Allah Ke Wali ki pehchaan

Allah Ke Wali ki pehchaan

Allah Ke Wali ki pehchaan


*Huzoor Nabi-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam irshaad farmate hain ki Qayamat ke din
ALLAH ke kuchh bande aise honge jo na nabi honge aur na shohda magar unke maqaam aur bulandi ko dekhkar baaz ambiya aur shuhda bhi rashq karenge
(Abu daood,jild 3,safah 288)



* ALLAH rabbul izzat Quran e muqaddas me irshaad farmata hai ki "beshak ALLAH ke wali muttaqi hi hote hain
(Paara 9,surah infaal,aayat 34)



* Aur taqwa parhezgari khashiyat bagair ilm ke namumkin hai jaisa ki maula Quran me irshaad farmata hai ki "ALLAH se uske bandon me wahi darte hain jo ilm waale hain
( Paara 22,surah faatir,aayat 28)

Allah Ke Wali ki pehchaan


* Huzoor ghause paak Raziyallahu ta'ala anhu farmate hain ki tasawwuf sirf guftugu nahin balki amal hai aur farmate hain ki jis haqiqat ki gawaahi shariyat na de wo gumraahi hai
(Futuhul gaib,safah 82)



* Hazrat mujaddid ulf saani raziyallahu taala anhu farmate hain ki jo shariyat ke khilaf ho wo mardood hai
(Maktubate imaam rabbani,h 1,maktoob 36)



* Hazrat shahab uddin saharwardi raziyallahu taala anhu farmate hain ki jisko shariyat radd farmaye wo haqiqat nahin bedeeni hai
( Awareful maarif,jild 1,safah 43)



* Hazrat imaam gazaali raziyallahu taala anhu farmate hain ki jis haqiqat ko shariyat baatil bataye wo haqiqat nahin balki kufr hai
( Tajalliyate shaikh mustafa raza,Safah 149)



* Hazrat ba yazeed bustami raziyallahu taala anhu farmate hain ki agar tum kisi ko dekho ki wo hawa me udta hai paani par chalta hai gaib ki khabreib batata hai magar shariyat ki itteba nahin karta to samajhlo ki wo mulhid wa gumraah hai
(Saba sanabil sharif,safah 186)

Allah Ke Wali ki pehchaan


* Ek shakhs hazrat junaid baghdadi raziyallahu taala anhu se ye sochkar mureed hone ke liye aaya ki hazrat se koi karamat dekhunga to mureed ho jaoonga,
wo aaya aur aakar aastane me rahne laga is tarah poore 10 saal guzar gaye aur 10 saalon ke baad wo namuraad hokar wapas jaane laga,

hazrat ne use bulwaya aur kaha ki tum 10 saal pahle aaye yahan rahe aur ab bina bataye ja rahe ho kyun,

to kahne laga ki maine aapki badi taareef suni thi ki aap bakaramat buzurg hain isliye aaya tha ki aapse
koi karamat dekhunga to aapka mureed ho jaoonga magar pichhle 10 saalon me maine aapse ek bhi karamat saadir hote hue nahin dekhi isliye ja raha hoon,

hazrat junaid baghdadi raziyallahu taala anhu farmate hain ki ai jaane waale toone pichhle 10 saalon me mera
khaana peena,sona jaagna,uthna baithna sab kuchh dekha magar kya kabhi aisa koi khilafe shara kaam bhi hote dekha,

ispar wo kahne laga ki nahin maine aapse kabhi koi khilafe sharah kaam hote nahin dekha,to aap farmate hain
ki ai shakhs kya isse badi bhi koi karamat ho sakti hai ki 10 saalon ke taweel arse me ek insaan se koi khilafe sharah kaam hi na ho
(Taarikhul auliya,jild 1,safah 67)



* Huzoor ghause paak raziyallahu taala anhu farmate hain ki main ek jungle me tha bhook aur pyaas ka sakht galba tha,

achanak mere saamne ek raushni chha gayi aur ek aawaz aayi ki ai ABDUL QAADIR main tera rub hoon aur tujhse bahut khush hoon isliye aajse maine tumpar har haraam cheezen halaal farma di aur tum par se namaz bhi maaf farma di,

ye sunte hi maine LAHAUL SHARIF padha to fauran wo raushni gayab ho gayi aur ek dhuwan sa rah gaya fir aawaz aayi ki ayi ABDUL QAADIR main shaitan hoon tujhse pahle isi jagah par maine 70 auliya ikram ko gumrah kiya hai magar tujhe tere ilm ne bacha liya,

ispar Huzoor ghause paak raziyallahu taala anhu farmate hain ki ai mardood mujhe mere ilm ne nahin balki rub ke fazl ne bachaya hai,ye sunte hi iblees faraar ho gaya
 (Behijjatul asraar,safah 120)

Allah ke Wali kon Hote Hai 

*In sab baaton ka nichod ye hai ki*

! Agar hawa me udna wilayat hoti to iblees layeen sabse bada wali hota ki saatwin zameen ke bhi neeche tahtus sara me rahta hai magar jaise hi naam liya paas aakar baith jaata hai ki 3500 saal se bhi zyada ka safar wo pal bhar me tai kar leta hai,
magar wo wali nahin

! Agar paani pe chalna wilayat hoti to kaafir bhi apne jaadu se paani par chala karte hain,magar wo wali nahin

! Agar gaib ki khabar dena wilayat hoti to kabhi kabhar nujumi yaani strologer bhi sahi bhavisya waani kar diya karte hain,magar wo wali nahin

! Namaze chhodne waala, daadhi mundane waala,
Music sunne waala,

na mahram aurton ki sohbat me baithne waala,
jhoot bolne waala faasik hai hargiz wali nahin

*Alhaasil jo ilm waala hoga wahi taqwe waala hoga aur jo taqwe waala hoga wahi ALLAH ka wali hoga lihaza wali ko uske taqwe se pahchaane karamat se nahin,

ab agar taqwa aur parhezgaari dekhna hai to baraily sharif chala jaaye aur jaakar mere peero murshid huzoor TAJ-US SHARIYA daamat barkatuhumul aaliya ka ek baar apni aankhon se deedar kar aaye khud bakhud samajh jaayega ki wali kaisa hota hai,

unhein dekhte hi huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ki wo hadees yaad aa jayegi ki aap farmate hain "wali wo hai jise dekhkar tumhe khuda ki yaad aa jaaye*
( Tirmizi,jild 2,safah 39)

Post a Comment

0 Comments