HAJJ KA BAYAN

HAJJ KA BAYAN Hajj ke Faraiz, wazibat, sunnat Aur Hajj karne ka poora tareeqa


HAJJ KA BAYAN


SAWAL:
Hajj Kab Farz Hua

JAWAB:
Hajj 9 Hijri Mein Farz Hua

Namaz Wa Zaqat Aur Roze Ki Tarah Hajj Bhi Islam Ka Ek Rukn Hai

Iska Farz Hona Qatayi Aur Yaqini Hai

Jo Is Ki Farziyat Ka Inkar Kare Woh Kafir Hai

Aur Is Ki Adayegi Mein Taakhir Karne Wala Gunahgar

Aur Is Ka Tarq(chhodne) Wala Fasique Aur Azabe Jahannam Ka Sazawar Hai

ALLAH Ta-ala Ne Quraane Majeed Mein Irshad Farmaya KI

Hajj Wa Umrah Ko ALLAH Ke Liye Poora Karo

Ahadees Mein Hajj Wa Umrah Ke Fazail Aur Ajro Sawab Ke Bare Mein Badi Badi Bisharatein Aai Hain

Magar Umr Mein Sirf Ek Bar Hi Farz Hai


HADEES

Ek Hadees Mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya

Ki Jis Ne Hajj Kiya Aur Hajj Ke Darmiyan Rafash ( Fahush Kalam ) Aur Fisq Na Kiya To Wah Is Tarah Gunahon Se Pak Saaf Ho Kar Lauta

Jaise Usi Din Apni Maa Ke Pet Se Paidah Hua hai

( Sahih Bukhari Kitabul Hajj Bab Fazlul Hajj Jild 1 Page 512 )


HADEES

Hajj Wa Umrah Mohtaji Aur Gunahon Ko Is Tarah Door Karte Hain

Jaise Bhatti Lohey Aur Chandi Sone Ke Mail Ko Door Karti Hai

Aur Hajje Mabroor Ka Sawab Jannat Hi Hai

( Sunan Tirmizi Kitabul Hajj Bab Maja Fi Sawabul Hajj Wal Umrah Jild 2 Page 218 )


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Islami Masail
► Auraton ke MasaiL
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL


HAJJ WAJIB HONE KI SHARTEN


Hajj Wajib Hone Ki 8 Sharten Hain
Jab Tak Yeh Sab Na Pai Jayen Hajj Farz Nahin


( 1 ) Musalman Hona Kafir Par Hajj Farz Nahin

( 2 ) Darul Harb Mein Ho Toh Yeh Bhi Zaruri Hai Ki Janta Ho Ki Hajj Islam Ke Arkan Mein Se Hai

( 3 ) Baligh Hona Yani Nabaligh Par Hajj Farz Nahin

( 4 ) Aaqil Hona Lihaza Majnun Par Hajj Farz Nahin

( 5 ) Aazad Hona Yani Laundi Aur Ghulam Par Hajj Farz Nahin

( 6 ) Tandrust Hona Ki Hajj Ko Ja Sake Is Ke Azaa (jism ke hisse) Salamat Hon
Lihaza Apahij Aur Falij Wale Aur Jiske Paon Kate Hon

Aur us Budhey Par Ki Sawari Par Khud Na Baith Sakta Ho Hajj Farz Nahin

Yun Hi Andhey Par Hajj Farz Nahin Agarchey Pakad Kar Chalne Wala Usey Mile

In Sab Par Bhi Yeh Zaruri Nahin Ki Kisi Ko Bhej Kar Apni Taraf Se Hajj Kara Den

( 7 ) Safare Kharch Ka Malik Hona Aur Sawari Ki Qudrat Hona Chahiye

Sawari Ka Malik Ho Ya Us Ke Paas Itna Maal Ho Ki Sawari Kiraye Par Le Sake


( 8 ) Hajj Ka Waqt Yani Hajj Ke Mahinon Mein Tamam Sharait Paye Jayen

( Radul Muhtar Maye Durre Mukhtar Kitabul Hajj Matalab Fin Hajj Bamale Haram Jild 3 Page 521)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Nikah Ke Masail
► Aulia Allah Ka Zikar
► Hidayat Post
► Join Free SmS Service On Mobile


WUJUBE ADA KE SHARAET

Yahan Tak To Wujub Ke Sharaet Ka Bayan Hai Ab Sharaete Ada Ka Bayan Hota  Hai

Ki Agar Yeh Sab Sharten Pai Jayen Toh Khud Hajj Ko Zaruri Hai

Aur Agar Yeh Sab Sharten Na Pai Jayen Toh Khud Hajj Ko Jana Zaruri Nahin

Balki Dusre Se Hajj Kara Sakta Hai

Ya Wasiyyat Kar Jaye

Magar Is Mein Yeh Bhi Zarur Hai

Ki Hajj Karane Ke Bad Akhir Umr Tak Khud Qadir Na Ho

Warna Khud Bhi Hajj Karna Zaruri Hoga Woh Shartein Ye Hain

( 1 ) Rastey Mein Aman Amaan Hona

Yani Agar Ghalib Ghuman  Yeh Ho Ki Danka Ya Ladai Ki Wajah Se Jaan jaye Ho Jayegi Toh Hajj Ke Liye Jana Zaruri Nahin

( 2 ) Aurat Ko Makka Jane Mein 3 Din Ya Zyadah Ka Rasta Ho Toh Uske Hamrah Shauhar Ya Mahram Ka Hona Shart Hai

Khwah Woh Aurat Jawan Ho Ya Budhiya

Aur Agar 3 Din Se Kam Ka Rasta Ho Toh Aurat Baghair Shauhar Aur Mahram Ke Bhi Ja Sakti Hai

Magar Mahram Se Murad Woh Mard Hai Ki Jis Se Hamesha Ke Liye Us Aurat Ka Nikah Haram Ho

Jaise Beta, Baap, Bhai Waghairah

Ya Sasural Ke Rishtey Se Nikah Haram Ho Jaise Sasur Ya Shauhar Ka Beta

Aurat Shauhar Ya Mahram Jis Ke Sath Safar Kar Sakti Hai Uska Aaqil, Baligh, Ghaire Fasique Hona Shart Hai

( 3 ) Hajj Ko Jane Ke Zamaney Mein Aurat Iddat Mein Na Ho

Chahey Wafat Ki Iddat Ho Ya Talaq Ki

( 4 ) Qaid Mein Na Ho

( Fatawah Hindiya Kitabul Manasik Bab Awwal Jild 1Page 218-219



SIHUATE ADA KI SHARTEIN

Sihuate Ada Ki 9 Shartein Hain Ki Agar Yeh Na Pai Jayen To Hajj Sahih Nahin Hoga

Woh Sharayet Yeh Hain

( 1 ) Musalman Hona

( 2 ) Ehraam Baghair Ehraam Ke Hajj Nahin Ho Sakta

( 3 ) Hajj Ka Waqt Yani Hajj Ke Liye Jo Waqt Shariyyat Ki Taraf Se Muayyan Hai Is Se Qabl Hajj Ke Afa-aal Nahin Ho Sakte

( 4 ) Af'aale Hajj Ki Jaghon Par Af'aale Hajj Karna

Maslan Tawaf Ki Jagah Masjide Haraam Hai

Wukuf Ki Jagah Maidane Arafat Wa Mujdalifa Hai

Kankari Marne Ki Jagah Minah Hai

Agar Yeh Kaam Dusri Jagah Karega Toh Hajj Sahih Nahin Hoga

( 5 ) Tameez Karna Itna Chota Bachcha Ki Jis Mein Kisi Chiz Ki Tameez Hi Na Ho Uska Hajj Sahih Nahin

( 6 ) Aqal Waala Hona Ki Majnoon(Pagal) Aur Deewane Ka Hajj Sahih Nahin

( 7 ) Hajj Ke Farayiz Ko Ada Karna
Jis Ne Hajj Ka Koi Farz Chod Diya Us Ka Hajj Sahih Nahin Hua


( 8 ) Ehraam Ke Baad Aur Arafat Mein Wukuf She Pahle Jamaa Na Hona Agar Hoga Toh Hajj Batil Ho Jayega

( 9 ) Jis Saal Ehraam Bandha Usi Saal Hajj Karna Agar Is Saal Ehraam Bandha Aur Chahe Isi Ehraam Se Aaindah Saal Hajj Kare Toh Yeh Hajj Sahih Nahin Hoga

( Radul Muhtar Mae Durre Mukhtar Kitabul Hajj Matalab Fimin Hajj Ba Male Haraam Jild 3 Page 522 )



HAJJ KE FARAIZ



Hajj Mein Yeh Chizen Farz Hain

( 1 ) Ehraam Yeh Shart Hai

( 2 ) Wukufe Arfaa Yani Nawin Zulhijja Aaftab Dhalne Se Daswin Ki Subhe Sadique Se Pahle Tak Kisi Waqt Arfaat Mein Thaharna

( 3 ) Tawafe Ziyarat Ka Aksar Hissa Yani 4 Fairey

Yeh Donon Chizen Yani Arfa Ka Wukuf Aur Tawafe Ziyarat Hajj Ka Rukn Hain

( 4 ) Niyyat

( 5 ) Tarteeb Yani Pahle Ehraam Bandhna Fir Arfaa Mein Thaharna Fir Tawafe Ziyarat

( 6 ) Har Farz Ka Apne Waqt Par Hona

( 7 )Makaan Yani Wukufe Arfaa Maidane Arafat Ki Zameen Mein Hona

"Siwa Batne" Arnaa Ke Aur Tawaf Ka Makaan Masjidul Haraam Shareef Hai

( Durre Mukhtar Maye Radul Mohtar Kitabul Hajj Matalab Fi Farozul Hajj W0a Wajibah Jild 3 Page 536-537 )


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Ghussa-Aur-Zid-Khatam-Karne-Ka-Amal
► NAMAZ-CHHODNE-WALO-KI-SAZAA
► Gareebi-Door-Hone-Ke-Lie-Amal


HAJJ KE WAJIBAAT 


Hajj ke Wajibaat yeh Hain

( 1 ) Meeqat Se Ehraam Bandhna

Yani  Meeqat Se Baghair Ehraam Bandhe Aage Aage Na Guzarna

Aur Agar Meeqat Se Pahley Hi Ehraam Bandh Liya Jaye Toh Jayez Hai

( 2 ) Safa Wa Marwah Ke Darmiyan Daudna Is Ko Sayi Kahtey Hain

( 3 ) Sayi Ko Safa-a Se Shuru Karna

( 4 ) Agar Uzar Na Ho Toh Paidal Sayi Karna

( 5 ) Din Mein Maidane Arafat Mein Wukuf Kiya Hai Toh Itni Der Tak Wukuf Kare Ki Aftab Ghurub Ho Jaye

Khwah Aftab dhaltey Hi shuru
kiya Tha Ya Baad Mein Gharaz Ghurube Aftab Tak Wukuf Mein Mashghul Rahe

Aur Agar Raat Mein Maidane Arafat Mein Wukuf Kiya Hai

 Toh Us Ke Liye Kisi Khas Had Tak Wukuf Karna Wajib Nahin

Magar Woh Is Wajib Ka Tarik Hua KI Din Mein Ghurube Aftab Tak Wukuf Karta


( 6 ) Wukuf Mein Raat Ka Kuch Hissa Aa Jana

( 7 ) Arafat Se Wapsi Mein Imaam Ki Pairawi Karna

Yani Jab Tak Imaam Maidane Arafat Se Na Nikle Yeh Bhi Na Chale

Han Agar Imam Ne Waqt Se Takhir Ki Toh Use Imam Se Pahle Maidane Arafat Se Rawana Ho Jana Jayez Hai

Aur Agar Zabardast Bheed Ki Wajah Se Ya Kisi Dusri Zarurat Se Imam Ke Chale Jane Ke Bad Maidane Arafat Mein Thahra

 Raha Yani Imam Ke Sath Na Gaya Jab Bhi Jayez Hai

(8 ) Mujdalifah Mein Thaharna

( 9 ) Maghrib Wa Ishaa Ki Namaz Ka Ishaa Ke Waqt Mein Mujdalifa Mujdalifa Pahunch Kar Padhna

( 10 ) Teenon Zamron Par Daswin Gyarhwin barahwin Teenon Zamron Par Kankariyan Marna

( 11 ) Jamatul Uqba Ki Rami Pahle Din Sar Mundane Se Pahle Hona

( 12 ) Har Roz Ki Rami Ka Usi Din Hona

( 13 ) Ehraam Kholne Ke Liye Sar Mundana Ya Baal Katarwana

( 14 ) Yeh Sar Mundana Ya Baal Katarwana Ayyame Nahar Yani

 Daswin Gyarahwin Barahwin Zulhijja Ki Tarikhon Ke Andar Ho Jana

Aur Sar Mundana Ya Baal  Katarwana Minah Yani Haram Ki Hadood Ke Andar Hona

( 15 ) Qiraan Ya Tamattou Karne Walon Ko Qurbani Karna

( 16 ) Aur Is Qurbani Ka Hudude Haram Aur Ayyame Nahar Mein Hona

( 17 ) Tawafe Ziyarat Ka Aksar Hissa Ayyame Nahar Mein Ho Jana

Arafat Se Wapsi Mein Jo Tawaf kiya Jata Hai Is Ka Naam Tawafe Ziyarat Hai Aur Is Tawaf Ko Tawafe Ifaza Bhi Kahte Hain

( 18 ) Tawaf Hateem Ke Bahar Hona

( 19 ) Dahini Taraf Se Tawaf Karna Yani Kabae Muazzama Tawaf Karne Wale Ke Baain Janib Ho

( 20 ) Uzar Na Ho Toh Paaon Se Chalkar Tawaf Karna

Han Uzar Ho Toh Sawari Par Bhi Tawaf Karna Jayez Hai

( 21 ) Tawaf Karne Mein Ba Wuzu Aur Ba Ghusl Rahna

Agar Be Wuzu Aur Janabat Ki Halat Mein Tawaf Kar Liya Toh Tawaf Ko Dohraye

( 22 ) Tawaf Karte Waqt Sitar Chupana

( 23 ) Tawaf Ke Bad 2 Rikaat Namaz Tahiyyatut Tawaf Padhna Lekin Agar Nahin Padhi Toh Dam Wajib Nahin

( 24 ) Kankariyan Marne Aur Qurbani Karne Aur Tawafe Ziyarat Mein Tarteeb Yani

Pahle Kankariyan Mare Fir Ghaire Mufrid Qurbani Kare For Sar Mundae Fir Tawafe Ziyarat Kare

( 25 ) Tawafe Sadar Yani Meqqat Ke Bahar Rahne Walon Ke Liye Rukhsat Ka Tawaf Karna

( 26 ) Wukufe Arfa Ke Baad Sar Mundane Tak Jima-a Na Hona

( 27 ) Ehraam Ke Mamnuat Maslan Sila Hua Kapda Pahanne Aur Munh Ya Sar Chupane Se Bachna

( Bahare Shariyyat Hissa 6 Page 16-17 )


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Namaze-Janaza-Mai-Takbir-Ke-Waqt-Aasman-Ki-Taraf-Munh-Uthana
► Janaze-Ko-Kandha-Dene-Ka Tareeqa


HAJJ KI SUNNATEIN



Hajj Ki Sunnatein Yeh Hain

( 1 ) Tawafe Kudum Yani Meeqat Ke Bahar Se Aane Wala

Ki Makka-e-Muazzama Pahunch Kar Sab Mein Pahla Jo Tawaf Kare Is Ko Tawafe Kudum Kahte Hain

Tawafe Kudum Mufrid Aur Qarin Ke Liye Sunnat Hai Mumat-tea Ke Liye Nahin

( 2 ) Tawaf Ka Hajre Aswad Se Shuru Karna

( 3 ) Tawafe Kudum Ya Tawafe Ziyarat Mein Ramal Karna Yani Shana Hila Hila Kar Aur Chote Chote Qadam Rakhte Hue Akad Kar Chalna

( 4 ) Safah Aur Marwah Ke Darmiyan 2 Sabz Rang Ke Nishanon Ke Darmiyan Daurdna

( 5 ) Imaam Ka Makka Mein 7 Win Zulhijja Ko Khutba Padhna

( 6 ) Isi Tarah Maidane Arafat Mein 9 Win Zulhijja Ko Khutba Padhna

( 7 ) Isi Tarah Minah Mein 11 Win Tarikh Ko Khutba Padhna

( 8 ) 8 Win Zulhijja Ko Fajr Ke Baad Makke Se Minah Ke Liye Rawana Hona

Taki Minah Mein Zohar Asar Maghrib Ishaa Fajr Ki 5 Namazein Padh Li Jayen

( 9 ) Zulhijja Ki 9 Win Raat Minah Mein Ghuzarna

( 10 ) Aaftab Nikalne Ke Baad Minah Se Arfat Ko Rawana Hona

( 11 ) Arfaat Mein Thaharne Ke Liye Ghusl Kar Lena

( 12 ) Arafat Se Wapsi Mein Mujdalifa Ke Andar Raat Ko Rahna

( 13 ) Aur Aaftab Nikalne Se Pahle Yahan Se Minah Ko Chala Jana

( 14 ) 10 Aur 11 Ke Baad Jo Donon Raatein Hain In Ko Minah Mein Ghuzarna

Aur Agar 13 Win Ko Bhi Minah Mein Raha Toh 12 Win Ke Baad Ki Raat  Bhi Minah Mein Rahe

( 15 ) Abtah Yani Wadiye Muhsaab Mein Utarna Agarchey Thodi Hi Der Ke Liye Ho

( Bahare Shariyyat Hissa 6 Page 18 )



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Shohar-bivi-me-Mohabbat-ke-liye-Ek-Qurani-Amal
► Burayi-se-Chhutkare-Ke-Lie-Ek Amal
► Ladka-Paida-Hone-ka-Amal
► NAJAIZ-TA-LLUQ-KHATM-KARNE-KA-AMAL
► Ladka-Paida-Hone-ka-Amal


ZARURURI TANBIH


Hajj Ke Faraiz Mein Se Agar Ek Bhi Chhoot Gaya Toh Hajj Hoga Hi Nahin

Aur Hajj Ke Wajibaat Mein Se Agar Kisi Wajib Ko Chod Diya Khwah Jankar Choda Ho Ya Bhool se Toh Us Par Ek Dam Wajib Hai

Aur Uska Hajj Batil Nahin Hua

Haan Albattah Baaz Wajib Aisi Bhi Hain Ki In Ke Chodne Se Qurbani Lazim Nahi Hoti

Masalan Tawaf Ke Baad Ki 2 Rikaaten Tahiyyatut Tawaaf Wajib Hain

Lekin Agar Koi Chod De Toh Us Par Qurbani Lazim Nahin

Aur Hajj Ki Sunnaton Mein Se Agar Koi Sunnat Chod De Toh Isse Na Toh Hajj Batil Hoga Na Qurbani Lazim Hogi

Haan Albattah Hajj Ke Sawab Mein Kuch Kami Aa Jayegi

( Radul Muhtar Kitabul Hajj Matalab Fi Farozul Hajj Jild 3 Page 542 )