Suicide ka Azab

Suicide ka Azab

Suicide ka Azab


Allah, In The Name Of, The Most Affectionate, Most Merciful
Assalato Wasallaamo ‘Alaika Yaa Rasool Allah Sallallaho ‘Alaihi Wasallam
Wa ‘Alaa Aalika Wa As Haabika Yaa Noor Allah Sallallaho ‘Alaihi Wasallam

Gidar ki 100 Sala Zindagi Se Sher Ki 1 Din ki Zindagi Behtar Hai. -Hazrat Tipu Sultan

Al Qur’an:
To Kya Yeh Samjhte Ho Ki Ham Ne Tumhe Bekaar Banaya aur Tumhe Hamari Taraf Firna Nahi.
[ Surah Mominoon 115 ]

Woh Jisne Mout Aur Zindagi Paida Ki Ke Tumhari Jaanch Ho Tum me Kiska Kaam Zyada Achha Hai.
[Surah MULK: 2]

jab Qyamat ka shor machega to bhai-bhai se bhagega 0r beta maa se.
[80:33-37]:

Jis Din Hum Logon K Chehre Jahannam Ki AAG Me Ulat Pulat Karenge,Wo Kahenge, Kaash! Hum Allah Aur Uske Rasool Ki Pairvi Karte.
[QURAN:33:66]

•• »»»► Suicide ka Azaab ◄««« ••

Khud-Kusi (Suicide) Karney Wala Sayad Ye Samjhta Hai ki hamari Jaan Chhot Jayegi, Halaki Is se Jaan Chhutne Ki Bajayen Narazgi-e-Rabbul-Izzat Azzawajal ki Surat Me Nihayat Buri Tarah Fass Jati hai.

Khuda Ki Kasam ! Suicide ka Azab Bardast Nahi Ho Sakega.

Hadees e Paak:
Jo Sakhs Jis Chiz Ke Saath KHUD-KUSI Karega Woh Jahannam Ki Aag Mein usi Chiz Ke Sath Azaab Diya Jayega.
[ SAHIH BUKHARI SARIF RAKMUL-HADEES: 6652 JILD:4 SAFA:289 Bairut ]

Hazrate Saiyaduna Sabit Bin Jahhak RA se Marvi Hai Ke Hazur {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} Ne Farmaya:
Jisne Lohe Ke hathiyar Ke Saath KHUS-KUSI ki to Use Jahannam Ki Aag Mein Usi Hathiyar Se Sakht AZAAB Diya Jayega.
[ SAHIH BUKHARI JILD:1 SAFA:459 HADEES No. 1363 Bairut ]

Hadees e Paak:
Jisne Apna Gala Ghota To Woh Jahannam Ki AAG Mein Apna Gala Ghot’ta Rahega, Aur Jisne Khud ko Nezaa Mara Woh Jahannam Ki Aag Mein khudko Nezaa Marta Rahega.
[ AL-AHSAB BITTARTIB SAHIH IBNE HIBBAN JILD:7 SAFA:590 HADEES No. 5955 Bairut ]

Allah Hamen Is Gunah Ko Karne Se Mahfooz Farmaye Aameen

Post a Comment

0 Comments