Hazrat Shams-ud-deen Mohammad Tabrizi Rahmatullahi alaihi

Shams-ud-deen Mohammad Tabrizi


​Hazrat Shams-ud-deen Mohammad Tabrizi rahmatullāhi alaihi 

Aap ki wilaadat 580 Hijri (1185 A.D.) me Tabriz (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Ali bin Malik-e-Daad hai.
***************
Aap ne bachpan me Hazrat Shaikh Abu Bakr Sallebaf rahmatullāhi alaihi se taaleem haasil ki.
Is ke baad aap ne Shaafi mazhab ki Fiqh ki kitaab ‘al-Tanbih fil fiqh al-Shafi'i’ ki taaleem haasil ki (jo Hazrat Abu Is'hāq al-Shirazi rahmatullāhi alaihi ne likhi hai).
Aap ne Tasawwuf, Fiqh, Kalaam, Ilm e Istadalaal aur Falsafa ka ilm haasil kiya.
***************
Aap Baghdad, Damishq (Damascus), Halab (Aleppo), Kayseri, Aksaray, Sivas, Erzurum aur Erzincan ka safar karte rahe.
Aap apne saath sirf ek chattai rakhte. Aap jab kisi jagah wuqoof karte to kisi khaanqah me theharne ke bajay saraay me theharte aur khud ko ek musafir batate. Aur tokriya banakar ya kamar-band banakar use bechkar apna guzraan kar lete.
Aur akṡar waqt sufiya e kiraam aur ulma ki mehfilo me guzaarte aur tanhai me ibaadat aur riyaazat me guzaarte.
***************
642 Hijri (November 1244 A.D.) me aap Konya pahunche.
Ek baar Maulana Jalaal-ud-deen Rumi rahmatullāhi alaihi bahot saari kitaaben saath rakhkar padh rahe the. Itne me Hazrat Shams Tabrizi waha se guzre. Aap ne puchha ‘Kya kar rahe ho?’ Aap ka saada libaas dekhkar Maulana Rumi ne kaha ‘Aap nahi samajh sakenge.’ Aap ne un kitaabo ko lekar qareeb me ek jhil ke andar phenk diya. Maulana Rumi ne jab un kitaabo ko paani se baahar nikala to wo sab bilkul sookhi thi. Unho ne puchha ‘Hazrat, ye kaise hua?’ Aap ne farmaya ‘Ye tum nahi samajh sakoge.’
Ye dekhkar Maulana Rumi samajh gaye ke Hazrat Shams Tabrizi ek wali e kaamil hain. Unho ne din wa raat saara waqt un ki sohbat me guzaarna shuru kar diya. Aur apni Mudarris ki aur apne pariwar ki zimmedaari bhi bhul gaye. Jab aap ko pata chala ke Maulana Rumi ke shaagird is baat ki wajah se naraaz ho gaye hain tab Shawwaal 643 Hijri (March 1246 A.D.) me bagair kisi ko bataaye Konya se rawaana ho gaye.
Aap ke achaanak chale jaane se kuchh waqt tak Maulana Rumi ghamzada ho gaye.
Unho ne Hazrat Shams Tabrizi ko waapas aane ke liye bahot saare paighaam bheje. Aakhir me jab apne saahbzade Sultaan Walad ko bheja tab aap Konya waapas aaye. Aap ke waapas aane se Maulana Rumi bahot khush hue aur un ki sohbat me rehkar faiz haasil karne lage.
Kuch arsa Maulana Rumi ke saath Konya me guzaarne ke baad aap waha se Khoy aa gaye.
***************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ne ‘Maqaalat’ (Discourses) naam ki ek kitaab likhi hai.
***************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Khush-mijaazi us saaf paani ki tarah hai jis se paid-paudhe khilte hai aur sabz wa taaza rehte hai aur Gham-geeni us kichad ki tarah hai jis se khile hue paid-paudhe murza jaate hain.
(2) Achha insaan fariyaad karne me aur dusro ke aib dekhne me waqt zaaya nahi karta.
(3) Jaisa tum kahoge achha ya bura, waisa hi tumhare saamne aayega. Is liye agar koi tumhare baare me bura sochta hai aur agar tum bhi us ke baare me bura kahoge to is se sirf baat bigdegi aur tum us daayre me phanse hue rahoge.
***************
Aap Hazrat Baba Kamaal-ud-deen Jundi rahmatullāhi alaihi ke mureed hain.
Aap ke Khalifa Hazrat Maulana Jalaal-ud-deen Rumi rahmatullāhi alaihi hain.
***************
Aap ka wisaal 8 Rajab 646 Hijri (1248 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Khoy (Iran) me hai.
***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shams Tabrizi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments