TAQDEER Ka BAYAAN

TAQDEER Ka BAYAAN

TAQDEER Ka BAYAAN


Assalamualaikum Mere Pyaare Bhaiyo Aur Behno Kaafi Dino Se me is Web par koi post Nahi Kar Pa Raha hoon
Waqt ki Kami ki Wajah Se Lekin Insha Allah
Jald hi Apko Achhe Achhe Topic Par
Dinimaloomat ki Post Milengi
Bas Aap Hamara Sath Dete Rahen Aur Hamen Bataye Aapko Kis Tarah k topic Par Post Chahiye
Insha Allah Hum Us Topic Par Likhne ki Koshish Karenge
Aur Asp Hamari Hosla Afzayi Farmaye
Aur In post ko Zyada Se Zyada Apne Dusre Bhaiyo Behno Tak Pahunchaye
Aaj Ek Naya Topic Lekar Aya Hoon Taqdeer ke Moujoo par Isko Padhen Aur Sabhi ko Share Bhi Karen JazakAllah


TAQDEER Ka BAYAAN

Aalam mein jo kuch
bhlaa-bura hota hai
Sabko  Allah Ta'ala isko hone se pehle hi
Aur
 hamesha se jaanta hai

Aur usne apne isi ilm-e-azali ke muwaafiq par
bhalai-burai muqaddar farma di hai

 TAQDEER isi ka naam hai jesa hone wala hai aur jo jesa krne wala tha isko pehle hi Allah Ta'ala ne apne ilm se jana aur isi ko Allah Ta'ala ne Lohe-Mehfooz par likh diya


To yeh na samjho jesa usne likh diya  majbooran humko wesa hi krna pdhta hai balki waqiaa yeh hai jesa ham krne wale the wesa hi usne boht pehle likh diya.

Kisi ke zimme burai likhi isliye ki
Wo burai krne wala tha
Agar Koi bhalai krne wala hota to woh Uske liye bhalai likhta

To Allah Ta'ala ne TAQDEER likh kar kisi ko bhalai ya burai krne ke pr majboor nhi krdiya hai .


Aqeedah 1-
TAQDEER par imaan lana bhi zaruriyaat-e-deen mein hai
TAQDEER ka inkaar krne waloñ ko Nabi Kareem ﷺ ne is ummat ka majoos kaha hai.

Aqeedah 2-
TAQDEER ke masa'il
Aam logo'n ki samajh mein nahi aa
sakte
Isliye TAQDEER ke masa'il mein bohat zyada Ghaur-o-fiqar aur
behas-wa-Mubaahisa karna halaakat ka sabab hai.

Ameerul Momineen Hazrat Abu Baqar Siddique رﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻨﻪ aur Ameerul Momineen Hazrat Umar Farooque رﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻨﻪ
TAQDEER ke mas'ale mein behas karne se manaa farma gaye hain

Fir bhalaa hum aur tum kis ginti mein hain
ki is mas'ale par behas-wa-mubaahisa kareñ.  Hamare liye yahi hukm hai
ki hum TAQDEER par imaan laye
Aur is mushkil aur naazuk mas'ale me hargiz-hargiz kabhi behas-o-mubaahisa aur hujjat wa taqraar na kareñ ki isi mein imaam ki salaamati hai .
(Reference:-Jannati Zewar
Page no.187)


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣