​Jibraeel Alaihissalam Ka Islaah Ka Tareeqa

​Jibraeel Alaihissalam Ka Islaah Ka Tareeqa

 ​​Jibraeel Alaihissalam Ka Islaah Ka Tareeqa

Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu
Riwayat Karte Hain Ki Aik Roz Hum Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Khidmat
Me Haazir They .
Achanak Aik Shakhs Hamaari Mahfil Me Aaya, Us Ke
Kapde Nihayat Safed, Baal Gahre Syaah They.
Us Par Safar Ke Kuchh Asraat Numaya’n Na They Aur
Hum Me Se Koi Use Pahchaanta Bhi Nahin Tha.
Aakhirkaar Woh Shakhs Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu
Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Saamne Aap
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Ghutne
Se Ghutne Mila Kar Baith Gaya Aur Us Ne Donon Haath
Apni Raanon Par Rakh Liye Aur Arz Kiya :
Ya Mustafa ﷺ !
Mujhe Bataaye :

Islam Kya Hai?

Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne
Farmaya :
Islam Yeh Hai Ki Too Is Baat Kee Gawaahi De Ki Allah
Ta’ala Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin, Aur Muhammad
(SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam) Allah Ke
Rasool Hain Aur Too Namaz Kaayam Kare, Zakaat Ada
Kare, Ramzan-ul-Mubarak Ke Roze Rakhe Aur Istita’at
Rakhne Par Baitullah Ka Hajj Kare.
Us Ne Arz Kiya :
Aap Ne Sach Farmaya.
Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki
Hamein Ta’ajjub Huwa Ki Khud Hee Sawal Karta Hai Aur
Khud Hee Tasdeeq Bhi Karta Hai.
Us Ke Baad Us Ne Arz Kiya :
Mujhe Iman Ke Baare Me Bataaye?

Imaan Kya Hai

Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ne Farmaya :Iman Yeh Hai Ki Allah Ta’ala Par, Farishton Par, Us Kee
Kitaabon Par, Us Ke Rasoolon Par Aur Qayamat Ke Din
Par Iman Laaye Aur Achchhi Buri Taqdeer Par Iman
Rakhe.
Woh Bola :
Aap Ne Sach Farmaya.
Phir Us Ne Arz Kiya :
Mujhe Ehsaan Ke Baare Me Bataaye, Aap SallAllahu
Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ehsaan Yeh Hai Ki Too Allah Azza Wa Jalla Kee Ibaadat
Is Tareh Kare Goya Too Use Dekh Raha Hai Aur Agar Too
Use Na Dekh Sake To Yeh Jaan Le Ki Yaqeenan Woh
Tujhe Dekh Raha Hai.
Us Ne Arz Kiya :
Achchha Ab Mujhe Qayamat Qaayam Hone Ke (Waqt Ke)

Qayamat Kab Aayegi

Baare Me Bataaye, Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa AalehiWa Sallam Ne Farmaya :Jis Se Sawal Kiya Gaya Hai Woh Is Mas’ale Par Saa’il Se
Zyada Elm Nahin Rakhta (Ya’ni Jo Kuchh Mujhe Maaloom
Woh Tumhein Bhi Maaloom Hai Aur Doosare Haazireen
Ke Liye Use Zaahir Karna Mufeed Nahin Hai.) Us Shakhs
Ne Arz Kiya :
Achchha Phir Qayamat Kee Alaamat Hee Bata De.
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ne Farmaya :
Alaamaate Qayamat Yeh Hai Ki Naukaraani Apne Maalika
Ko Janm Degi (Ya’ni Beti Apni Maa Ke Saath
Naukaraniyon Waala Sulook Karegi) Aur Barhana Paanw
Aur Nange Badan Waale Muflis Charwaahe Oonche
Oonche Mahallaat Par Fakhr Karege.
Phir Woh Shakgs Chala Gaya.
Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki
Mein Kuchh Der Thehra Raha, Phir Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya
:
Aye Umar!
Jaante Ho Yeh Sawal Karne Waala Koun Tha?
Mein Ne Arz Kiya :
Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa
Aalehi Wa Sallam Behtar Jaante Hain.
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne
Farmaya :
Yeh  They Jibraeel Alaihissalam
  Jo Tumhein Tumhara Deen
Sikhaane Aaye They.”
[Bukhari As-Sahih, 01/27, Raqam-50, &
04/1793, Raqam-4499,
Muslim As-Sahih, 01/36, Raqam-08, 09,
Tirmidhi As-Sunan, 05/06, Raqam-2601,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/222, Raqam-4695,
Nasa’i As-Sunan, 08/97, Raqam-4990,
Ibn Majah As-Sunan, 01/24, Raqam-63,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 01/15, Raqam-367,
Ibn Khuzaymah As-Sahih, 04/127, Raqam-2504,
Ibn Hibban As-Sahih, 01/389, Raqam-168,

Post a Comment

0 Comments