Moharram me Hone Wale Galat Rasmo Riwaz

Moharram me Hone Wale Galat Rasmo Riwaz
Add caption

Moharram me Hone Wale Galat
Rasmo Riwaz



Aalahazrat Ahmed Raza Farmate Hain
Taziya Mamnua Hai
Shariyat me Iski koi Asal Nahi
Aur Jo Biddat Unke Sath ki Jaati hai
Sakht Haraam hai
(Fatawa-e-Razaviya jild 24 page 490)

Zaroori Maslah:
Taziya Banana Dekhna Jaiz Nahi hai
Aur iski Tazeem Aur Isse Aqeedat Rakhna Sakht Haraam hai Taziya me kisi bhi Kism ki
Madad Karna Jaiz Nahi chahe Wo Paise Se ho Ya Hath Se

QURAAN:
Gunaah Aur Ziyadati ke Kaamo Ek Dusre Ki Madad Na karo
Aur Allah Se Darte Raho Beshaq Allah Ka Azaab Bohat Sakht hai
(Surah Maidah Ayat 2)

Dhol Tashe Bajana Gali,Gali
Ghoomna Uchhalna Koodna Maatam Karna Tarah Tarah
ki
Khurafaat Karna
Naachna Auraton Ke Dupatte Bandhkar Firna
Ye Sab Jaahiyat ke Kaam Hain
Aur Raafzoyon Shiyo ki
Rashme Hain
Inse Bachen


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► औरत का कफ़न मैके वालो के जिम्मे लाजिम समझाना
► बच्चा पैदा होने क़ी वजह से जो औरत मर जाये उसको बदनसीब समझना
► islam-Ne-Aurat-Ko-Kya-Dia
► Haiz kise kehte hain??


Taziya Kya hai


Shiya Logo ke Juloos Me Maqbra
Ya Qabar Banate Aur Unke Sath
Dhol Tashe Bajate Hain Isey Taziya Kaha Jaata hai
Jo Ki Sakht Haraam hai

Ma'Ala:
Musalman Ashrah-e-Moharram
Me 3 Rango Ko Pahenne Se Bachen
Kaala,Laal Aur Hara
Kyunki Yeh Shiyo ka Tareeqa
Hai
Aur Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Biddatiyo ki Naqal Se Manaa Farmaya hai
Aur Unki Mukhalifat Ka hukm dia hai
Fatawa-e-Razviya jild 24 Page 496)

Ayyame Moharram Yaani
1 Se 12 Muharram Tak Kaala(black) colour na pehna jae
Kyunki yeh Rafziyo Shiyo ka
Tareeqa Hai
(Bahishti Zevar Jild 5 Page 578)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Namaze-Janaza-Mai-Takbir-Ke-Waqt-Aasman-Ki-Taraf-Munh-Uthana
► Janaze-Ko-Kandha-Dene-Ka Tareeqa


Sawal:
Muharramul Haraam Ke Mahine Me Nikah Karna Kaisa

Jawab:
Muharram ke Mahine Me Bhi Aur
Mahino Ki Tarah
Nikah Jaiz Hai Manaa Nahi
(Fatawa-e-Razvia jild 11 Page 565)

Awaam Ke Kuchh Log Khud Hi
Shariyat ke Saare Faisle
Karlete hai
Aur Ulma-e-Kiram Se Is Masle
Me Rabita Nahi Karte
Koi Bhi Aalim Sahih Ul Aqida
Apko Is Masle Me Ye Nahi Kehega ki Aap
Muharram Me Nikah Na Karen
Aur Na Hi Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Is Maah Me Nikah Se Manaa
Farmaya hai Yeh To khud Humne hi
Faisla Karlia ki Ye Gham ka Mahina hai
Jabki Aisa kuchh Nahi Nikah
Har Maah me Jaiz hai
Islami Masail ke
Liye Ulma se Pooche Khud
Aalim Na Bane

Imaam Husain
ki Yaad Shariyat ke Dayre
Me Rehkar Manaye
Khurafat Aur Galat Kaamo
Se Door Rahen
Unki Yeh Azeem Qurbaani ko Khel Kood Tamashe Ka Zariya
Na Banaye
Balki Jo Imaam husain Ne jo Apni Zindagi me Kia Uspar
Amal Karen
Imaam husain ne Kabhi Namaz Nahi
Chhodi Yahan Tak ki Shahadat Ke Waqt bhi Namaz Adaa ki
Aur Sajde ki Haalat me

Allah ke Hozoor Apna Sar to katana
Pasand kia Par
Namaz ko Chhodna Manjoor nahi kia
Aaj Hum bhi Pakka Ahad Kare
Ki
Imaam husain ke Naqshe Qadam
Par
Chalte hue Hum

Kabhi bhi kisi bhi haslat me
Namaz ko hargiz Hargiz Nahi Chhodenge
Insha Allah
Aur Esaale Sawab karen
Taziya Banana Usey
Tazeem Se Uthana Gale Mohalle
me Ghumna Ussey minnaten Mangna Aur Uspar Chadawe
Chadana
Najaz Wa Haraam hain
Aise Kaamo se Bachen
Aalahazrat ka Risala Taziadaari
Padhiye
Jisme Unhone
Moharram me hone Wali biddaton ka radd kia hai
Taziye ki Shariat me koi Asal nahi

Allah Ta'ala Hamen Haq Baat kehne Sunne Aur Usse bhi Zyada Amal ki toufeeq Ataa farmaye Aameen

New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣