Hindustan (Barr-e-Sagheer) me Islaami Tawaarikh

 Hindustan (Barr-e-Sagheer) me Islaami Tawaarikh


(1) Islaam ki shuruat :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

♦  Hindustani Ashaaba :


 [1] Hazrat Taaj-ud-deen Hindi radiy-Allāhu ta’ala anhu sab se pehle Hindustani muslim hain.

Aap ka asl naam Rama Varma Kulashekhara tha. Aap Malabar [Kerala] ke Raaja the aur ‘Cheraman Perumaal’ naam se mash'hoor the.

Ek martaba Aap ne apne mahel ki baala-khaane par chaand ke do tukde hote hue aur phir un dono tukdo ko judte hue dekha.

7 Hijri (629 A.D.) me Kodungallur Aap ki mulaaqaat Arab taajiro se hui aur un se us Moaziza e Rasool ki haqeeqat pata chali ke “Hazrat Muhammad ibne Abdullāh sallallāhu alaihi wa sallam ne ailaan e nabuwwat kiya hai aur kaafiro ne aap se mo’azeeza talab kiya to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Jable Abu Qubais par khade hokar ungli ke ishaare se chand ke do tukde kiye aur phir un ko jod diya.”

Un taajiro ke jaane ke baad Aap ne islaam apnaaya.

Aap ne Hindustan me sab se pehli masjid ta’ameer ki, jo ‘Cheraman Jumaa Masjid’ ke naam se mash'hoor hai.



Is ke baad Malabar ke Mappila samaaj (community) ne sab se pehle Islaam apnaaya.


Kuchh waqt baad Aap Madeena munawwara tashreef le gaye aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haazir hue aur adrak ke Achaar ka hadiya pesh kiya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne sab ashaaba me us ka ek ek tukda taqseem kar diya.

Madeena munawwara me kuchh roz qayaam ke baad Aap Shaher Muqalla pahunche. Waha se Hajj ke liye tashreef le gaye.

Waapas aate waqt 11 Hijri me Oman me maqaame Zafar par Aap ka wisaal hua.

Aap ka mazaar Al-Baleed, Salalah (Oman) me hai.


(2) Hazrat Zubair urfe Haaji Baaba Ratan Hindi radiy-Allāhu ta’ala anhu sab se pehle Hindustani sahaabi hain.

Aap ne ek baar Bathinda ke jangal me ek pahaad par baithkar chaand ke do tukde hote hue aur phir un dono tukdo ko judte hue dekha.

Baad me Arab ke taajiro ke qaafile Aap ko ye pata chala ke Makka me Hazrat Muhammad ibne Abdullāh sallallāhu alaihi wa sallam ne elaan e nabuwwat kiya hai aur kaafiro ne aap se mo’azeeza talab kiya to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Jable Abu Qubais par khade hokar ungli ke ishaare se chand ke do tukde kiye aur phir un ko jod diya.

Kuchh waqt baad Aap ne Madeena munawwara pahunchkar Masjide Nabawi me Islaam ka izhaar kiya.


Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki dua se Aap ko ALLĀH ta’ala ne 700 saal ki umr ata farmai.


Aap ka mazaar Bathinda (Punjab) me hai.


♦  Hindustan me mash'hoor Sahaaba e Rasool ke mazaar :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾


[1] Hazrat Tameem bin Yu-Aar al-Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu (Kovalam, Tamil Nadu).

Aap Jung e Badr me shareek hone waale 313 ashaaba me se hain.

Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Aap Sindh me tashreef laaye aur 18 saal tak muqeem rahe aur ta’aleeme deen karte rahe.


Aap ke wisaal ke baad Aap ke saathiyo ne aap ki wasiyat ke mutaabiq Aap ka jisme aqdas ek sandooq me rakh diya aur ek khat me aap ke muta’alliq ma’aloomaat likhkar use usi sandooq me rakh diya. Aur us sandooq ko samundar me baha diya. 

5 saal baad woh sandooq Kovalam (Tamil Nadu) ke kinaare pahuncha. Yaha logo ne Aap ki tadfeen ki.


[2] Hazrat Ukaasha bin Muhsin radiy-Allāhu ta’ala anhu (Parangipettai, Tamilnadu).

Aap Jung e Badr me shareek hone waale 313 ashaaba me se hain aur sirf aap woh khushnaseeb sahaabi hain jin ko Mohre Nabuwwat ko bosa dene ka mauqa mila hai.


♦  Taabi'een

Hazrat Maalik bin Deenaar rahmatullāhi alaihi :

Aap isha’at e islaam ke liye Hindustan ke Taqipatanam (Madurakkara) tashreef laaye aur aaye. Phir Kasaragod (Kerala) me qayaam pazeer hokar ta’aleeme deen karte rahe.

Aap ne Hindustan me bahot saari masjide ta’amer ki, jin me ‘Maalik bin Deenaar Jumaa Masjid’ (Thalangara, Kasaragod, Kerala) mash'hoor hai.


Aap ne apne Husne akhlaaq aur ta’aleem e deen se bahot saare logo ko musalman banaaye.


************************ 

(2) Islaami hukoomat :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾


♦  Umayya hukoomat ke dauraan 92 Hijri me Sindh ke Raaja Daahir ne Hajj ke safar par jaa rahe logo ko aurto ke saath qaid kar liya aur un ka maal o saaman loot liya.

Iraq ke governor Hajjaaj bin Yousuf ne Raaja Daahir ko un logo ko riha karne ke liye paighaam bheja. Magar woh na maana.

Chunaanche us ne 92 Hijri (711 A.D.) me Damishq (Damascus) se 2 baar lashkar bhejkar Baluchistan aur Sindh par hamla kiya.

Aakhir me 93 Hijri (712 A.D.) me Hazrat Muhammad bin Qaasim rahmatullāhi alaihi ki sardaari me Arab lashkar ne Raaja Daahir ko harakar Sindh par fatah haasil ki aur phir wo Multan tak pahunche.


››  392 Hijri (986-87 A.D.) me Sultaan Aamir Naasir-ud-deen Sabuktigin ibn Jookan Ghaznawi ne Punjab fatah kiya. 


Us ke baad 392 Hijri (November 1001 A.D.) me Sultaan Mahmood Ghaznawi ne Peshawar me Raaja Jaypal ko haraaya aur is ke baad Hindustan ke dusre ilaaqo me hamle jaari rakhe.  417 Hijri (1026 A.D.) me Somnath par fatah haasil ki. 


Somnath fatah hone ke baad Sultaan Ghazni waapas laut gaye. Magar aap ke bhaanje Hazrat Ghaazi Sayyed Saalaar Mas'ood ne 422 Hijri (May 1031 A.D.) se Rajab 424 Hijri (June 1032 A.D.) tak Hindustan ke kai ilaaqo me Islaami hukoomat ko phailaaya. Aap 14 Rajab 424 Hijri (14 June 1032 A.D.) ko Brahmarchi (Bahraich) me Hindu Kshatriya raajao ke lashkar ke saath jung karte hue shaheed hue.


››  582 hijri (1186 A.D.) me Sultaan Shahaab-ud-deen Muhammad Ghori ne Khusrau Malik Ghaznawi ko harakar Lahore par fatah haasil ki.

Is ke baad 587 Hijri (1191 A.D.) Prithvi-Raaj Chauhan ke saath jung me nakaam hone ke baad 588 Hijri (1191 A.D.) me Prithvi-Raaj Chauhan ko harakar Ajmer par fatah haasil ki.


››  Sultaan Shahaab-uddeen Muhammad Ghori ne apne Ghulaam Qutub-ud-deen Aibak ko Hindustan ka Governor banaaya, jis ne ‘Delhi saltanat’ ki shuruat ki.


Sultaan Qutub-ud-deen Aibak ne 602 Hijri (1206 A.D.) me ‘Mamluk saltanat’ shuruat ki (1206 A.D. se 1290 A.D., 10 Sultaan).

Us ke baad 689 Hijri (1290 A.D.) me Jalaal-ud-deen Firoz Khilji ne ‘Khilji saltanat’ ki shuruat ki (1290 A.D. se 1320 A.D., 4 Sultaan);

721 Hijri (1321 A.D.) me Ghyaaṡ-ud-deen Tughlaq ne ‘Tughlaq saltanat’ ki shuruat ki (1320 A.D. se 1414 A.D., 9 Sultaan);

816 Hijri (1414 A.D.) me Khizr Khan ne ‘Sayyed saltanat’ ki shuruat ki (1414 A.D. se 1451 A.D., 4 Sutaan);

855 Hijri (1451 A.D.) me Bahlul Khan Lodi ne ‘Lodi saltanat’ ki shuruat ki (1451 se 1526 A.D., 3 Sultaan).


››  Is ke baad 932 Hijri (20 April 1526 A.D.) ko Panipat ki jung me Baabar ne Ibrāheem Lodi ko haraakar ‘Mughal saltanat’ ki shuruat ki.

(1526 A.D. se 1540 A.D. aur 1555 A.D. se 1857 A.D., 21 Sultaan)


Darmiyaan me Sultaan Sher Shaah Suri ne Humayun ko haraakar ‘Suri saltanat’ ki shuruat ki.

(1540 A.D. se 1555 A.D., 7 Sultaan)


Sultaan Aurangzeb Aalamgeer ne taqreeban pure Hindustan par Mughal Saltanat ko phailaaya aur 49 saal tak hukoomat ki.


1274 Hijri (1857 A.D.) me Aakhri Mughal baadshaah Bahaadur Shaah Zafar ko Angrezo ne Rangoon (Burma) me nazar qaid kar diya aur us ke 2 bete Mirza Mughal aur Mirza Khizr Sultaan aur Pote Mirza Abu Bakr ko qatl kar diya. Is tarah Mughal saltanat khatm hui aur Angrezo ne Delhi par qabza kiya.


››   Iran ke Naadir Shaah Durrani ne 1151 Hijri (March 1739 A.D.) me Delhi par hamla karke Mughal baadshaah Muhammad Shaah ko haraakar Delhi par qabza kiya.

Is ke baad Ahmad Khan Abdaali Durrani ne 1174 Hijri (14 January 1761 A.D.) me teesri Jung e Paanipat me Maratha ko haraakar Punjab aur Delhi par qabza kiya.


››  Bengal me Nasir-ud-deen Bughra Khan ne 679 Hijri (1281 A.D.) me ‘Balban saltanat’ ki shuruat ki, (1281 A.D. se 1324 A.D., 4 Sultaan).

Is ke baad Delhi Sultanat ke dauraan Fakhr-ud-deen Mubarak Shaah ne 738 Hijri (1338 A.D.) me alag hukoomat ki shuruat ki.

Is ke baad Ilyaas Shaah ne 753 Hijri (1352 A.D.) me ‘Ilyaas Shaahi saltanat’ ki shuruat ki (1352 A.D. se 1414 A.D. aur 1435 A.D. se 1487 A.D., 10 Sultaan);

Shehzaada Barbak ne 892 Hijri (1487 A.D.) me ‘Habashi saltanat’ ki (1487 A.D. se 1494 A.D., 4 Sultaan);

Ala-ud-deen Husain Shaah ne 899 Hijri (1494 A.D.) me ‘Husain Shaahi saltanat’ ki (1494 A.D. se 1538 A.D.);

Muhammad Khan Sur ne 961 Hijri (1554 A.D.) me ‘Muhammad Shaahi saltanat’ ki (1554 A.D. se 1564 A.D., 5 Sultaan);

Taaj Khan Karrani ne 971 Hijri (1564 A.D.) me ‘Karrani saltanat’ ki shuruat ki, (1564 A.D. se 1576 A.D.)

Mughal baadshaah Akbar ne Daawūd Khan Karrani ko harakar ‘Mughal saltanat’ shuru ki (1716 A.D. tak).


Nawaab Murshid Quli Khan urfe Ja’afar Khan Bahaadur Nasiri ne 1129 Hijri (1717 A.D.) me ‘Nasiri saltanat’ ki shuruat ki (1717 A.D. se 1740 A.D., 3 Nawaab).

Us ke baad Nawaab Muhammad Aliwardi Khan Bahaadur urfe Haashim-ud-Daula ne 1152 Hijri (1740 A.D.) me ‘Afsar saltanat’ ki shuruat ki, (1740 A.D. se 1757 A.D., 2 Nawaab).

Meer Muhammad Ja’afar Ali Khan Bahaadur ne 1170 Hijri (1757 A.D.) me Nawaab Muhammad Siraaj-ud-Daulah ko dhokhe se harakar ‘Najafi saltanat’ shuruat ki, (1757 A.D. se 1869 A.D., 13 Nawaab).

Nawaab Mubarak-ud-Daulah Ashraf Ali Khan Bahaadur ke zamaane me Angrezo ne apni dakhal shuru ki aur Nawaab Mansur Ali Khan Bahaadur ke zamaane me 1880 A.D. me Angrezo ne Bengal par qabza kar liya.


››  Kashmir me Malik Rinchan ne 1320 A.D. me Islaam apnakar Sadr-ud-deen Shaah naam se Islaami hukoomat ki shuruat ki.

Is ke baad Shams-ud-deen Shaah Meer ne 1339 A.D. me ‘Shaah Meer saltanat’ ki shuruat ki, (1339 A.D. se 1535 A.D., 18 Sultaan).

1561 A.D. me Kashmir Mughal saltanat me shaamil hua.


››   Sultaan Firoz Shaah Tughluq ke governer Zafar Khan urfe Muzaffar Shaah ne 793 Hijri (1391 A.D.) me Gujarat me ‘Muzaffari saltanat’ ki shuruat ki, (1391 A.D. se 1583 A.D., 16 Sultaan)

980 Hijri (1573 A.D.) me Mughal baadshaah Akbar ne Shams-ud-deen Muzaffar Shaah ko haraakar Gujarat ko Mughal saltanat me shaamil kiya.


››  Deccan me Sultaan Ala-ud-deen Hasan Bahman ne 747 Hijri (1347 A.D.) me ‘Bahamani saltanat’ ki shuruat ki.

Us ke baad Malik Ahmad Shaah Bahri urfe Nizaam-ul- Mulk ne 895 Hijri (1490 A.D.) me ‘Nizaam Shaahi (Ahmadnagar) hukoomat’ ki (1490 A.D. se 1636 A.D., 14 Sultaan), Fat'h-ullāh Imaad-ul-Mulk ne 895 Hijri (1490 A.D.) me ‘Imaad Shaahi (Berar) saltanat’ (1490 A.D. se 1574 A.D., 5 Sultaan), Qaasim Barid ne 897 Hijri (1492 A.D.) ‘Barid Shaahi (Bidar) saltanat’ (1492 A.D. se 1619 A.D., 9 Sultaan), Yousuf Aadil Khan ne 895 Hijri (1490 A.D.) me ‘Aadil Shaahi (Bijapur) hukoomat’, (9 Sultaan, 1490 A.D. se 1686 A.D.), Sultaan Quli Qutb-ul-Mulk ne 924 Hijri (1518 A.D.) me ‘Qutub Shaahi (Golkonda) saltanat’ ki shuruat ki (1518 A.D. se 1687 A.D., 8 Sultaan).

1046 Hijri (1636 A.D.) me Shaah Jahaan ke zamaane me Aurangzeb ne Murtaza Shaah Ṡaaliṡ ko harakar Ahmednagar ko Mughal Saltanat me shaamil kiya.

Mughal baadshaah Aurangzeb ne 1068 Hijri (1658 A.D.) me Sidi Marjan ko harakar Bidar ko, 1096 Hijri (1686 A.D.) me Sikandar Aadil Shaah ko harakar Bijapur ko aur 1097 Hijri (1687 A.D.) me Abul Hasan Qutub Shaah ko harakar  Golkonda ko Mughal Saltanat me shaamil kiya.


››   1103 Hijri (1692 A.D.) me Mughal baadshaah Aurangzeb ne Zulfiqaar Ali Khan Nusrat Jung ko Karnataka (Arcot) ka Nawaab banaaya. (1692 A.D. se 1855 A.D., 13 Sultaan). Aakhri Nawaab Ghulaam Muhammad Ghauṡ Khan ke intiqaal ke baad Angrezo ne Karnataka par qabza kiya.


››   1136 Hijri (1724 A.D.) me Nizaam-ul-Mulk Meer Qamar-ud-deen Khan ne Hyderabad me ‘Asaf Jaahi saltanat’ ki shuruat ki, (1724 A.D. se 1948 A.D., 7 Nawaab)

1798 A.D. me Nizaam Aali Khan (Asaf Jaah Ṡaani) ke daur me Angrez Hyderabad me daakhil hue.


››   1171 Hijri (1758 A.D.) ne Sultaan Haidar Ali Khan ne Khande Rao ko haraakar Mysore ke Sultaan bane.

Un ke baad Moharram 1197 Hijri (29 December 1782 A.D.) ko un ke shehzaade Sultaan Fateh Ali Khan urfe Tipu Sultaan Sultaan bane.

Aur Zil Qa’ada 1213 Hijri (4 May 1799 A.D.) ko Srirangapatna me Angrezo ke saath jung me Aap shaheed hue.


››   1134 Hijri (1722 A.D.) me Nawaab Sa’adat Ali Khan ne Awadh Saltanat ki shuruat ki, (1722 A.D. se 1858 A.D., 13 Nawaab).

1274 Hijri (1858 A.D.) me Nawaab Birjis Qadr ko harakar Angrezo ne Awadh par qabza kiya.


*********************

(3) Hindustan ki Aazaadi ke liye Angrezi (British) hukoomat ke khilaaf jung me shaamil hone waale chand mash'hoor Musalmano ke naam :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

Siraaj-ud-Daulah, Meer Qaasim, Sultaan Haidar Ali Khan aur Fateh Ali Khan urfe Tipu Sultaan, Yousuf Khan, Wali Khan, Teetu Miyan, Maulana Shaah Waliullāh Mohaddeeṡ Dehlawi, Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi, Sayyed Ahmad Shaheed, Maulana Wilaayat Ali Sadikpuri, Baadshaah Siraaj-ud-deen Bahaadur Shah Zafar, Allama Fazle Haq Khairabadi, Shaah Ahmad Saeed Mujaddidi Faarooqi, Muhammad Husain, Ahmad Yaar Khan, Nizaam Ali Khan, Ghulaam Ghauṡ, Khuda Bakhsh, Subedaar Ali Bakhsh Hamirpuri, Waaris Ali, Burhaan-ud-deen, Mujaahid Gul Muhammad, Shekhu Khan Pahelwan, Pir Ali, Sayyed Hasan Askari, , Maulana Ahmad Ali, Maulana Ahmadullāh Shah, Nawaab Khan Bahaadur Khan, Maulwi Liaqat Ali Ilāhabadi, Haaji Imdaadullāh Mahaajir Makki, Maulana Habeeb-ur-Rahmān Ludhyanawi, Dr. Saif-ud-deen Kichloo, Masih-ul-Mulk Hakeem Ajmal Khan, Allama Inaayatullāh Mashriqi, Dr. Mukhtar Ahmad Ansaari, Maulana Mazhar-ul-Haq, Maulana Zafar Ali Khan, Shaah Nawaaz Khan, Maulana Sayyed Mohammad Miyan, Maulana Mohammad Hifz-ur-Rahmān Seuharvi, Maulana Abdul Baari Firangi Mahli, Mufti Ateeq-ur-Rahmān Uṡmaani, Maulana Abul Kalaam Aazaad, Dr. Sayyed Mahmood, Khan Abdus Samad Khan Achakzai, Yousuf Ali Meher, Rafi Ahmad Qidwai, Asfaaqullāh Khan, Allama Mohammad Iqbaal, Ghulaam Abbaas Chaudhari, Shaikh Abdullāh, Sayyed Mohammad Sharf-ud-deen Qaadri, Khan Abdul Ghaffaar Khan (Sarhadi Gandhi) aur Dr. Khan;

Begum Hazrat Mahal, Bi Amma (Abadi Begum), Begum Shaah Zamaani, Azizan Bai, Zubaida Daawūdi, Zulaikha Begum, Amjadi Begum, Begum Nishat-un-Nisa (urfe Begum Hasrat Mohani), Mazhurunnisa Begum, Begum Akbar Jahan, Sa’adat Bano Kichloo, Razia Khatoon, Shafaat-un-Nisa Bibi, Asghari Begum, Zaahida Khaatoon Sherwani, Khadeeja Begum, Muneera Begum, Asmat Aara Khaatoon.


*********************

(4) Soofi silsile :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

Madaari silsila :

▪▪► Hindustan me Hazrat Sayyed Badi-ud-deen Madaar rahmatullāhi alaihi [Wilaadat 242 Hijri (856 A.D.) - Wisaal 17 Jamaadi ul awwal 837 Hijri (1434 A.D.)] (Makanpur [Uttar Pradesh]) 818 me Surat (Gujarat) tahreef laaye aur aap se ‘Madaariya’ silsila jaari hai.


▪▪► Hazrat Daata Ganj bakhsh Sayyed Ali al-Hujwiri rahmatullāhi alaihi 431 Hijri  (1041 A.D) me Lahore tashreef laaye. Aap ‘Junaidi’ silsila ke shaikh hain.


Chishti silsila :

▪▪► Hazrat Khwaja Sayyed Moeen-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi [Wilaadat 536 Hijri (1141 A.D.)– Wisaal 6 Rajab 633 Hijri (1230 A.D.)] 587 Hijri (1190 A.D.) me amn ka paighaam lekar Ata-e-Rasool aur Naa'ib-e-Rasool-fil-Hind bankar Ajmer tashreef laaye aur apni karaamaat aur husn e akhlaaq aur taaleem se Hindustan me Islaam ko mazboot kiya aur phailaaya aur aap se Hindustan me ‘Chishti’ silsila jaari hai.


Hindustan me Chishti silsila ki 2 mash'hoor shaakhen hain :

(1) Nizaami, (2) Saabri.


Nizaami Silsila :

Hazrat Khwaja Sayyed Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi (Delhi) se ‘(Chishti) Nizaami’ silsila jaari hai. 

Nizaami Silsila ki 2 shaakhen mash'hoor hain :

(1) Naasiri (2) Siraaji.


Hazrat Khwaja Sayyed Naasir-ud-deen Mahmood Chiraagh e Dehli rahmatullāhi (Delhi) se ‘Nizaami Naasiri’ silsila jaari hai.

Husaini, Fakhriya, Niyaazi, Meenaai, Safawi, Inaayati,  Sulaimāni, Habeebi, ye ‘Naasiri’ silsila ki shaakhen hain.

Hazrat Khwaja Banda nawaaz Gaisu daraaz Sayyed Muhammad Husaini rahmatullāhi alaihi (Gulbarga, Karnataka) se ‘(Naasiri) Husaini’ silsila jaari hai.


Hazrat Khwaja Siraaj-ud-deen Akhi Siraaj rahmatullāhi alaihi  (Gaur, West Bengal) se ‘Nizaami Siraaji’ silsila jaari hai.

Hazrat Makhdoom Sayyed Ashraf Jahaangeer Simnani rahmatullāhi alaihi (Kichhauchha, Uttar Pradesh) se ‘(Siraaji) Ashrafi’ silsila jaari hai.


Saabri silsila :

Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Ali Ahmad Saabir rahmatullāhi alaihi (Kaliyar) se ‘(Chishti) Saabri’ silsila jaari hai.

Imdaadi, Sahviya, Jahaangeeri, Aaswi, Saajidi ye ‘Saabri’ silsile ki shaakhen hain.


Suharwardi silsila :

▪▪► 619 Hijri (1222 A.D.) se Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Zakariya rahmatullāhi alaihi [Wiladat (1170 A.D.) – Wisaal 665 Hijri (1267 A.D.)] (Multan / Pakistan) se ‘Suharwardi’ silsila jaari hai.

Aap ke khalifa Hazrat Sayyed Jalaal-ud-deen Surkh-posh Bukhari rahmatullāhi alaihi (Uch, Punjab / Pakistan) se ‘Jalaali’ silsila jaari hai.

Jis ki Makhdoomi aur Shaahi shaakhen mash'hoor hain.

Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi (Uch / Pakistan) se ‘Makhdoomi’ silsila jaari hai.

Hazrat Shah e aalam Sayyed Siraaj-ud-deen Muhammad rahmatullāhi alaihi se ‘Shaahi’ silsila jaari hai.


▪▪► Hazrat Meer Sayyed Ali Hamadani rahmatullahi alaihi (Kashmir) ‘(Kubrawiya) Hamdaaniya’ silsila jaari hai.

Hazrat Shaikh Badr-ud-deen Samarqandi rahmatullāhi alaihi se ‘(Kubrawiya) Firdausi’ silsila jaari hai.


Qaadri silsila :

▪▪► Hazrat Sayyed Mohammad Ghauṡ Bandagi bin Sayyed Shams-ud-deen Qaadri al-Jilani al-Halabi rahmatullāhi alaihi [Wisaal  923 Hijri (1517 A.D.)] (Uch, Punjab / Pakistan) 887 Hijri (1482 A.D.) me tashreef laaye aur Aap se ‘Qaadri’ silsila jaari hai.


Hazrat Shaikh Baha-ud-deen bin Ibrāheem al-Ansaari rahmatullāhi alaihi [Wisaal 11 Zil Hajjah 921 Hijri (January 1516 A.D.)] (Daulatabad, Maharashtra) se ‘Qaadri’ silsila ki shaakh jaari hai.

Jis se Barkaati, Noori, Razawi, Amjadi, Naeemi, Hashmati silsile ta’aalluq rakhte hain.

Hazrat Sayyed Shaah Barkaatullāh Marehrawi rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh) se ‘Barkaati’ silsila jaari hai.

Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullahi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh) se ‘Razawi’ silsila jaari hai.


In ke ilaawa Hindustan me ‘Qaadri’ silsile ki Meeraani, Kamaali, Munemi, Naushaahi, Sarwari Qaadri, Maizbhandari, Waarṡi, shaakhen mash'hoor hain.


Rifai silsila :

▪▪►Hazrat Sayyed Shaah Najm-ud-deen Abdur Raheem Mehboobullāh Rifai rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat) se ‘Rifai’ silsila jaari hai.


Shaazili silsila :

▪▪► Hazrat Shaikh Abu Bakr Miskeen saahib rahmatullāhi alaihi (Kayalpatnam, Tamil Nadu) Aur Hazrat Shaikh Meer Ahmad Ibrāheem rahmatullāhi alaihi  (Madurai, Tamil Nadu) se ‘Shaazili’ silsila jaari hai.


Naqshbandi silsila :

Hindustan me ‘Naqshbandi Ahraari’ silsla ki 3 shaakhen mash'hor hain :

▪▪► Hazrat Khwaja Razi-ud-deen Muhammad Baaqi Billāh rahmatullāhi alaihi (Delhi) 1008 Hijri (1599 A.D.) me Delhi tashreef laaye aur Aap se ‘Naqshbandi’ silsila jaari hai.

Aap ke khalifa Hazrat Mujaddid e Alfe ṡaani Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi (Sirhind, Punjab) se ‘(Naqshbandi) Mujaddidi’ silsila jaari hai.

Jis ki Fazle Rahmāni, Mazhari, Khaalidi, Ghaffaari, Taahiri, Qaasimi, Mustafai, Saifi, Taaji, shaakhen mash'hoor hain.

Hazrat Shams-ud-deen Habeebullāh Mirza Mazhar Jaan-e-Jaanaan rahmatullāhi alaihi (Delhi) se ‘Mazhari’ silsila jaari hai.

Hazrat Maulana Shaah Fazl-e-Rahmān Gunj-muradabadi rahmatullāhi alaihi (Gunjmuradabad, Uttar Pradesh) se ‘Fazle Rahmāni’ silsila jaari hai.


▪▪► Hazrat Sayyed Abdullāh Naqshbandi Ahraari rahmatullāhi alaihi ke khalifa Hazrat Khwaja Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Agra, Uttar Pradesh) se ‘Naqshbandi Abul Ulai’ silsila jaari hai.


▪▪► Hazrat Khwaja Sayyed Jamaal-ud-deen Daana Shaah rahmatullāhi alaihi (Surat, Gujarat) se ‘Naqshbandi Juybari’ silsla jaari hai.


Maghribi silsila :

▪▪► Hazrat Shaikh Baaba Is'hāq al-Maghribi rahmatullāhi alaihi (Khattu, Rajasthan) se ‘Maghribi’ silsila jaari hai.


▪▪► Hazrat Makhdoom Zain-ud-deen Ali Mahimi rahmatullāhi alaihi (Mumbai, Maharashtra) se ‘Maghribi Akbari’ silsila jaari hai.


Shattari silsila :

▪▪► Hazrat Siraj-ud-deen Abdullāh Shattaar rahmatullāhi alaihi (Jaunpur, Uttar Pradesh) se ‘Shattaariya’ silsila jaari hai.


************************ 

(5) Mujaddid e Islaam :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾


Hazrat Khwaja Sayyed Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi (Wilaadat 1141 A.D. [1230 A.D.]) – Wisaal 6 Rajab 633 Hijri [1230 A.D.]) (Ajmer) 7wi sadi ke Mujaddid hain.


Hazrat Khwaja Sayyed Nizaam-ud-deen Auliya Mehboob e Ilāhi rahmatullāhi alaihi (Wilaadat 635 Hijri [1238 A.D.] – Wisaal 17 Rabi-ul-aakhir 725 [3 April 1325]) (Delhi) 8wi sadi ke Mujaddid hain.


Hazrat Sayyed Shaah Wajeeh-ud-deen Ahmad Alwi Gujarati rahmatullāhi alaihi (Wilaadat 22 Moharram 910 Hijri [1504 A.D.] – Wisaal 28 Moharram 988 Hijri [1580 A.D.]) (Ahmedabad) 10wi sadi ke Mujaddid hain.


Hazrat Mujaddid e Alfe ṡaani Imaam Shaikh Ahmad Faarooqi Sirhindi rahmatullāhi alaihi (Wilaadat 14 Shawwaal 971 Hijri [4 June 1564 A.D.] – Wisaal 26 Safar 1034 Hijri [8 Dec 1624 A.D.)] (Sirhind) 11wi sadi ke Mujaddid hain.


Mughal baadshaah Hazrat Muhiy-ud-deen Muhammad Aurangzeb Aalamgeer rahmatullāhi alaihi (Wilaadat 29 Zil Hijja 1027 Hijri [4 November 1618  A.D.] – Wisaal 17 Zil Qa’ada 1118 Hijri [20 February 1707 A.D.])  aur Hazrat Shaikh Mulla Ahmad Jeewan rahmatullāhi alaihi (Wilaadat 1047 Hijri [1637 A.D.] – Wisaal 1130 Hijri [1718 A.D.]) (Khuldabad) 12wi sadi ke Mujaddid hain.


Hazrat Allama Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi (Wilaadat 1157 Hijri [1745 A.D.] – Wisaal 1238 Hijri [1823 A.D.]) aur Hazrat Khwaja Shaikh Shaah Ghulaam Ali Abdullāh Naqshbandi Dehlawi rahmatullāhi alaihi (Wilaadat 1156 Hijri [1743 A.D.] – Wisaal 22 Safar 1240 Hijri [15/16 October A.D.]) 13wi sadi ke Mujaddid hain.


Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi (Wilaadat 10 Shawwal 1272 Hijri [14 June 1856 A.D.] – Wisaal 25 Safar 1340 Hijri [28 October 1921 A.D.]) (Bareilly) 14wi sadi ke Mujaddid hain.


****************

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me

Aur Hazrat Khwaja Ghareeb nawaaz rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se

Hindustan ke musalmano par apna khaas karam farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.

Aur sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur in baato ko yaad rakhne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Post a Comment

0 Comments