Namehram Se Batcheet Haraam SirfSocial Media Par Ya Real Life Mein Bhi


NAMEHRAM SE BATCHEET HARAAM SIRF SOCIAL MEDIA PAR YA REAL LIFE MEIN BHI,
EK TEHQEEQI NAZAR
*
Is ahem mauzu par maine Facebook par
beshumar articles padhe jo alag ladke aur
ladkiyon ne kiye the lekin har jagah mujhe ek kami mehsoos hui ..

wo ye ki har kisi ne sirf Social Media ke zaraye par zyada dhyan diya ki
SOCIAL MEDIA jaise Facebook, Twitter,
Whatsapp, Hike, Yahoo messenger, Rediffbol,
Hotmail Messenger, Skype waghairah par
NAMEHRAM SE BAT KARNA HARAM hai,
Beshak sach hai aur sahi hai.


lekin Namehram ladke aur ladkiyan sirf social sites par he batein
nahi karte ya Namehram sirf social media par

he nahi milte balki real life mein bhi beshumar
aise rishte hain jo Namehram ki list mein ate hain.


jaise Chacha ke bache, Mamu ke bache,
Khala ke bache, Phuppi ke bache, Sali, Dever,
Bhabhi, Jethani, Devrani Padosi ke bache aur
aise he dusre cozins wa Dosto ke bache bhi ye
sare rishte Namehram hain jinse bilazaroorat wa
bila parde ke bat karna haram hai.

Lekin aajkal
to Schools mein bhi Namehram, isse badhkar
Universities mein bhi NaMehram se batcheet
hoti hai aur uske bad jis tarah aajkal Ladke aur
ladkiya har jagah ek sath kam kar rahe hain wo
bhi NaMehram se batcheet ka ek behad
khatarnak zariya hai jahan par bila zaroorat wa
binaparde batcheet haram hai.
Jis tarah har daur mein kuch na kuch jadeed
cheeze ati rehti hain aur unke istemal se
muslaman neiki bhi kamate hain aur gunah bhi,


isi tarah is jadeed daur mein Internet wa
Androide phones ke zariye Social Media par
musalman naujawan ladke aur ladkiyan apne
qeemati auqat(time) ko sarf kar rahe hain.


Must Read ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
>> JHOOT BOLNE WAALA
>> Free Sms on mobile
>> Imaan Kise Kahte HaiN


jisme Namehram ladke aur ladkiya chat kar sakte
hain aur apne khayalat ka tabadla karte hain.

Jaisa ki maine pahle bhi kaha ki har cheez ko
istemal karne ka tareeqa bhi hota hai aur wo
tareeqa insan ki fitrat aur uske dilo dimagh par
depend karta hai, agar insan achi fitrat aur neik
amal wala hai to wo kahin bhi rahe aur kuch
bhi istemal kare wo usme neiki kamane ka
zariye dhoond he lega aur apna waqt usi mein sarf karega.


Aur kuch aise bhi log hote hain jo
har cheez ka ghalat istemal karte hain aur neki
ki jagah badi ko apne muqaddar kar lete hain.


Main Social Media par chatting ka support nahi
kar raha hun balki main chahta hun ki jab bhi
koi bat kahi jaye to Shariyat ke usool par kahi
jaye na ki kisi ek cheez ko centre point bana kar ki jaye,

aur haq ko bilkul waze kar diya jaye
taki har kisi ko maloom ho ki haq kya hai,
main janta hun social media bahut khatarnak cheez
hai aur isse zindgiya bhi kharab ho rahi hain

lekin main ye bhi janta hun ki College wa
Universities mein co-education aur Offices mein
mix working se bhi beshumar zindgiyan kharab
ho chuki hain jiski saikdo misale maujood hain,
@[1486652458258363:]
balki najayez talluqat bante hain aur zindigiya
tabah ho jati hain.

Aksar aap log Dajjali newspapers to padhte he honge usme pure pure
page inhi sab news se bhare hue hote hain.
Isi usool par mamu ki ladki, chacha ki ladki,
phuppi ki ladki, khala ki ladki agar bhai kah
kar bat kare to bhi batcheet haram he hogi na ki sahi ho jayegi.

Facebook aur Whatsapp par to
kuch ladke aur ladkiyan sirf text se he bat karte
hain, na ki ek dusre ko dekhte hain aur awaz
sunte hain, lekin jab in rishtedaro ke bache yani
chacha, phuppi, khala, mamu ki ladkiya aur
ladke amne samne ate hain to ye to bepardigi
ka bhi gunah hai aur awaz ka bhi gunah hai.

Sali se batcheet haram hai agar ghair zaroori
hai,
Dever se batcheet bhi haram hai balki
Hadees mein AAP
NABI – E – KAREEM HAZRAT MOHAMMAD MUSTAFA SALLALLAHU TA’ALA ALLAIHI WA SALLAM ne Dever ko Maut
kaha hai…


Ab facebook aur dusre social zaraye par kayi
ladke ladkiya apas mein behen bhai ban kar bat
karte hain aur kuch bina bahen bhai kahe ek
dost ki hasiyat se, to ye batcheet bhi haram
hai.


Main chahta hun ki agar rok ho to sabhi
jagah ho, parda ho to sabhi jagah ho kyunki
fitne ka andesha to har jagah mumkin hai phir
wo social media ho ya phir real life.
Ek usool shariyat ka ye bhi hai MUNH BOLE
rishte bhi Namehram he hote hain maslan kisi
ladke ne kisi ladki ko bahen kah diya to usse
batcheet bhi haram he hogi na ki bahen kahne
se Mehram ho jayegi.


Ya iske baraqas koi ladki kisi ladke ko bhai kah kar pukarne lage to wo
uske liye mehram ho jayega aisa bhi nahi hai
batcheet tab bhi haram hogi aur rishta ghair
mehram he hoga.

1. Kisi post par comments mein Ladka aur ladki
ka bat karna bhi HARAM hai agar ghair zaroori
hai.

2. Personal Messages mein bhi bat karna
HARAM hai agar ghair zaroori hai agar awaz aur
tasveer ke sath bat na ho to ghair zaroori baton
ke alawa deen wa islahi bat ki gunjaish hogi wo
bhi neik niyat wa karahiyat ke sath.

3. Isi tarah Rishtedar jaise Chacha, Mamu,
Khala, Phuppi ke ladke ladkiyo se, Door ke
rishte ki behno bhaiyo se, Jan pahchan ke logo
ke bacho se bhi ghair zaroori bat karna HARAM
he hai.

4. School mein padhne wale ladke ladkiyon ka
apas mein ghair zaroori bat karna HARAM he
hai.

5. Universities mein padhne wale ladke ladkiyo
ka apas mein ghair zaroori bat karna HARAM he
hai.

6. Offices mein kam karne wale ladke aur
ladkiyan bhi isi category mein ayenge ghair
zaroori bat HARAM ke darje mein he ayegi
khwah wo bhai kahe ya behen bs zaroorat tak
he bat ho wo bhi parde ke sath aur kadak awaz
mein taki namehram mutassir na ho.

7. Kisi bhi NAMEHRAM (Whatsapp ho, Facebook
ho, Twitter ho, Hike ho, We Chat ho, Line ho,
Vibar ho Yahoo Messenger ho, Hotmail
Messanger ho, Skype ho, Rediffbol ho waghairah
ke Namehram hon ya phir Khandan ke qareebi
rishte ke Namehram hon ya door ke rishte ke
Namehram hon) se ghair zaroori bat karna
HARAM ke darje mein he ayega illa ke niyat
pak ho, fitne ki na ho, lazzat hasil karne ki na
ho, aur awaz wa tasveer ki numaish na ho.

Main dawe ke sath ye kah sakta hun ki is waqt
Ummat ke Awam wa Khawas mein shayed 1%
bhi aise log na ho jo itne zyada taqwe wale hon
ki aise rishte aur Namehram se bachne wale
hon,

beherhal koshish to karni chahiye jitna ho
sake, aur ALLAH se dua bhi karni chaiye ki
ALLAH hum logo ko qubool kar le ki hum aisa
Nizam laye jisme in gunaho se musalmano ko
bachana asan ho sake yani Khilafat ka qiyam,


kyunki mukammal taur par gunaho ka khatma
siwaye Khilafat ke qiyam ke aur kuch nahi hai,

baqi ALLAH ke ghar niyato par faisle honge jiski
jaisi niyat hogi uski waisi pakad hogi,
koi shahwat(gandi) nazar se mile aur bat kare to use

uska badla milega aur koi deendari ki nisbat se
bat kare to use uska badla milega.
ALLAH se dua kare ALLAH humein jahan par bhi mauqa
de hum sirf DEEN ki sarbulandi wale kam kare

naki Shaytan wale phir wo Social Media ho ya
phir Real Life. ALLAH humein kahne sunne se
zyada amal ki taufeeq ata farmaye… AMEEN YA
RABBAL ALAMEEN.
NOTE: Har jagah khwah wo Internet ho ya phir
real life aise ladke aur ladkiyo ke liye kharabi

hai jo Social media ko sirf isiliye join karte hain
ki Ladke/Ladkiyo se bat karenge, unhe
patayenge,


zaleel aur ghaleez batein karenge,
dates jaise haram aur gande kam karenge,
phone number exchange karenge aur phir voice call karenge,

phir zina ka mauqa mil jaye to
usse bhi nahi chookenge, to aise logo ke liye
social media ko chhod dena he behtar hai warna

har waqt ka gunah sar par chadhta rahega.
Allah hamen islami
Masail ko sikhne aur samajhne
Ki toufiq ataa farmaye
*Aameen*


Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments