrat Junaid Baghdadi Raziyallahu Taala Anhu Aapke Bhaanje Wa Mureed Hain
* * * * Aapse Kisi Ne Poochha Ki Kya Kisi Mureed Ka Martaba Apne Peer Se Badh Sakta Hai To Aap Farmate Hain Ki Kisi Aur Ki Kya Poochhte Ho Khud Mere Mureed Junaid Ka Martaba Mujhse Kahin Aage Badh Chuka Hai

* Ibaadat Ka Ye Haal Tha Ki 98 Baras Tak Aap Siwaye Bimari Ke Kabhi Zameen Par Nahin Lete Aur Rozana 1000 Rakat Namaz Padhte
* * * * Ek Martaba Aapne Ek Sharabi Ko Dekha Jo Ki Usi Madhoshi Ki Haalat Me Allah Allah Kar Raha Tha To Aapne Uske Paas Jaakar Uska Munh Dhoya Ki Jis Ka Naam Wo Le Raha Hai Ki To Kam Se Kam Munh To Saaf Kar Hi Le Aur Phir Aap Chale Gaye,Jab Wo Hosh Me Aaya To Logon Ne Use Bataya Ki Hazrat Siri Sakti Ne Tera Munh Dhoya Hai Ye Sunkar Wo Rone Laga Aur Apne Nafs Par Bahut Sharminda Hua Usi Raat Hazrat Siri Sakti Ne Gaib Se Nida Suni Ki Tune Hamare Liye Uska Munh Dhokar Saaf Kiya Humne Tere Liye Uska Dil Dhokar Saaf Kar Diya,Jab Hazrat Raat Ko Masjid Pahunche To Use Bhi Wahin Tahajjud Padhte Hue Paaya
* Aapki Mazaar Sharif Shawneez Baghdaad Me Hai
* * * * 📕 Mahfile Auliya,Safah 109
* 📕 The Chain Of Light,Safah 157