Janwaron Par Bhi Rahem Karne Ka Hukm

Janwaron Par Bhi Rahem Karne Ka Hukm




Janwaron Par Bhi Rahem Karne Ka Hukm

Bismilla hirrahmanirrahim 
Mazhabe Islam wo Mazhab hai jo ki hamen Insan to kya janvaron par
Bhi Zulm ksrne Se Rokta hai Ye wo Mazhab hai jo kisi
Par zulm ko kabhi Bardashht nahi karta
Hamare Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Poori Zindagi Ye Dars deti hai ki
Aapne kisi Insan to kya Janvar par bhi zulm karne Se Manaa farmaya 
Aayiye Jante hai kuchh hadees ki roshni me

Janwaron Par Bhi Rahem Karne Ka Hukm

Billi (Cat) ko bhuka maar dene ki wajah se Dojakh mein chali gayi.
Abdullah bin Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 
Ek Aurat ko azaab is wajah se hua kyunki usne ek billi ko itni der tak baandh kar rakha tha ki wo bhook se mar gayi aur wo Aurat isi wajah se Dozakh mein dakhil huyee. 

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya ki Allah taala ne us sey kaha tha
 { Aur allah hi jiyada janta hai } ki jab tuney us Billi ko baandh kar rakha us waqt na tune usey kuch khilaya aur na kuch pilaya aur na usey choda ki wo zameen ke keedey makodey hi kha kar apna pet bhar leti.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2365
..
Ek Kuttey (dog) Par Raham ki wajah se Bakhshish ho gayi...

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek shakhsh ja raha tha ki usey sakht piyaas lagi usne ek kunwey(Well) mein utar kar paani peeya,
phir bahar aaya tuo dekha ki ek Kutta(dog) haanf raha hai aur pyaas ki wajah se keechad chaat raha hai,
usne (apne dil mein) kaha ki ye bhi is waqt aise hi pyaas mein mubtala hai jaise abhi mujhe lagi huyi thi (wo phir se kunwey mein utra) apney jutey ko bhar kar usey apney daanto se pakde huye upar aaya aur kuttey ko pani pilaya.
Allah taala ne uske is kaam ko qubool kiya aur uski maghfirat farmayee...
Sahaba ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya humein chopayo (animals) par bhi ajar milega...???
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,
har jaandar mein sawab hai.
Sahih Bukhari, Vol 3 , 2363 

ALLAH TA'ALA AMAL KI TOUFEEQ ATAA FARMAYE AAMEEN

Post a Comment

0 Comments