AURAT ISLAAM AANE KE BAAD
Jaisa Ki Aap Pichhli Post Me Padh Chuke Hai ki AURAT-iSLAAM-SE-PAHLE Kya Thi Uspar
Tarah Tarah Ke Zulm Kie Jaate The
Ab Aage Janiye Islam Aane ke Baad Kya hua
Jab Hamare Rasool-e Rahmat Hazrate
, MUHAMMADE MUSTAFA ,
( Sallallahu alaihi wasallam )
Khuda Ki Taraf Se Deene Islaam Le Kar Tashreef Laye
Toh Duniya Bhar Ki Satai Hui Aurton Ki Qismat Ka Sitara Chamak Utha
Aur Islaam Ki Badaulat Zalim Mardon Ke Zulmo Sitam Se Kuchli Aur Raundi Hui Aurton Ka Darja Is Qadar Buland Wa baala Ho Gaya
Ki Ibadat Wa Muamlat Balki Zindagi Aur Maut Ke Har Marhale Aur Har Mod Par Aurtein Mardon Ke Dosh Ba Dosh Khadi Ho Gayin
Aur Mardon Ke Barabri Ke Darje Par Pahunch Gayin
Mardon Ki Tarah Aurton Ke Bhi Huqooq Muqarrar Ho Gaye
Aur Inke Huqooq Ki Hifazat Ke Liye Khudawandi Qanoon Aasman Se Nazil Ho Gaye
Aur In Ke Huqooq Dilane Ke Liye Islami Qanoon Ki Adalatein Qayem Ho Gayin
Aurton Ko Malikana Huqooq Hasil Ho Gaye
Chunanche Auratein Apni Mehar Ki Raqmon
Apni Tijaraton Apni Jayedadon Ki Malik Bana Di Gayin
Aur Apne Maan Baap Bhai Bahan Aulaad Aur Shauhar Ki Meerason Ki Waris Qarar Di Gayin
Gharz Woh Aurtein Jo Mardon Ki Jootiyon Se Zyadah Zaleelo Khwar Aur Intahai Majbooro Lachar Thin
Woh Mardon Ke Dilon Ka Sukoon Aur Inke Gharon Ki Malika Ban Gayin
AURAT ISLAAM AANE KE BAAD
Chunanche Quraane Majeed Ne Saaf-Saaf Lafzon mein Farma Diya
Quraan:
" ALLAH Ne Tumhare Liye Tumhari Jins Se Biwiyan Paida Kar Din
Taki Tumhein Isse Taskeen Hasil Ho
Aur Usne Tumhare Darmiyan Muhabbat Wa Shafqat Paida Kar Di "
(Surah Room Aayat 21)
Ab Koi Mard Bila Wajah Aurton Ko Na Maar Peet Sakta Hai
Na Inko Gharon Se Nikal Sakta Hai
Aur Na Koi Inke Maalo Asbaab Ya Jayedadon Ko Chheen Sakta Hai
Balki Har Mard Mazhabi Taur Par Auraton Ke Huqooq Ada Karne Par Majboor Hai
Chunanche Khudawande Quddoos Ne Quraane Majeed Me Farmaya Ki
Quraan:
"Aurton Ke Mardon Par Aise Hi Huqooq Hain Jaise Mardon Par Aurton Ke Achchey Sulook Ke Saath"
(Surah Baqarah Aayat 228)
Aur Mard Ke Liye Farmaan Jaari Farma Diya Ki
Quraan:
"Aur Achchey Sulook Se Aurton Ke Saath Zindagi Basar Karo"
(Surah Nisa Aayat 19)
Tamaam Duniya Dekh Le Ki Deene Islaam Ne Miyan Biwi Ki Ijtemai Zindagi Ki Sadarat Agar Mard Ko Ataa Farmai Hai
Aur Mardon Ko Aurton Par Haaqim Bana Diya Hai
Taaki Nizame Khana Dari Mein Agar Koi Badi Mushkil Aan Pade
Toh Mard Apni Kudadad Taqat Wa Salahiyat Se Is Mushkil Ko Hal Kar De
Lekin Iske Saath Jahan Mardon Ke Kuch Huqooq Aurton Par Wajib Kar Diye Hain
Wahan Aurton Ke Bhi Kuch Huqooq Mardon Par Lazim Thahra Diye Gaye Hain
Is liye Aurat Aur Mard Donon Ek Dusre Ke Huqooq Mein Jakdey Hue Hain
Taki Donon Ek Dusre Ke Huqooq Ada Karke Apni Ijtemai
Zindagi Ko Shadmani Wa Masarrat Ki Jannat Bana Dein
Aur Nifaaq Wa Shiqaaq Aur Ladai Jhagdon ke Jahannam Se
Hamesha Ke Liye Azad Ho Jayein
Aurton Ke Darjaat Wa Maratib Ki Itni Buland Manzilon Par Pahuncha Dena
Ye Huzoor Nabiyye Rahmat
( Sallallahu Alaihi Wasallam )
Ka woh Ehsaan Azeem Hai Ki Tamam Duniya Ki Aurtein
Agar Apni Zindagi Ki Akhri Saans Tak
Is Ehsaan Ka Shukriya Ada Karti Rahein
Fir Bhi Woh Is Azimushshaan Ehsaan Ki Shukr Guzari Ke Farz Se
Subuk Dosh Nahin Ho Sakti
Tamam Duniya Ke Muhsine Aazam Huzoor Nabiye Akram
( Sallallahu Alaihi Wasallam )
Ki Shaan-e Rahmat Ka Kya Kahna
WOH NABIYON MEIN RAHMAT LAQAB PANE WALA
MURADEIN GARIBON KI BAR LANE WALA
MUSEEBAT MEIN GHAIRON KI KAAM AANE WALA
WOH APNE PARAYE KA GHAM KHANE WALA
FAQEERON KA MAWA ZAEEFON KA MALJA
YATEEMON KA WALI
GHULAMON KA MAULA
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► AURAT KYA HAI
► AURAT-iSLAAM-SE-PAHLE
Aapko Ye Post Kaafi Pasand Aayi Hogi To Isko Share Karna Na bhoolen Aur Jald Hi
Auraton Ke Bare me Agli Post Hogi Usko Bhi Zaroor Padhen
Is Website Ki Har Post Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen