Eid-e-Meelaad-un-Nabi sallallāhu alaihi wa sallam ka bayaan

Eid-e-Meelaad-un-Nabi


Eid-e-Meelaad-un-Nabi sallallāhu alaihi wa sallam ka bayaan 



Nisaar teri chahel pahel par hazaaro eiden Rabi ul awwal,
Siwa e Iblees ke sabhi to khushiyan mana rahe hain.

******************

Iblees 4 martaba sab se zyada roya hai :


(1) Jab us par la’anat bheji gai.
(2) Jab use (aasmaan se nikalkar) zameen par bheja gaya.
(3) Jab Huzoor Rasool-Allāh Sarwar e Kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ki wilaadat  (be'asat) hui.
(4) Jab Surah al-Faatiha naazil hui.

(Al-Bidaayah wal Nihaayah, Jild -2, Safa -166)

************
Qur’an :
93 Surah ad-Duha, Aayat 11 :

Aur apne Rab ki ne'amato ka khoob tazkeera karo.

Qur’an :
3 Surah Aale Imraan, Aayat 164 :

Beshak ALLĀH ne musalmano par bada ehsaan farmaaya ke un me unhi me se (azmat waala) Rasool bheja jo un par us ki aayate padhta aur unhe paak karta hai aur unhe kitaab wa hikmat ki ta’aleem deta hai agarche wo log us se pehle khuli gumraahi me the.

Hadeeṡe Qudsi :
Laulak lama khalaqtul ardi wal aflak.

ALLĀH ta’ala farmaata hai :
Aye mehboob agar tujhe paida karna maqsood na hota to main zameen aur aasmaano ko paida na karta.

(Firdaus-ul-akhbaar, Jild -2, Safa -45, Hadeeṡ -8095)

**********************
ALLĀH ta’ala ki tamaam ne'amato me behtareen ne'amat us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam hain.
Aap Rab ta’ala ki Ne'amat e kubra aur ehsaan e azeem hain.

Hamare Nabi sallallāhu alaihi wa sallam ka martaba itna aa’la aur afzal hai ke ALLĀH ta’ala ne sab se pehle Noor e Mustafa ko banaaya aur puri kaa'inat ko un ke liye hi banaaya.
ALLĀH ta’ala ne Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko sab se pehle banaaya aur dunya me tamam ambiya ke baad Khaatim-ul-Ambiya banaakar bheja. Is tarah Aap sallallāhu alaihi wa sallam takhleeq me sab se Awwal aur Be'asat (Zahoor) me sab (ambiya) se Aakhir hain.

ALLĀH ta’ala ne aap ke waseele se sab ko Hidaayat ata farmai, Aap ne ilm o hikmat se jahaalat ka andhera door kiya, Aap ne aadami ko insaan banaaya, Aap ne deen e Islaam dekar zindagi jine ka sahi aur khubsurat tareeqa sikhaya, Aap ne ibaadat ka aur Rab ko raazi karne ka tareeqa sikhaaya, Aap ne dunya aur aakhirat me bhalaai aur kaamyaabi ka raasta sikhaaya.

Aur beshak hum khushnaseeb hain ke hame ALLĀH ne us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ka ummati banaaya jis ne har haal me Wilaadat par, Makka me, Madeena me, Me'araaj me, Gaar me, Hajj me, Umrah me hum gunaahgaar ummatiyo ko yaad kiya aur har zulm sehkar hamare liye khuda se dua ki ‘Rabbi habli ummati’.

Aap ke sadqe me ALLĀH ta’ala hamari duao ko qubool karta hai aur hume sab ne'amaten ata karta hai.

Aap roze mehshar me ummatiyo ki shafa’at karke jahannam ki aag aur azaab se bachaayenge.

Is liye Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke ehsaano ko yaad karke Yaum e Meelaad-un-Nabi ke mauqe par khushiya manaani chaahiye.

Yun to pura saal hame Sarware Kaunain Pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ke ehsaano ko yaad karna chaahiye aur Aap ki wilaadat aur Hayaat e tayyabah ka aur aap ke kamaalat aur moazeezaat ka zikr karte rehna chaahiye. Magar Yaum e Milaad-un-Nabi ke mubarak mauqe par ALLĀH ki is azeem ne'amat ka khaas kasrat se zikr karna chaahiye.

***************
Eid-e-Meelaad-un-Nabi sallallāhu alaihi wa sallam manaana jaa'iz hai aur baa'iṡ e rahmat aur barkat hai :



************

Eid-e-Meelaad-un-Nabi sallallāhu alaihi wa sallam manaane ka sahi tareeqa :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 208 :

Aye Eimaan waalo, Islaam me pure daakhil ho jaao.

Aashiqaan e Rasool ko chaahiye ke Eid-e-Meelaad-un-Nabi ko Islaami tareeqe se manaaye aur aise amal karen jis se Islaam aur Musalmano ko aur izzat mile.

Eid-e-Meelaad-un-Nabi ko Subah Saadiq ke waqt khaas Salaat o Salaam pesh karen aur Dua e khair karen.
Fajr ki namaaz ada karne ke baad bhi Dua e khair karen.

Ghusl karen, Miswaak karen, Khushbu lagaayen, Surma lagayen, Achhe kapde pehnen.
Achha khaana khaas kar meetha pakakar khud bhi khaayen aur azeezo, rishtedaaro aur padosiyo ko hadiya bhejen aur ghareebo ko bhi den.

Mehfil e Meelaad me aur Juloos me ikhlaas, adab o ehtaraam aur khushi ke saath saamil ho aur Raza e ilāhi aur Izhaar e ishq e Rasool ki nek niyyat rakhen.
Hattal imkaan Ba-wuzu rahen.
Har fuzool baat aur amal se bachen.
Juloos me Zikr e Ilāhi aur Hamd e Baari ta’ala, Naate Rasool aur Manqabat padhte rahen.
Kaṡrat se Durood o Salaam padhte rahen.
Tilaawat e Qur’an karen.
Kaṡrat se Astaghfaar karen.

Nafl Namaaz padhen.
Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaayen.
Nafl namaaz ka pura ṡawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.

5 waqt ki Qaza namaaz me Rak'at ki ta’adaad :
Fajr 2, Zohar 4, Asr 4, Maghrib 3, Isha 4, Witr 3.

Husne akhlaaq ka bentareen muzaahira karen taake Islaam aur musalmano ki shaan buland ho.

Sadqa- Khairaat zyada karen.
Ghareebo, Mohtaajo ki imdaad karen.
Beemaar aur kamzor ki khidmat karen.
Saadaat ki khidmat karen.
Taalibaan e ilm ko madad karen.
Buzurgo ko isaal e ṡawaab karte rahen.

Apne gharo aur mohallo ko khub sajaayen aur Roshni karen.
Magar aam raasto par ya choraaho par is tarah sajaawat na karen ki waha se guzarne walo ko takleef ho.

Najam ki CD/DVD bajaate waqt ye khayaal rakhen ki itni buland aawaaz na ho ki is ki wajah se mareezo, jaeefo, buzurgo aur chhote bacho ko takleef ho aur Azaan aur Namaaz ke awqaat ka bhi khayaal rakhen.

Islaam me Naachna aur Gaana-bajaana haraam hai, Chunaanche Juloos e meelaad me in baato se bachen.
Aatishbaazi na karen ke ye Fuzool-kharchi aur gunaah hai.

Juloos me paan, maava, tambaku khaane se ya bidi, cigarate pine se parhez karen.

Aurto ko be-parda nikalna ya mardo ke bich me aana mana hai. Is liye Juloose milaad dekhne ke liye aurto ko apne gharo se baahar nahi nikalna chahiye.

Azaan aur Namaaz ke awqaat ka khaas khayaal rakhen.
Azaan ka ehtaraam karen aur azaan sunkar us ka jawaab den.
Juloos ke daurazn bhi masjid me ba-jama’at namaaz ada karen.
Aur namaaz ke baad ALLĀH ta’ala se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se sab ke liye Dua e khair karen.

Tabarrukaat ki ziyaarat karen.
Auliya Allāh ki ziyarat ke liye jaayen.
Qabrastan jaayen aur isaal e ṡawaab aur Dua e maghfirat karen.

Sahi ilm e deen sikhen aur dusro ko sikhayen.
Taake sahi aqeede ke saath nek amal kar saken.
Sunnato ko apnayen.
Har gunaah se bachne ki koshish karen.

Sab ke liye Hidaayat ki aur Sahi aqeede ke saath sahi nek amal karne ki taufiq ki dua karen.
Khaatma bil khair ki aur Maut ki, Qabr ki aur Qayaamat ki pareshaaniyo se hifazat ki aur maghfirat aur najaat ki dua karen.

************

Eid e Meelaad-un-Nabi ki Nafl Ibaadat :


(1) Rabi ul awwal mubarak ki 12wi tareekh ko
(Tulu aaftaab ke 20 minute baad) Namaaz e Ishraaq ada karne ke baad
2 rak’at nafl namaaz Shukraane ki padhen.
Aur phir 11 martaba Durood shareef aur 11 martaba Astaghfaar padhne ke baad ALLĀH ta’ala ka shukr ada karen ke hume Ummat e Mustafa me aur Ahle Sunnat wal Jama’at me saamil kiya. Aur Dua karen ke puri zindagi aur nazaa ke waqt Eimaan ki salaamati ata farmae.

(2) Namaaz e Zohar ke baad
20 rak’at namaaz 2-2 karke padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas 21 martaba padhen.
Aur is ko Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki rooh e aqdas ko isaal e ṡawaab karen.

Phir Durood shareef padhkar Dua e khair karen aur Eimaan ki hifaazat ke liye aur Khaatma bil khair ke liye dua karen.

Is namaaz ko padhne waale ko ALLĀH ta’ala Tauheed par qaayam rakhega aur Khaatma bil khair ata farmaega aur Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat naseeb hogi. In shaa Allāh.

(3) Awwal Aakhir 3-3 martaba Durood shreef padhkar ye Wazeefa padhen.
Bismillāhir Rahmānir Raheem
Ya Allāhu (7 martaba)
Ya Ghafooru (7 martaba)
Ya Rahmānu (7 martaba)
Ya Hannanu (7 martaba)
Ya Mannanu (7 martaba)
Ya Rayyanu (7 martaba)
Ya  Sub'hānu (7 martaba)

In shaa Allāh ALLĀH ke fazl se pura saal khush-haal aur amn me guzrega aur Mehshar me hisaab o kitaab me aasaani ke saath Jannat me daakhil hoga.

***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aur sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.