Abhi hajj ka mahina chal raha hai par kya Aap jante hain ki
hajj ke Waqt Allahﷻ
ke rasool (صلى الله عليه وسلم) ne
jo
Aakhri khutba diya jo Apne aap Mein ek
Aisi mishaal hai ki
kisi bhi Dharamguru ya
Neta ne aisa bhashan(khutba) nahi dia hoga
jo ki Insaniyat Aur poori Dunia ke logo ke liye Ek Aisa Paigham hai Jo ispar Amal krega Kamyabi Paa Jaega
Mera Sabhi muslim aur
Gair-muslim
Se Guzarish hai ki isey zaroor padhen:
hazrat Muhammad صلى الله عليه وسلم ne faramaaya:
main jo kuchh kahun, dhyaan se suno.
insaano tumhara rab ek hai.
Allah ﷻ ki kitaab aur
uske rasoolصلى الله عليه وسلم ki Sunnat ko mazbooti se pakde rakhna
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► HAJJ-KA-BAYAN
► QURBANI KE MASAIL
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL
logon ki jaan-maal aur izzat ka khayaal rakhna,
na tum logo par zulm karo,
na Qayamat mein tumhaare sath zulm kiya jayaga.
koyee amaanat rakhe to usmen khayanat na karna.
byaaj(Sood) ke Qareeb na bhatakna
kisi Arabi ko kisi ajami (gair arabi) par koyee badaayi nahin,
na kisi ajami ko kisi arabi par,
na gore ko kaale par,
na kaale ko gore par,
Fazilat agar kisi ko hai to sirf taqwa va parhezgari se hai
rang, jaat, nasal,
mulk, Ilaake kisi k liye Bartari ki Buniyaad nahin hai.
badaayi Buniyaad agar koee hai to Imaan aur Uska Taqwa hai.
jo kuchh khud khao,
Apne Gulaamo ko bhi Wahi khilao aur jo khud paheno, wahi unko pahenao.
islaam aane se pahele ke tamaam khoon khatm kar die gaye
ab kisee ko kisee se puraane khoon ka badla lene ka haq nahin
aur sabse pahle main apne khandaan ka khoon-rabeea ibn haaris ka
khoon- khatm karta hoon (yaani unke kaatilon ko Muaaf karta hoon)
Pichhle Dour ke sabhi byaaj(sood) khatm kie jaate hain
aur sabse pahele main apane khaanadaan mein se
abbas ibne muttalib ka byaaj khatm karta hoon
Auraton ke maamle mein Allah se daro
tumhara Auraton par aur Auraton ka tum par Haq hai
Auraton ke maamle mein tumhen Wasiyat karta hoon ki
unke sath bhalaee ka Ravaiya Apnao
logo! yaad rakho, mere baad koee Nabi nahin
aur tumhare baad koyee ummat nahin hai
Apane rab ki ibaadat karna
Rozana Pancho Waqt ki Namaaz padhna
ramzan ke roze rakhana,
khushi-khushi apne maal ki zakaat Adaa karna
Apne Parwadigaar ke ghar ka hajj karna
aur apne haakimon ka
Kehna Manna
Aisa karoge to apane rab ki jannat mein daakhil hoge
logo kya maine Allaah ka paigaam tum tak pahuncha diya
logon kee bharee bheed ek saath bol uthi
haan, aye Allahﷻ ke rasool
Tab hazrat Muhammad (صلى الله عليه وسلم) ne 3 baar kaha
aye Allahﷻ too Gavah rahena
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Nikah Ke Masail
► Aulia Allah Ka Zikar
► Hidayat Post
► Join Free SmS Service On Mobile
uske baad Quraan ki yeh Aakhiri Aayat Sunaayi
"Aaj mainne tumhaare lie deen ko poora kar diya aur tum par apni neymat poori kardi Aur tumhare Liye Islam ko Deen Pasand kia
(Quraan Surah maidah Ayat 3)
(Sahih Bukhari, hadis 1623, 1626, 6361)
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣