Dini SawaL-JawaB Part-1

Dini SawaL-JawaB

Dini SawaL-JawaB



Sawal (1) --- Lower ya T-shirt me Namaz padhna kaisa hai

Jawab --- Agar lower pahankar shaadi me ja sakta hai to bila shubah masjid bhi ja sakta hai

agar lower pahankar interview dene ja sakta hai to yaqinan khuda ke saamne bhi ja sakta hai,

bahar haal shariyat ne makruh rakha hai agar uske paas doosre kapde ho to warna isi me namaz ho jayegi magar ye adab ka masla hai lihaza parhez karen
(Bahare shariyat,hissa 3,safah 171)
Sender by ----
Firoz azhari - Bahraich

Sawal (2) --- Jahez jo aurat ko milta hai uspar kiska haq hota hai

Jawab --- Jahez aurat ki milk hai agar aurat ke marne par uske ghar waale maangte hain to dena padega aur jo kuchh usne biwi par kharch kiya uske badle jahez nahin rakh sakta kyunki naan wa nafqa uspar waajib tha

(Ahkame shariyat,hissa 2,safah 178)
----------------------------------------
Sender by ----
Farzana begum - Allahabad


Sawal (3)--- Sahaba ikram me sabse lambi umr kisne paayi hai

Jawab --- Salman faarsi raziyallahu taala anhu,aapne hazrat eesa alaihissalam ka zamana bhi paaya hai

(Madarejun nubuwat,jild 2,safah 121)
----------------------------------------
Sender by ----
Mohammed Aatif - mumbai


Sawal (4) --- Kya huzoor ke wisaal ke baad se hi masjide nabwi ko gumbade khazra kaha jaata hai ya pahle bhi kaha jaata tha

Jawab --- 1255 hijri me sultan mahmood ne uspar hara rang chadhwaya tabse wo gumbade khazra ke naam se mashhoor hua usse pahle uspar safed rang tha aur tab use qubbatul baida kahte the aur masjide nabwi pahle bhi log kahte the aur aaj bhi kahte hain bas huzoor ke rauze ko gumbade khazra kaha jaata hai

(Maahnama ashrafia,june 1998)
----------------------------------------
Sender by ----
Rizwan ahmad - kanpur

Sawal (5)--- Kya zakaat ramzan me hi farz hai

Jawab --- Aisa nahin hai maan lijiye aaj 19/3/2017 ko aapko 52.5 tola chaandi ki keemat supppose 30000 rs kahin se mil gayi jo ki aapki hai,aur kal ye paisa kharch kar diya phir saal bhar aapke paas paisa aata jaata raha ya na bhi raha magar agle saal 18/3/2018 ko agar aapke paas phir se 52.5 tola chandi ki keemat maujood rahi to aap par usi waqt zakaat farz ho jayegi,isme takheer karna gunah hai,so ramzan ya kisi mahine ka koi aitbaar nahin aap saahibe nisaab kab hue ye dekha jayega

(Durre mukhtar,jild 2,safah 29)
----------------------------------------

Sawal (6) --- Agar kisi gair muslim ladki ne ye kaha ki main baad me musalman houngi magar pahle abhi tum mere mazhab par aa jao aur wo muslim ladka aisa karne ko taiyar ho gaya halaanki usne islaam nahin chhoda to aise me kya hukm hai

Jawab --- Maaz ALLAH summa maaz ALLAH,ek hota hai dil me khatra paida hona yaani waswasa aana aur ek hota hai us waswase par azm karna yaani usko pukhta karna,to ladki ka ye kahna ki tum mere baatil mazhab par abhi aa jao baad me main musalman ban jaungi agar isko usi waqt radd kar diya jaata to ye waswasa kahlata magar uska is baat ko maan lena ki theek hai abhi main kaafir ho jaata hoon maaz ALLAH,turant kaafir ho gaya agar che baad me fira ya nahin koi maayne nahin rakhta
 logon ne deen ko mazaaq bana liya hai ki jaisa chahe karen imaan to mere baap ki jageer hai ki kahin jayegi nahin,mazaaq me bhi agar kisi ne ye kah diya ki main wahabi hoon ya kaafir hoon to fauran islaam se khaarij ho gaya uski koi taweel nahin suni jayegi ki maine mazaaq me kaha ya hosh me,aur jisne kufr kiya aur baad ko phir se islaam qubool karna chahta hai to kar le magar uski zindagi bhar ka kiya gaya saara amal barbaad ho gaya,jitni namaze padh chuka tha sab barbaad ho gayi phir se sabki qaza kare yunhi saare roze gaye phir se roze ki qaza kare hajj kiya hajj gaya phir se hajj kare biwi rakhta tha to nikah toot gaya naye sire se naye mahar se nikah kare aur wo bhi tab jab ki biwi chahe agar biwi uske nikah me ab nahin aana chahti to ye kya iska baap bhi use taiyar nahin kar sakta wo aazad ho gayi jisse chahe nikah kare yunhi mureed tha to baiyat bhi toot gayi phir se baiyat kare
 Aise hi logon ke baare me quran me aata hai ki jaahil chaupayo yaani jaanwaro se badtar hai ki jaanwar bhi jiska khaate hain use achchhi tarah pahchante hain magar ye jaahil musalman khaata to apne rub ka hai magar apne rub ko hi nahin pahchaanta

(Fatawa mustafviya,safah 16)
----------------------------------------
Sender by ----
Afzal ansari - kanpur

*** Agar aapke dil me bhi kuchh deeni Sawalat ho aur jinka jawab aap Janna chahte ho To Hamare Contact Form Me
Jayen Aur Hamen Msg Karen

👇👇
• Apka Naam
• Apki City
• Apka Sawal
Likhkar Bhejen 👇👇
 📩 Contact Form
 
Insha Allah Jald Jawab Isi Web Me Post kie Jayenge Par Jaldi Na Karen
Hum Jald Jawab Post Karne ki Koshish Karenge
Aur Hamare Pas Kisi bhi Tarah ke Ruhaani Ilaaj Ya Istekhara ke Liye
Message Na Karen Kyunki hum Ye Kaam Nahi Karte Hai

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Ruhaani Ilaaj Quran Se
► Dini Knowledge
► Nabiyon Ka Bayaan

Yahan Se Download Karen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Audio Speech
► Video Speech
► Islami Books

Post a Comment

2 Comments

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe