Sawaari ki dua

Sawaari Ki Dua


Sawaari ki dua


بِسْمِ اللَّهِ و الْحَمْدُ لِلَّهِ
سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ
وَإِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ
(Qur’an : 43 Surah az-Zukhruf, Aayat 13-14)

Bismillāhi Walhamdulillāhi
Sub'hānallazee sakhkhara lanaa hāzaa wa'maa kunnaa lahū muqrineen.
Wa innaă ilā rabbanaa la-munqaliboon.

बिस्मिल्ला वलहम्दुलिल्लाह
सुब्हानल्लज़ी सख्खर लना हाज़ा वमा कुन्ना लहू मुक़रिनीन. व इन्ना इला रब्बिना लमुनक़लिबून

Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shuru ALLĀH ke naam se aur tamaam ta’areefen ALLĀH hi ke liye hain.
Paak hai woh (ALLĀH ki) zaat jis ne is ko hamare taabe kar diya haalaanki hum ise qaaboo me nahi laa sakte the.
Aur beshak hume apne Rab ki taraf zaroor laut kar jaana hai.

Translation :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
In the name of ALLĀH and All praise be to ALLĀH alone.
Glory be to him (ALLĀH) who has made it subservient to us whereas we could not bring it under control.
And indeed we are bound to return to our Lord.

*******
Maujooda daur me jab hum kisi bhi sawaari par safar karte hain to har waqt haadse (accident) ka khatra rehta hai.

Is liye Sawaari (Safar) ki dua yaad kar len aur jab bhi kisi bhi sawaari par (Cycle, Scooter, Bike, Car, Bus, Train, Aeroplane, ya phir Ghoda, Oont ya aur koi jaanwar par) kahi bhi safar karna ho (aap khud driving kar rahen ho ya sawaari par baithen ho) to yeh dua zaroor padh len.

Sawaari par baithte (chadhte) waqt pehle ‘Bismillāh’ padhen aur (apni jagah par) baithne ke baad ‘Alhamdulillāh’ padhen aur phir jab safar shuru ho tab ye Dua padhen.

Agar shuru me dua padhna bhool jaayen to jab yaad aaye tab yeh dua zaroor padh len.

Is dua ko padhne se inshaa Allāh pure safar ke dauraan ALLĀH ta’ala ki hifaazat me rahenge.

Agar koi ek shakhs bhi yaqeen ke saath safar me ye dua padh le to ALLĀH ta’ala us sawaari me safar karne waale sab ki hifaazat faregmaa.

Agar dua yaad na ho to apne mobile me is Photo ko rakhen ya yeh Dua likhkar apne paas rakhen aur safar shuru hote hi padh len.

*******
Aap jab sawaari (vehicle) chala rahe ho tab mobile par baat na karen.
Agar baat karni ho to sawaari ko rok den.

Aap ki zindagi aur sehat aap ke ghar waale, rishtedaaro aur dosto ke liye zaroori hai.
Apni laa-parwaahi ki wajah se dusro ko takleef me na daalen.

*******
Aap sab khud bhi ye sab yaad rakhen aur apne dosto aur rishtedaaro ko bhi ye sab baaten bataakar is par amal karne ke liye kahen.

Neki ki baat sikhaane waala bhi neki karne waale jaisa hai.
Neki karne waale ko bhi utna hi ṡawaab milta hai aur sikhaane waale ko bhi is ka ṡawaab milta hai.

*******
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko in baato ko yaad karke us par amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ki hifaazat farmae.
Aameen.