Hazrat Ameere Muaviya

Hazrate Ameer Muaviya


Hazrat Ameere Muaviya

22 Rajab
Hazrat ameere muaviya raziyallahu taala anhu Ki Wafaat hui

* Aapka nasb waalid ki taraf se is tarah hai muaviya bin abu sufiyan bin sakhar bin harb bin umaiyya bin abdus shamsh bin abdul munaaf,aur waalida ki taraf se yun hai 

hinda bint utba bin rabiya bin andus shamsh bin abdul munaaf,abdul munaaf par jaakar aapka nasb dono taraf se huzoor sallallaho taala alaihi wasallam se mil jaata hai

* Aap khaas sulah hudaibiya ke din imaan laaye magar kuffar ke darr se imaan ko chhipa kar rakha aur aathvin hijri me fatah makka ke din 
aap apne waalid abu sufiyan aur waalida hinda bint utba ko lekar 
huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ki baargah me haazir hue khud apna imaan zaahir kiya aur un dono ko musalman karwaya 

* Aapki bahan sayyadna umme habiba raziyallahu taala anha huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ki zaujiyat me daakhil hain yaani huzoor sallallaho taala alaihi wasallam aapke bahnoyi hain

* Aapse 163 hadisein marwi hain jo ki bukhari,Muslim,Tirmizi,Abu daood Nisaayi,Behaqi,Tabraani wagairah me maujood hai

* Chunki aap yazeed ke waalid hain aur aapne hazrate Ali raziyallahu taala anhu ke khilaf jung ki thi is bina par bahut saare log aapki mukhalifat karte hue nazar aate hain

Magar yaad rahe ki aapko gaali dena ya aapke sahabi hone me shaq karna apne liye gumraahi ka darwaza kholna hai,khud huzoor sallallaho taala alaihi wasallam aapke liye farmate hain 


ki "AYE ALLAH muaviya ko haadi aur mahdi bana de" matlab ki hidayat waala aur hidayat dene waala bana de,to jab aap khud hidayat waale hain 

aur logon ko hidayat dene waale hain to aapko bura kahna goya huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ko bura kahna hai

* Aalahazrat azimul barqat raziyallahu taala anhu farmate hain ki "jo Hazrat ameer muaviya par la'an ta'an kare wo jahannami kutto me se ek kutta hai

* Aap huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ki wahi ko likhne par mamoor the,aapse kayi karamatein zaahir hain jisme se sabse badi karamat to yahi hai ki aap kabhi koi jung haare hi nahin

 kyunki huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne aapke baare me irshaad farmaya tha ki "Hazrat muaviya jisse bhi ladega fatah payega" aapki ek khuli huyi

 karamat ye bhi hai ki jab madina sharif me hazrate usman gani raziyallahu taala anhu ko logon ne shaheed kar diya to aap farmate hain

 "ab madina me kabhi khilafat na hogi" lihaza aaj tak kabhi kisi khalifa ne madina munawwara ko daarul khilafat na banaya

* Aapka wisaal 59 hijri me maqame damishk me hua us waqt aapki umr 78 saal thi

*Jab khuda jo ki sab kuchh jaanne waala hai wo bhi unke ikhtilaaf ko jaanta raha hoga phir bhi un sabke baare me farmata hai 
"ALLAH un sabse raazi hai" to ab iske baad hamara unki shaan me bakwaas karna goya khuda ke qaul ki nafarmani hai 

ki wo to saare sahaba se raazi hai aur hum kisi se muhabbat karen aur kisi ko gaali dein,lihaza imaan ki aafiyat wa bhalayi isi me hai ki hum jab bhi kisi sahaba ka zikr karen to kahir se hi karen*

📕 Taarikhul khulfa,safah 287
📕 Khutbate muharram,safah 329--353
📕 Ummahatul momeneen,safah 63
📕 Karamate sahaba,safah 171
📕 Ahkame shariyat,hissa 1,safah 103 

Ye Audio Speech Zaroor sune👇👇🎤

Post a Comment

0 Comments