Talaaq Ke Masail

Talaaq Ke Masail

Nikah se jahan do ajnabi ek hote hain wahin us rishte ko tod dene ka naam talaaq hai,huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki
* Tamam halaal cheezon me ALLAH ko sabse zyada na pasand talaaq hai
📕 Abu daood,jild 1,safah 296 
Halaanki talaaq ek jayaz cheez hai magar iska istemaal khaas dushwariyon aur pareshaniyon me karne ka hi hukm hai ye nahin ki baat baat me shauhar apni biwi ko talaaq deta baitha rahe,kyunki ALLAH rabbul izzat Quran muqaddas me irshaad farmata hai ki
* Phir agar wo tumhe pasand na aaye to qareeb hai ki koi cheez tumhe na pasand ho aur ALLAH usme bahut bhalayi rakhe
📕 Paara 4,surah nisa,aayat 19
Matlab ye ki koi insaan sirf aibon ka mujassama to nahin ho sakta agar usme kuchh burayi hogi to achchhayi bhi zaroor hogi to agar aurat me aisi koi kharabi nazar bhi aati hai 
to shauhar ko uski khoobiyon par bhi nazar karni chahiye,lekin agar phir bhi talaaq ki naubat aa hi jaaye to ek hi talaaq deni chahiye 
taaki sulah samjhauta ka raasta khula rahe,jaisa ki ALLAH rabbul izzat quran muqaddas me irshaad farmata hai ki
Talaaq 2 baar tak hai phir bhalayi ke saath rok lena hai ya bhalayi ke saath chhod dena.phir agar shauhar ne talaaq (teesri) di to ab wo Aurat use halaal na hogi yahan tak ki doosre shauhar ke paas rahe
📕 Paara 2,surah baqar,aayat 229-230
 

Talaaq ki 3 kismein hain

1-Rajayi,
2-Baayin,
3-Mugalza
Rajayi - wo talaaq hai ki aurat filhaal nikah se nahin nikalti,haan iddat guzar jaaye aur wapas na laaye to baahar ho jayegi shauhar ko iddat ke andar bagair nikah ke use lautane ka haq rahta hai
Baayin - wo talaaq hai ki aurat nikah se to fauran nikal jaati hai magar Aurat ki marzi se shauhar phir use niakh me la sakta hai iddat ke andar ho ya iddat ke baad
KInaya ke 200 alfaaz hain jinse talaaq ho sakti maslan agar talaaq ki niyat se ye kaha ki tu mujhpar haraam hai to talaaqe baayin ho gayi yunhi ye kaha ki tu mere ghar se nikal jaa 
to agar talaaq ki niyat se kaha to baayin ho gayi,lihaza musalman apne gusse par kaabu rakhna seekhe warna talaaq ki niayt ke un 200 alfaaz me se kuchh bi kahega to talaaqe baayin ho jayegi
Mugalza - wo talaaq hai ki aurat nikah se fauran baahar ho gayi ab bagair halala ke uske liye halaal na hogi,mugalza teen talaaqon se hota hai ab ye teen chahe barson ke faasle par di ho maslan ek 20 saal pahle di phir kuchh din baad ek aur dedi ab jab bhi teesri baar kahega to mugalza ho jayegi,
ya phir ikattha di yaani yun kaha ki maine tujhko talaaq di talaaq di talaaq di ya yun kaha ki maine tujhko 3 talaaq di to har soorat me mugalza waaqey ho jayegi,
kyunki quran me rub taala ne teeno talaaqo ka hukm bayaan farmaya magar koi shart nahin lagayi ki ek hi majlis me ho ya alag alag,phir is hukm ki takmeel huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ke zamane mubarak se ho raha hai 
jaisa ki sahabiyaye rasool hazrate fatima bint qais raziyallahu taala anha apna talaaq ka waqiya bayaan karti hain ki
* Mere shauhar (hazrat aamir shobi raziyallahu taala anhu) ne mujhe ikatthi teen talaaq di to ALLAH ke rasool sallallaho taala alaihi wasallam ne teeno naafiz farma di
📕 Ibne maaja,safah 147
Isi taha ikattha teen talaaqo ka kayi waqiya zamanaye nabwi me pesh aaya jis par huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne mugalza ka hi hukm farmaya aur baad ke muhaddeseen hazraat ne bhi isi par amal kiya jiske liye kaafi hawale maujood hain maslan
📕 Abu daood,jild 1,safah 300
📕 Moota imaam maalik,safah 284
📕 Tahtavi,jild 2,safah 33
📕 Fathul qadeer,jild 3,safah 469
📕 Ahkamul quran,jild 1,safah 388
Haan ye baat alag hai ki ikatthi teen talaaq dena mana hai 
aur haalate haiz wa haalate hamal me talaaq dena najayazo haraam hai ispar huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne sakht naarazgi ka izhaar bhi kiya magar farmate hain ki agar koi haalate haiz me bhi teen talaaq de dega to waaqey ho jayegi,
lekin agar teen nahin di to raj'at yaani usko nikah me laana wajib hai
📕 Daarqutni,jild 2,safah 433
* Aurat namaz nahin padhti,shauhar ke liye banao singaar nahin karti,shauhar ko ya ghar waalo ko tang karti hai in sooraton me talaaq de sakte hain yunhi agar shauhar jimaa par qaadir nahin ya koi farayaz se aurat ko rokta hai to aurat talaaq le sakti hai
Halaala - Ab agar mugalza ho gayi to bagair halaala ke aurat shauhar par halaal na hogi,matlab ye ki chunki talaaq di hai to talaaq ki iddat guzaaregi jo ki 3 haiz hai 
ab ye haiz chahe teen mahino me aaye ya phir teen saal me,3 haiz aa gaye iddat poori ho gayi ya phir hamal se thi to haiz to aayega nahin to ab bachche ki wiladat hi iddat hai ab agar bachcha talaaq dene ke 1 din baad hi ho jaaye 
iddat poori ho gayi ab wo doosre se nikah karegi usse sohbat hogi phir wo lataaq dega to ab uski iddat guzaaregi yaani phir se 3 haiz,ab pahle shauhar se nikah kar sakti hai,
agar che dekhne me ye kanoon sakht hai magar isse bhi zyada sakht ye hai ki ek mard sab kuchh bardaasht kar sakta hai magar apni biwi ko gair ke bistar me nahin bardaasht kar sakta,
to ye saza asal me us mard ke liye hai ki jitne shariyat ko mazaaq banaya ki agar chahta to ek talaaq dekar phir se ruju kar sakta tha magar nahin 
apni mardaangi me ya apni jihalat me 3 kya kayion talaaq de baitha to ab shariyat se khelne ka anjaam bhi bardaasht kare,ye bhi yaad rahe ki doosre shauhar se sirf nikah karke talaaq le lene se wo nikah nahin hoga
 balki ek baat sohbat karni farz hogi,aur ye bhi yaad rahe ki agar bagair halaala kiye shauhar ne apni biwi ko rakha to jo kuchh hoga sab zina khaalis hoga aur bachche sab haraami paida honge
📕 Bahare shariyat,hissa 8,safah 126
Ab jis masle par quran hades ijmaa sabka muttafiq faisla ho uspar kuchh jaahilo ki wajah se inkaar nahin kiya ja sakta aur qayamat tak usme fer badal namumkin hai,
ab jo isme fer badal ki koshish karega agar che wo naam nihaad musalman hon ya phir kaafiro murtad qaum wo sab zillato ruswayi ke gadhe me sama jayenge,aaj jo bhi aawara begairat jaahil Aurtein ya jo bhi log islam ke khilaf bol rahin hain wo jaakar pahle gair muslim aurton ka haal bhi to dekh lein ki 
! Gairon ke muqaable islaam me talaaq ka % kitna hai
! Gairon ke muqaable islaam me rape ka % kitna hai
! Gairon ke muqaable islaam me kitni bachchiyon ko peit me maara jaata hai
! Gairon ke muqaable islaam me kitni bahuyon ko jalaya jaata hai
! Gairon ke muqaable islaam me kitna haq aurton ko haasil hai
*Lihaza aisi begairat aurtein aise jaahil mard ya aisi sarkaar jiski koi bhi baat islam ke khilaf hogi hargiz hargiz hargiz hamein manzoor nahin*
*Talaaq ki tafseeli malumat ke liye bahare shariyat hissa 8 ka mutaala kiya jaaye*
Allah Islam par hum Sabhi ko thik
Tarah se Amal karne ki
Toufeeq ataa Farmaye aameen

Post a Comment

0 Comments