NAMAZI K SAAMNE SE GUZARNA MANA HAI HATNA GUNAH NAHI


NAMAZI K SAAMNE SE GUZARNA MANA HAI
HATNA GUNAH NAHI...

Aamtor se Masjido me Dekha Gya Hai ki Do Shakhs Aage Piche Namaz Pardhte Hai

Yaani Ek Pichli saff me aur Dusra Uske Saamne Agli saff me

Agli Saff me Namaz Pardhne wala Pichewale se Pahele Faarigh Hojata hai

Aur Fir Uski Namaz Khatm hone ka Intezaar krta raheta hai ki Wo Salaam phere tab wo Yahan se hate

Aur isse pahele hatne ko Namazi ke saamne se Guzarna khayal Kiya jata hai

Haalanki aisa nahi Hai Aage Namaz Pardhnewala Apni Namaz Padhker hatt jaaye to us per Guzarne ka Gunah Nahi Hai.


Khulasa Ye Hai ki Namazi ke Saamne se Guzarna Mana Hai Htana Manaa Nahi

Sadrush'shariha Hazrat Maolana Amjad Ali Sahab Aazmi Farmate hai

"AGER DO SHAQS NAMAZI Ke AAGE Se GUZARNA CHAHATE Ho Aur Sutra Ko KOI CHIZ Nahi

TO UNME Se eK NAMAZI Ke Saamne UskI TARAF Peeth KeRKE KHADA HO JAAYE AUR DUSRA USKI AAD PAKAD KE GUZER JAAYE

FIR WO DUSRA USKI PEETH KE PICHE NAMAZI KI TARAF PUST(peeth) KERKE KHADA HO JAAYE
WO DUSRA JIDHER SE AAYA USI TARAF HATT JAAYE"

(Fatawa Aalamgiri.Raddul mohtar Bahare Shariyat, Hissa 3 page-156)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓


NOTE: SuTRA kehte hai
koi aise chiz jo Namazi aage rakhdi jaye jisse log aage se guzar sake
Sutra kam se Kam ek hath lamba aur
ek Ungli
ke barabar Mota ho,
iske alawa
Lambayi aur motayi chahe kitna bhi ho Harj nahi
koi bhi chiz ho chahe lakdi ka danda hi kyu na ho
Sutra hojaega

ISse Zahir Hai ki Guzarne Aur Hatane me farq Hai

Aur guzarne ka Matlab Ye Hai ki Namazi ke Saamne se aaye aur Dusri taraf se Nikal Jaaye

Ye Yaqinan Najayaz Aur Gunah Hai Aur  Namazi k Saamne Baitha Hai Aur kisi Tarafse Hatt  Jaaye To Ye Guzarna Nahi Hai Aur Isme Koi Gunaah Nahi Hai...


Hamare Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments