Hazrat Ali Radiallahu Ta'Ala Anhu Se Riwayat Hai ki Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya ki Agar
Tumhare Upar Bohat Hi Zyada Karz Ho
To Bhi Allah Ta'Ala Tumhari Taraf Se
Adaa Farma dega
Tu Ye Dua Padha Karo
Karz Se Nijaat Paane Ki Dua
اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ، وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ"Allahummakfinee BeHalaleka An Harameka Wa Aghninee BeFadhleka Amman Siwaka"
Tarjuma:
Aye Allah Mujhe Halaal Dekar Haraam Se Door Rakh Aur Mujhe Apne Fazal Se Nawazkar Apne Siwa kisi Aur Se Mangne Se Beniyaz Karde
(Jame Tirmizi Sharif Jild 2 , 1487)
Insha Allah Apka bharosa Allah ki Zaat Par Pukhta Hona Chahye To Aapki Mushkil Aasan hojaegi Aur Aapka Karz Jald Adaa hojaega
Lekin Sirf Ye Na Karen Ki Hath Par Hath Rakhkar Intezar Karen ki Khud Hi Karz Adaa Hojaega
Allah Ne Har Kaam Ka Zariya Banaya hai lekin Aapko Mehnat Karne ki Zarurat Hai
Aap
poori koshish Karen Asbab Ikhtyaar Karen Karz Adaa Karne ke lie
Poori Mehnat Karen Aur Allah Se Duaa Bhi Karte Rahen Allah Apki
Madad Farmaega Aameen
Post ko Whats App Facebook Wagerah Par Share Bhi Karen
1 Comments
Kya yah dua jo upar wale ne ya khuda ne hamko manushya ka janm dekar hamein diya hai uske liye nahin hai? Jise hum khuda ke usulon par chalkar iman se jiwan jeekar jite ji khuda ke pyare hokar hi utar sakte hain. Tabhi kayamat ke din hamari gawahi khuda dega humari taraf se.
ReplyDeleteNiche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe