NAFLI ROZON KI FAZILAT

NAFLI ROZON KI FAZILAT

NAFLI ROZON KI  FAZILAT
           -----------------------------


  AASHURAH KA ROZAH


Yani 10 Muharram Ka Rozah Aur Behtar Yeh Hai Ki 9 Muharram Ka Rozah Bhi Rakhe

RASOOL ALLAH ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya Ki Ramzan Ke Baad Afzal Rozah Muharram Ka Rozah Hai
( Muslim Kitabul Soam Baab Fazl Saum Ul Muharram R: 1163 S: 591)

Aur Irshad Farmaya Ki Aashurah Ka Rozah Ek Saal Pahle Ke Gunah Mita Deta Hai
( Muslim Kitabul Soam Baab Istahbab Soam Salato Ayam R: 1162 S:589 )


ARFAA KA ROZAH


Yani 9 Zul Hijjah Ka Rozah

Huzure Aqdas ( Sallalahu Alaihi Wasallam ) Ne Irshad Farmaya  Ki Arfaa Ka Rozah Ek Saal Pahle Aur Ek Saal Bad Ke Gunaho Ko Mita Deta Hai
( Muslim Kitabul Soam Baab Istahbab Soam SalatovAyam R: 1162 S: 589 )

Hazrate ;AAISHA SIDDIQUA ;
( Radi Allahu ta ala Anha )
Farmati Hain Ki

RASOOL ALLAH ( Sallallahu Ta Ala  Alaihi Wasallam ) Arfaa Ke Roze Ko Hazaron Roze Ke Barabar Batate They

Magar Hajj Karne Walon Ko Jo Maidane Arfaat Mein Hon Unko Is Roze Se Mana Farmaya
( Al Moajula Mul Ausat R: 6802 Jild:5 S:127 )


  SHAWWAL KE 6 ROZE


RASOOL ALLAG ( Sallallahu Ta Ala Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya

Jisne Ramzan Ke Roze Rakhe Fir Inke Bad 6 Din Shawwal Ke Roze Rakhe

Toh Woh Aisa Hai Jis Ne Hamesha Rozah Rakha

Aur Farmaya Jis Ne Eid Ke Bad
6 Roze Rakhe Toh Usne Pure Saal Ke Roze Rakhe
( Muslim Kitabul Saum Baab Istahbab Saum R: 1164 S: 592 )


  1. TIKAF KA TARIKA
  2. Zakaat-Ke-Masail
  3. Sadqa-e-Fitar-Ka-Bayaan


 SHABAAN KA ROZAH AUR SHABE BARAAT


RASOOL ALLAH ( Sallalahu Ta Ala  Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya

Ki Jab Shabaan Ki Pandrahwin Raat ( Shabe Barat ) Aaye Toh

Is Raat Me Qayaam Kiya Karo Yani Nafl Namazen Padho

Aur Is Din Mein Rozah Rakho Ki  ALLAH.  Ta ala Suraj Dubne Ke Baad Se Aasmane Duniya Par Khas Tajalli Farmata Hai

Aur Aelaan Farmata Hai Ki

Kya Hai Koi Bakhshish Ka Talab Ghar Ki Main Usko Bakksh Dun

Kya Hai Koi Rozi Talab Karne Wala Ki Main Use Rozi Dun

Kya Hai Koi Giriftaar Hone Wala Ki Main Use Rihayi Dun

Kya Hai Koi Aisa

Kya Hai Koi Aisa

Is Qism Ki Nidayen Hoti Rahti Hain Yahan Tak KI Fajar Tulu Ho Jaati Hai (Yahi Subah Sadiq) hojati
hai
( Mishkaat Kitabul Salat Baab Qayam Sehre Ramzan R: 1308 Jild: 1 Safa:375 )

New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments