April Fool Manana Islam Me Jaiz Nahi

April Fool Manana Islam Me Jaiz Nahi

April Fool Manana Islam Me Jaiz Nahi


Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 208 :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا ادْخُلُوا فِي السِّلْمِ كَافَّةً وَلَا تَتَّبِعُوا خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ ۚ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُبِينٌ

Aye Eimaan walo, Islaam me pure daakhil ho jaao aur shaitaan ke raasto par na chalo, Beshak wo tumhara khula dushman hai.
O you who have believed, enter into Islaam completely [and perfectly] and do not follow the footsteps of Shaitan. Indeed, he is to you a clear enemy.

Ye Bhi Padhen ↓↓↓↓
  1. Valentine Kaun Hai
  2. ValentinesDay- Quraan Wa Hadees Ki Roshni Mein
  3. Valentines Day in Islam
  4. Sohbat (humbistari) ka Islamic Tariqa
Hadees e Nabawi :

(1) Tum me se koi shakhs us waqt tak kaamil mo’min nahi ho sakta jab tak ke us ki khwaahishat us deen ke taabe’ na ho jaaye jise main lekar aaya hu.
(Bukhari)

(2) Jo shakhs jis qaum ki naqal karega (mushabihat ikhtiyaar karega) us ka hashr usi qaum ke saath hoga.
(Abu Daawūd, Hadees -4031)

(3) Aqlmand wo shakhs hai jo apne nafs ko ALLĀH ke taabe’ kare aur maut ke baad ke liye amal kare aur bewakoof wo shakhs hai jo apne nafs ko apni khwaahish ke taabe’ kare aur ALLĀH par ummid rakhe.
(Ibne Maajah, Tirmizi)

*******************
♦  Ghair-muslim ke tareeqe ya rasm apnaana ya sahi maanna ya un ke tehwaar manana ya un ki ta’azeem karna ya mubarak-baad dena ye kufr hai.

››  ALLĀH ta’ala Qur’an majeed me farmaata hai :
Aye mere mo’min bando, Tum eimaan laaye ho to har waqt har amal shariate Islaam ke mutaabiq karne ki puri koshish karo.
Ya’ni Ibaadat me, tehwaar me, shaadi me aur dusre khushi ke mauqe par, janaa'iz (maiyat) me, majlis me ya juloos me, kisi se mulaaqat me aur har mauqe par Qur’an aur Sunnat o hadees par amal karte raho ke isi me kaamyaabi hai aur ghairo ke taqeeqe ko na apnaao.

Shaitaan mo’min ka khula dushman hai aur har waqt use behkaakar kar shariate Islaam se door karke gunah ki taraf le jaane ki koshish karta hai. Jab koi insaan us ke makro fareb me phanskar gunaah karta hai to shaitaan khush hota hai.
Aur jab koi banda apna eimaan bachaate hue ALLĀH ki raza ke liye Ishq e Rasool ke saath nek amal karta rehta hai to ALLĀH ta’ala raazi hota hai aur use deen wa dunya ki bhalaai ata farmaata hai.

*******************
♦ Kai baar shaitaan musalmano ko nafs ke zariye behkaata hai aur kai baar hume lagta hai ke Ghair-muslimo ke tehwaar aur tareeqa achha hai.

Mo’mino ko chaahiye ke hamesha islaami tareeqa apnayen aur ghair-muslim ke tehwaar manaane se aur us me saamil hone se door rahen.

››  1st  April ko jaanbuz kar jhoot bola jaata hai aur log jhoot bolkar aur dusro ko dhoka dekar pareshaan karke khushi manaate hain aur khud ko us se behtar samjhte hain.

››  Hum Rasm nibhaane ke liye ya maza lene ke liye Jhoot bolte hain.
Jhoot bolna gunaah e kabeerah hai.
Jhoot bolne wale par ALLĀH ta’ala ki la’anat hoti hai aur rahmat aur barkat kam ho jaati hai.
Jhoot bolne ki aadat ka sab se bada nuqsaan ye bhi hai ke jhoot bolne wala jab sach bolta hai to bhi log us ki baat par yaqeen nahi karte.

Qur’an :
3 Surah Aale Imraan, Aayat 61 :
Jhooto par ALLĀH la’anat bhejta hai.

Hadees e Nabawi :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai ki
Us shakhs ke liye barbaadi hai jo logo ko hansaane ke liye jhoot bole.
Us shakhs ke liye badi kharaabi hai jo mazaaq me bhi jhut bolta hai.
(Mishkaat)

Jhoot se bacho. Bila shubah jhoot gunaah ki taraf le jaata hai aur gunaah jahannam me pahunchane waale hai. (Abu Daawūd)

››  Hum maza lene ke liye jhoot bolte hain magar jis ne hum par bharosa kiya ho us ko hum dhoka dete hain.
Kisi ko dhoka dena gunaah e kabeerah hai.

Hadees e Nabawi :
Jo dhoka de woh hum [musalmaano] me se nahi.
(Tirmizi, Hadeeṡ -1315 )

›› Hamare Jhoot se ya Dhoka dene se dusro ko pareshaani hoti hai.
Kisi ko pareshaan karna ya takleef dena gunaah e kabeerah hai.

Qur’an :
5 Sural al-Maa'idah, Aayat 2 :
Aur neki aur parhezgaari (ke kaamo) me ek dusre ki madad kiya karo aur gunaah aur zulm (ke kaamo) me ek dusre ki madad na karo aur ALLĀH se darte raho beshak ALLĀH (na-farmaani karne walo ko) sakht Azaab dene wala hai.

Hadees e Nabawi :
Jis ne kisi musalman ko sataaya ya use dhoka diya us par ALLĀH ki la’anat hai.

››  Hum Jhoot bolkar kisi ko dhoka dekar ye samajhte hain ke hum ne use bewaqoof banaaya aur hum us se behtar hain. Ye Takabbur (ghuroor) hai.
Takabbur gunaah e kabeerah hai.

Qur’an :
31 Surah Luqmaan, Aayat 18 :
Beshak ALLĀH tamaam takabbur karne wale, itraakar chalne walo ko pasand nahi farmaata.

Hadees e Nabawi :
Jis ke dil me raai ke daane ke baraabar bhi Takabbur (ghamand) hoga wo Jannat me daakhil nahi hoga.

***********
››  Huzoor Pyare Aaqa Sayyed ul ambiya Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke pyare ummatiyo
Ye ahad karo ke ke Ghairo ke tehwaar aur tareeqe kitne bhi achhe lage lekin hume sirf apne mazhab ka sahi tareeqa apnaana hai aur 1st April ko bhi aur hamesha ke liye Jhoot bolne se door rehna hai aur Gunaah se bachne ki koshish karke ALLĀH ta’ala ko raazi karna hai aur Ita’ate wa Itteba e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam karke apne Ishq e Rasool ka saboot paish karna hai.

Aap log ye sab baaten apne dosto, Rishtedaaro aur Padosiyo ko bataakar unhe bhi aise Jhoot, Dhoka, Dusro ko pareshaan karne waale aur takleef dene waale aur gunaaho waale tehwaar manaane se door rehne ke liye samjhayen.

Kisi ko nek amal karne ke liye kehna ya gunaah se bachne ke liye kehna bhi bahot badi neki hai.

***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko hidaayat ata farmae aur sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sahi ilme deen haasil karne ki aur Sahi baat samajhne ki taufiq ata farmae aur Sahi aqeede ke saath sahi nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Sab ko sach bolne ki aur shariat e Islaam par amal karne ki aur Ghair-muslim ke tehwaar manaane se door rehne ki aur Gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko Dunya aur aakhirat me kaamyaabi aur bhalaai ata farmaye.
Aameen.


Post a Comment

0 Comments