Shadi Me Jahez Ka Mutaliba Karna
Maan baap Kuch Kapde Kuch Zewrat ( jwelry ) Kuch Saaman
Bartan Palang Bistar Meiz
Kursi Takht Jaye Namaz
Quraan-e Majeed Dini Kitaben
Wagairah Ladki Ko De Kar Usko
Sasural Bhejte Hain Yeh Ladki Ka Jahez Kahlata Hai
Bila Shubah Ye Jayez Balki
Sunnat Hai Kunki Hamare
Huzur RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Ne Bhi Apni Pyari Beti Hazrate Bibi Fatima Zahra ( Radi Allahu Ta-ala Anha ) Ko Jaheyz Mein Kuch Saman De Kar Rukhsat Farmaya Tha
Lekin Yad Rakho Ki Jaheyz Mein Saman Ka Dena Yeh Maan Baap Ki Muhabbat Wa Shafqat Ki Nishani Hai Aur Inki Khushi Ki Baat Hai
Maan Baap Par Ladki Ko Jaheyz Dena Yeh Farz Wa Wajib Nahin Hai
Ladki Aur Damad Ke Liye Harghiz Harghiz Ye Jayez Nahin Hai Ki Woh Zabardasti Maan Baap Ko Majboor Kar Ke Apni Pasand Ka Saman Jaheyz Mein Wasool Karein
Maan Baap Ki Haisiyat Is Qabil Ho Ya Na Ho Magar Jaheyz Mein Apni Pasand Ki Chizon Ka Takaza Aur Inko Majboor Karna Ki Woh Qarz Le Kar Beti Damad Ki Khwahish Puri Karein
Yeh Khilafe Shariyat Baat Hai Balki Aaj Kal Hinduon Ke Tilak Jaisi Rasmein Musalmanon Mein Bhi Chal Padi Hai
Ki Shaadi Karte Waqt Hi Yeh Shart Laga Dete Hain Ki Jaheyz Mein Fulan Fulan Saman Aur Itni Raqam Deni Padegi
Chunanche Bahut Se Gharibon Ki Ladkiyan Isi Liye Byahi Nahin Ja Rahi Hain Ki Inke Maan Baap Ladki Ke haheyz Ki Maang Puri Karne Ki Taqat Nahin Rakhte
Yeh Rasm Yaqeenan Khilafe Shariyat Hai Aur Jabran Kahran Maan Baap Ko Majboor Kar Ke Zabardasti Jaheyz Lena Yeh Na Jayez Hai
Lihaza Musalmanon Par Lazim Hai Ki Is Buri Rasm Ko Khatam Kar Dein