NABIYO KI TAUHEEN KUFR HAI
Shaitan Bola Main Is Se Behtar Hun Tune Mujhe Aag Se Banaya Aur Ise Mitti Se
Farmaya Tu Jannat Se Nikal Ja Ki Tu Barbad Ho Gaya
( Para 23 Sureh Swad Ayat 75-76 )
Ye Iblees Layeen Ka Wo Waqiya Hai Jise Aapne 1 Nahi 1000 Bar Suna Hoga
Ki Usne Hazrate Adam ( Alaihis Salam ) Ko Sajdah Nahin Kiya To Maula Ta-ala Ne Use Hamesha Ke Liye Jahannami Karar De Diya
Sabse Pahle Us Layeen Ke Bare Mein Janiye Ki Wo Tha Kya Aur Ek Nabi Ki Tauheen Kar Ke Kya Ban Gaya
Pahle Aasman Par Iblees Ka Naam Abid
Doosre Par Zaahid
Teesre Par Aarif
Chauthey Par Wali
Panchwe Par Taqi
Chatey Par Khazin
Santwein Par Azazeel
Aur Lauhe Mahfooz Me Iblees Tha
Ye 40000 Saal Tak Jannat Ka Khzanchi Raha
14000 Saal Tak Arshe Azam Ka Tawaf Karta Raha
80000 Saal Tak Farishton Ke Sath Raha Jisme Se 20000 Saal Tak Farishton Ko Waazo Nasihat Karta Raha
Aur 30000 Saal Tak Karrbeen Farishton Ka Sardar Raha Aur 1000 Saal Ruhaneen Farishton Ka Sardar Raha
Isne 50000 Saal Tak "ALLAH" Ki Aisi Ibadat Ki Yahan Tak KI Agar Uske Sajdon Ko Zameen Par Bichaya Jaye Toh Ek Balisht Bhi Jagah Khali Na Bache
( Tafseer Saavi Jild 1 Safah 22 )
( Tafseere Jamal Jild 1 Safah 50)
(Zarqan Jild 1 Safah 59 )
Muallemul Malakoot Hone Aur Lakhon Baras Ibadat Karne Ke Bawajud Sirf Ek Sajdah Hazrate Adam ( Alaihis Salam ) Ko Na Karne Ki Bina par Usko Raandaye Baargah Kar Diya Gaya
Uske Ek Sajdah Na Karne Mein 4 Kufr The Mulahiza Farmayein
( 1 ) Usne Kaha Ki Tune Mujhe Aag Se Banaya Aur Isko Mitti Se Main Is Se Behtar Hun Ismein Maloon Ka Maqsad Ye Tha Ki Tu Behtar Ko Adna Ke Aage Jhukne Ka Huqm De Raha Hai Jo Ki Zulm Hai Aur Usne Ye Zulm Ki Nisbat Khuda Ki Taraf Ki Jo Ki Kufr Hai
( 2 ) Ek Nabi Ko Hikarat Se Dekha Aur Nabi Ko Ba'Nazre Hikarat Se Dekna Kufr Hai
( 3 ) Nas Ke Hote Hue Bhi Apna Falsafa Jhada Matlab Ye Ki Jab Hukme Khuda Ho Gaya Ki Sajdah Kar Toh Uspar Apna Qaul Lana Ki Main Aag Se Hun Ye Mitti Se Hai Ye Bhi Kufr Hai
( 4 ) Jimaa Ki Mukhalfat Ki Yaani Jab Sare Ke Sare Farishtey Jhuk Gaye Toh Isko Bhi Jhuk Jana Chahiye Tha Chahe Baat Samajh Mein Aaye Ya Nahin Kunki Jimaa Ki Mukhalfat Bhi Kufr Hai
( Nuzhatul Majalis Jild 2 Safah 34 )
Sochiye Ki Jab Lakhon Baras Ibadat Karne Wala Ek Nabi Yani Hazrat adam ( Alaihis Salam ) Ki Tauheen Karne Ki Banisbat Lanati Ho Gaya
Toh Jo Log Nabiyon Ke Sardar Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ki Tauheen Kar Rahe Hain Unka Kya Hoga
Ulmaye Ikram Farmate Hain Ki Jisne Huzur Ki Nalain Sharif Ki Tauheen Kar Di Wo Bhi Kafir Hua Balki Aiso Ko Murtad Kahte Hain Yani Wo Wajibul Qatl Hain
Jo Kisi Nabi Ki Gustakhi Ke Sabab Kafir Hua Toh Kisi Bhi Tarah Uski Tauba Qubool Nahin
Aur Jo Koi Uske Kufr Mein Ya Azab Mein Shak Kare Wo Khud Kafir Hai
( Raddul Mukhtar Jild 3 Safah 317 )
Kisi Bhi Kafir Ki Tauba Qubool Hai Magar Jo Huzur ( SALLLALLAHU Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ki Shaan Mein Gustakhi Kar Ke Kafir Hua Toh Kisi Bhi Ayimma Ke Nazdeek Uski Tauba Qubool Nahi
Agar Islami Huqumat Ho Toh Aison Ko Qatl Hi Kiya Jaye Agar Che Unki Tauba Sachchi Hi Kun Na Ho
Agar Tauba Sahi Hui Tih Qayamat Ke Din Bakhsha Jayega Magar Yahan Uski Saza Maut Hi Hai
( Tahmeede Imaan Safah 42 )
Maula Ta-ala Quraan Mein Irshaad Farmata Hai Ki
Wo Jo Rasool Allah Ko Eeza Dete Hain Unke Liye Dardnaak Azaab Hai
(PARAH 10 Sureh Tauba Ayat 61 )
Aaj Kal Toh Aise Musalmanon Ki Kasrat Hai Jo Dushmanane Rasool Ko Dushman Hi Nahin Samajhte
Halanki Agar Koi Unke Maan Baap Ko Gali De De Toh Hatha Payi Par Utar Ayenge
Magar Jo Nabi Ki Shaan Mein Gustakhiyan Karte Firte Hain Unhein Apna Azeez samajhte Hain
Maula Ta-ala Se Dua Hai Ki Musalmanon Ko Apne Habeeb Se Sachchi Muhabbat Karne Ki Tafeek Ata Farmaye
Aur Dushmanane Rasool Se Dushmani Rakhne Ki Taufeek Ata Farmaye
Aur Hum Sab Ko Sahih Aqaid Par Qayam Rakhe Aur Isi Par Maut Naseeb Ata Farmaye - AAMEEN