Shabe Qadar Ki Fazilat

Shabe Qadar Ki Fazilat


Shabe Qadar Ki Fazilat


* Huzoor sallallaho Taala Alaihi Wasallam ki tamanna par rub ne aapki ummat ko shabe qadr ata ki jo ki 1000 mahino ki ibadat se afzal hai

📕 Muqashifatul quloob,safah 647

* Jo shabe qadr me itni deir ibadat ke liye khada raha jitni deir me charwaha apni bakri ka doodh dooh le to wo rub ke nazdeek saal bhar roza rakhne waale se behtar hai

📕 Kya aap jaante hain,safah 367

* Jisne shabe qadr me khade baithe jaise bhi zikre ilaahi kiya to jibreele ameen apni poori farishton ki jamaat ke saath uske liye magfirat ki dua karte hain

📕 Anwarul hadees,safah 289

* Jo shabe qadr ki barqat se mahroom raha wo bada bad naseeb hai

📕 Bahare shariyat,hissa 5,safah 92

* Zyadatar buzurgaane deen ka qaul hai ki shabe qadr ramzan ki 27wi shab hi hai

📕 Kanzul imaan,paara 30,safah 710
📕 Tafseere azizi,paara 30,surah qadr
📕 Muqashifatul quloob,safah 649
📕 Kashful gima,jild 1,safah 214

*Bahre kaif jo log in paancon taak raaton me yaani 21,23,25,27,29 ko raat bhar ibadate ilaahi me madroof rahte hain bila shubah wo maula ke nek bande hain maula unki ibadaton ko qubool farmaye

 aur apne un achchhe bando ke sadqe hum jaise badkaro ki ibaadat ko bhi qubool farmaye*

* 4 rakat namaz 2-2 karke is tarah padhen ki baad surah fatiha ke surah takasur 1 baar surah ikhlaas 3 baar,is namaz ko padhne se maut ke waqt ki sakhtiya aasaan hongi

📕 Nuzhatul majalis,jild 1,safah 129

* 2 rakat namaz baad surah fatiha ke surah ikhlaas 7 baar salaam pherne ke baad ASTAGFIRULLAH 7 baar,isko padhne se uske waalidain par rahmat barsegi

📕 Baarah maah ke fazayal,safah 436

* 2 rakat namaz baad surah fatiha ke surah ikhlaas 3 baar,is namaz ka sawab tamam musalmano ko bakhshen aur apne liye magfirat ki dua karen to maula taala use bakhsh dega

📕 Muqashifatul quloob,safah 650

*Yaad rahe ki jab tak farz zimme par baaqi ho koi bhi nafl ibadat maslan namaz roza wazayaf qubool nahin kiya jaata,

Qarze namaz ka utaarna farze azeem hai ab agar namaze qaza hain to pahle unhe padhein,Hukm yahan tak hai ki asr aur

Isha ki pahli sunnat ki jagah aur tamam panj waqta nawafil ki jagah apni qaza namaze padhen,jinki bahut zyada namazen qaza ho usko aasani se ada karne ke liye
Ek din ki 20 raqat namaz padhni hogi paancho waqt ki farz aur isha ki witr

Niyat yun karen "sab me pahli wo fajr jo mujhse qaza huyi "ALLAHU AKBAR" kahkar niyat baandh lein,yunhi fajr ki jagah zuhar asr magrib isha witr sirf namazo ka naam badalta rahe

Qayaam me sana chhod de aur bismillah se shuru kare,baad surah fatiha ke koi surah milakar ruke rake aur ruku ki

 tasbih sirf 1 baar padhe phir yunhi sajdo me bhi 1 baar hi tasbih padhe is tarah do raqat par qaydah karne ke baad zuhar asr magrib aur isha ki 3ri aur 4thi rakat ke qayaam me sirf 3 baar subhaan allah kahe aur ruku kare aakhri qayde me

 attahyat ke baad duroode ibraheem aur duae maasurah ki jagah sirf ALLAHUMMA SALLE ALA SAYYEDENA MUHAMMADIW WA AALEHI kahkar salaam pher dein,

Vitr ki teeno rakat me surah milegi magar duae qunoot ki jagah sirf ALLAHUMMAG FIRLI kah lena kaafi hai

📕 Almalfooz,hissa 1,safah 62

*Agar aapne qazaye umri padhi to insha ALLAH taala aapke zimme se aapki namaz bhi ada ho jayegi aur aapko un nafl namazo ki fazilat bhi mil jayegi*

Allah hum Sabhi ko Is Mubarak Raat ki Barkat Ataa Farmaye Aameen

Post a Comment

0 Comments