Dini SawaL-JawaB Part-2

Dini SawaL-JawaB

Dini SawaL-JawaB


Sawal --- Kya kaala kapda pahanna jayaz hai
Jawab --- Bila shubah jayaz hai,haan bas muharram ke 10 roz na pahna jaaye
(Al-malfooz, hissa 4, page 40)
----------------------------------------
Sender by ----
Mohammed Altaf - karnatak
Sawal --- Agar kisi ko Duroode ibraheem ya uske baad ki dua yaad na ho to kya kare
Jawab --- Yaad kare sunnat hai jab tak yaad nahin hota koi sa durood padh lein namaz ho jayegi
(Bahare shariyat, hissa 3, page 76)
----------------------------------------
Sender by ----
Mohammed Ajmal - Gorakhpur
Sawal --- Musafa karne ke baad kuchh log haath ko seene se lagaate hain iska kya hukm hai
Jawab --- Dono haathon se musafa karna sunnat hai
haathon ko seene se lagaane ka to zikr nahin hai lekin koi aisa karta hai to ye koi najayzo haraam bhi nahin
(Bukhari,jild 2, Page 926)
----------------------------------------
Sender by ----
Mohammed Ali - kanpur
Sawal --- Kisi ke inteqaal ke baad uske kapdo ka kya kiya jaaye
Jawab --- Ghar waale agar pahanna chahen pahan sakte hain warna kisi gareeb ko de dein mayyat ki taraf se sadqaye jaariya hoga sawab pahunchta rahega
(Abu daood,jild 1, page 166)
----------------------------------------
Sender by ----
Zeenat fatima - Nagpur


Sawal --- Aurat ka jamaat se namaz padhna kaisa hai
Jawab --- Aurat ka jamaat se namaz padhna jayaz nahin haan ek surat hai ki agar masjid pashchim ki jaanib hai aur iska makaan masjid ke ain peechhe hai Yani bilkul mila hua ho aur imaam ki Aawaz ghar me aati hai to wahin se iqtida kar sakti hai
(Durre mukhtar,jild 1,safah 380)
----------------------------------------
Sender by ----
Mohammed Suhail - karnatak


Sawal --- Kya namaz me aankhen band kar sakte hain
Jawab --- makruh hai lekin agar aankhen band karne se namaz me zyada dil lagta hai to behtar hai ki band karke padhe
(Bahare shariyat,hissa 3, page 145)
----------------------------------------
Sender by ----
Xyz
Sawal --- Agar namaz me alhamdo ke baad surah milana bhool gaya ruku me yaad aaya to kya kare
Jawab --- Ruku se Wapas Qayaam me laute surah padhe phir se ruku kare Aur aakhir me sajda sahu karle
(Fatawa razviya,jild 3, page 639)
----------------------------------------
Sender by ----
Nizaam uddin - Sant kabir nagar
Sawal --- Buzurgane deen ke naam se fatiha karake khud hi kha lena kaisa hai
Jawab --- Sadqaye naafila khud kha sakte hain jayaz hai aur waise bhi buzurgane deen ki baargah me kia gaya nazr tabarruk hai uska khaana faiz hai
(Fatawa aziziya,jild 1,safah 78)
----------------------------------------
Sender by ----
Ghaus uddin - fatehpur
Sawal --- Kya eid manane ka hukm Quran me hai
Jawab --- Eid ka maane hota hai khushi manana ya baar baar laut aana,ab chunki ramzan sharif me bando ne ek mahine tak apne nafs ko ALLAH ki raza ke liye roke rakha to uske inaam me maula ne unhein ye tohfa ata kiya
 jise eid kahte hain,
 2 hijri me pahli baar namaze eid padhi gayi uske baad kabhi bhi huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne ise tark nahin kiya lihaza ye sunnate muaqqidah qareeb waajib hai,
aur eid ka lafz bilkul Quran me maujood hai jaisa ki
hazrat isaa Alaihissalam farmate hain
ki"aye ALLAH aye hamare rub hamare liye aasman se ek khwan utaar ki hamare liye eid ho"
(Paara 7,surah maayda,aayat 114)
----------------------------------------
Sender by ----
Bilal ashrafi - moradabad

Sawal --- Kya daadhi munda azaan de sakta hai
Jawab --- Koi maujood nahin hai to de sakta hai magar daadhi waala aa gaya to behtar hai ki iyaada kiya jaaye
(Bahare shariyat,hissa 3,safah 33)
----------------------------------------
Sender by ----
Xyz
Sawal --- kya ghar ke darwaze ke oopar togre me Quran ki aayat likhi ho to laga sakte hain,hamare imaam sahab mana karte hain
Jawab --- bilkul laga sakte hain ye lagaana mahaz tabarruk ke liye hota hai,
mana karne ki wajah agar ye hai ki Quran ki aayat se paani hokar naali me bahega to ye fizool hai
kyunki hadise paak se saabit hai ki fir'aun ne apne mahal ke sabse oopri hisse par
BISMILLAHIR RAHMAANIR RAHEEM likhwaya hua tha
jiski barqat se uska mahal halaqat se bachta raha,kya bismillah sharif Quran ki aayat nahin hai,
Aur agar is wajah se mana karte hain ki Quran par kisi gair muslim ki nazar na pade to ye bhi koi maayne nahin rakhta ki aksar beshtar hamare gharo me kabhi na kabhi koi gair muslim aa hi jaata hai
Agar che kisi bhi kaam se aaya ho,to agar ghar ke andar aaya to musalmano ke gharo me aksar togre tage hote hain jinme quran ki aayat likhi hoti hai to ispar nazar to padegi hi aur ghar ke andar togra lagaana jis par quran ki aayat likhi ho aalahazrat ne jayaz wa mustahsan farmaya hai
(Tafseere kabeer,jild 1,safah 152)


Sawal --- Mustafa jaane rahmat pe laakhon salaam jab ek baar padha to laakhon salaam kaise pahunchega
Jawab --- Agar ye aitraz hai to dar asal ye aitraz khuda par hai,
isko yun samjhiye ki maine aapse salaam kiya ASSALAMO ALAIKUM yaani salamati ho tum par,
ab ye bataiye maine kah to diya magar ye salamati aap par naazil kaise hogi aur kaun naazil farmayega,
zaahir si baat hai ALLAH tabarak wa taala hi salamati naazil farmane waala hai usi ke fazl se aap salamat rahenge,
to hamara nabiye paak sallallaho taala alaihi wasallam ki baargah me laakhon salaam bhejna ya karodo durood bhejna dar Asal rub ki
Baargah me dua hai ki
"Maula mere nabi ki baargah me mera laakhon salaam pahuncha"
to ab bataiye rub pahuncha sakta hai ya nahin,agar haan to aitraz dafa ho gaya aur agar nahin to phir aapko ALLAH ki qudrat par bharosa hi nahin hai aapka imaan khatre me hai janab,are bhai ek nahin hazaron aisi riwaytein paayi jaati hai ki ek baar padho to hazaaro laakhon ka sawaab milta hai maslan
ALLAH rabbul izzat farmata hai ki shab-e-Qadr 1000 mahino se behtar hai-
(para 30, Surah Qadar)
Rajab ke 1 roze par 1 saal ke roze ka sawaab-
(ma sabat minasSunnah, page 126)
Shabe baraat me 2 rakat nafl padhne me 400 saal ki ibadat ka sawab-
(nuzhatul majalis,jild 1, page 132)
Jo makka sharif me 1 ramzan paaye to 1 laakh ramzan ka sawab-
(bahare shariyat, hissa 5, Page96)
Kuchh duroode paak hain kisi ko 1 baar padhne par 1 laakh durood ka sawaab to kisi par 6 laakh durood ka sawab
Ab in sabko kya kahenge ki nahin aisa nahin ho sakta ek baar padhne par itna sawaab nahin mil sakta,ab kisi ko ALLAH ki Qudrat par bharosha ho ya na ho magar hamein poora yaqeen hai ki jab hum 1 martaba MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAAKHON SALAAM
Padhte hain to beshak hamara parwar digaar hamara laakhon salaam hamare nabi ki baargah me pahuncha deta hai
----------------------------------------
Sender by ----
Mohammed siddique - kanpur
----------------------------------------


*** Agar aapke dil me bhi kuchh deeni Sawalat ho aur jinka jawab aap Janna chahte ho To Hamare Contact Form Me
Jayen Aur Hamen Msg Karen

👇👇
• Apka Naam
• Apki City
• Apka Sawal
Likhkar Bhejen 👇👇
 📩 Contact Form
  
Insha Allah Jald Jawab Isi Web Me Post kie Jayenge Par Jaldi Na Karen
Hum Jald Jawab Post Karne ki Koshish Karenge
Aur Hamare Pas Kisi bhi Tarah ke Ruhaani Ilaaj Ya Istekhara ke Liye
Message Na Karen Kyunki hum Ye Kaam Nahi Karte Hai

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Ruhaani Ilaaj Quran Se
► Dini Knowledge
► Nabiyon Ka Bayaan

Yahan Se Download Karen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Audio Speech
► Video Speech
► Islami Books

Post a Comment

0 Comments