Sohbat Ka islamic Tariqa

Sohbat Ka Islamic Tariqa in hindi
Add caption


JINSI AMAL LAMHA BA LAMHA


Aaiye Ab Is Baat Ka Jayzah Liya Jaye
Ki Jima-a Aur Humbistari Ka Amal Kis Tarah Anjaam Payega

Yaad Rahe Ki "ALLAH" Ta-ala Ka Irshad Hai

وَ اللّٰہُ لَا یَسۡتَحۡیٖ مِنَ الۡحَقِّ

WALLAHU LA YASTAHYI MINAL HAQ
( Sure Ahzab Ayat 53 )

"ALLAH" Ta-ala Haq Kahne Se Nahin Sharmata
Hazrat Aayesha ( Radiallahu Taala Anha ) Farmati Hain
Ansar Ki Aurtein kya Khoob Hain

jinke Tahseele ilm Ki Raah Mein Haya Rukawat Nahin Hui
( Sahi Muslim )
Ek Hadees Mein Marwi Hai Ki Koi Apni Biwi Se Is Tarah Jimaa Na kare
Jaise Janwar Ek Dusre Se Karte Hain

Balki Ibteda Mein Kuch Guftgu Aur Boso Kinar Waghairah Hona Chahiye
Lekin Muhaddesin Ne Ba Aetbar Sanad Is Riwayat Ko Zaeef Qarar Diya Hai
Dusri Hadees Mein Hai Ki Jab Koi Apni Biwi Ke Paas Aaye Toh Is Tarah Nanga Na Ho
Jis Tarah Do Gadhey Nange Hote Hain

Lekin Ahle Ilm Ne Ise Bhi Zaeef  Karar Diya hai
Teesri Hadees Mein Hai Ki Jab Koi Apni Biwi Ya Laundi Ke Paas Ham Bistri Ki Gharz Se Jaye
Toh Boso Kinar Guftugu Aur Malatfat Se Pahle Jimaa Na Kare
Lekin Ye Hadees Bhi Munkir Aur Zaeef Hai

Is Mauzua (Topic ) Par Kuch Aur Bhi Ahaadees Bayan Ki Jati Hain
Lekin Wah Sab Ke Sab Zaeef Aur Na Qabile Qubool Hain
Kitaab Wa Sunnat Mein Is Mauzua Par Ba Sarahat Tafseeli Rahnumai Na Hone Ki Bina Par

Aaiye Usool Wa Maqasad Shariyat Insani Fitrat Aur Ilme Nafsiyaat Ke Zariye Is Mauzua Par Guftgu Karte Hain
Ye Ek Fitri Baat Hai Ki Jab Ek Ajnabi Dusre Ajnabi Se Milta Hai
Toh Pahle Guftgu Aur Baat Cheet Ke Zariye
Wahshat Ke Pardon Ko Uthata Aur Unsiyat Paida Karta Hai
Fir ta-aruf Aur Mail Jol Hota Hai

Isi Tarah Wah Naujawan Ladki Jo Khwabo Khayal Ki Duniya Mein Rahti Hai
Aur Jis Ne Nikah Aur Shadi Ko Be Khaar Chaman Zaar Itr Wa Gulaab Ki Duniya
Aur Haseen Kahkashaon Ka Aalam Tasawwur Kar Rakha Hai

Jo Ye Samajhti Hai Ki Usme Sirf Maze Aur Lazzatein Hoti Hain
Shahad Ki Mithaas Aur Digar Shereniyan Hoti Hain
Agar Koi Shakhs Pahunchte Hi Us Ke Sath Jinsi Amal Mein Lag Jayega
Toh Uske Tamam Khwab Yak Bayak Chakna Chur Ho Jayenge

Jab Pahli Raat Aadmi Dulhan Ke Kamre Mein Jaye
Toh Usse Mithi- Mithi Batein Kare
Ache Ache Ash-aar Padhey
Uske Husn Wa Jamal Ki Tareef Kare

 Humbistari (sex) Ki Dua

HumBistri Se Pahle Nabi ( Sallallahu Alaihi wasallam ) Se Sabit Ye Dua Padhe

BISMILLAHI ALLAHUMMA JANNiBNASH SHAITANA WA JANNiBISH SHAITANA MA RAZAQTANA

("ALLAH" Ke Naam Se Ae "Allah" Hum Ko Sahitan Se Mahfooz Rakh
 Aur Hamari Aulad Ko Shaitan Se Mahfooz Rakh )

Ye Dua padh Lene Ke Baad Jinsi Amal Shurua Kare

Is Dua Ki Fazilat Nabi Kareem ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Ye Batai Hai
Ki Agar "Allah" Ta-ala Ne Is Humbistari Se Aulad Farmai Toh Shaitan Use Kabhi Nuqsaan Na Pahunchae Ga

Ye Bhi Padhen ↓↓↓↓
  1. Haiz (Period) va Nifas ke Masail menstruation
  2. Kuchh Zaruri Masail
  3. Ghusal ka Tareeqa


EK ZARURI TANBIHA


Yahan Ek Zaruri Tanbiha Kar Dena Munasib Hai
Ki Baaz Kitabon Mein Jimaa Ki Halat Mein QUL HOW ALLAHU AHAD  Aur Deegar  Bahut Si Duaon Ke Padhne Ka Zikr Hai
Aur Ye Bhi Bayan Kiya Gaya Hai
Ki Pardae Bakarat Zayel Kar Lene Ke Baad
Ba Awaze Buland Takbeer Pukare
Ye Sari Batein Sharai Taur Par Ghalat Aur Be Buniyad Hain

Jimaa Ki Halat Jinabat Aur Napaki Ki Halat Hai
Is Ke Baad Ghusl Ka Lazmi Hukm Diya Gaya Hai
Khwah Inzal Ho Ya Na Ho

Aur Us Halat Mein "ALLAH" Ke Zikr
Tilawate Quraan Aur Salaat Se Mana Kiya Gaya Hai
Fir Us Halat Mein 'QUL HOWALLAHO AHAD' Padhna
Ya Takbeer Pukarna Ya Koi Aur Surat Ya Ayat Padhna
Ya Zikr Karna Kyunkar Durust Ho Sakta Hai
Aisi Baat Bilkul Ghalat Hai

Ek Baar Nahin 100 Baar Ghalat Aur Khilafe Shariyat Hai
Logon Mein Jo Ye Baat Mash'Hoor Hai
Ki Miyan Biwi Ek Dusre Ki Sharm Gah Nahin Dekh Sakte
 Ye Bhi Qatai Taur Par Ghalat Hai

Iski Daleel Nabee Kareem ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Wah Hadees Hai
Jisme Aap ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya
Apni Sharm Gah Ko Apni Biwi Aur Laundi Ke Alawah Sab Se Mahfooz Rakho
( Ukhraja abu Daud Tirmizi Wa Ibne Maja )

Is Ke Khilaf Koi Aisi Sahih Riwayat Maujud Nahin
 Jis Mein Ek Dusre Ki Sharmgahein Dekhne Ki Mamanat Aai Ho
Wazeh Rahe Ki Mard Ke Liye Apni Biwi Se Har Halat
 Wahiyyat Aur Shakl Wa Kaifiyat Mein
Lutf Andoz Hona Jayez Hai
Nez Jis Waqt Din Wa Raat Mein Jab Chahe Humbistari Kar Sakta Hai
Nisaaukum Harso Lakum Faatu Harsakum Annai Shiatum
( Sureh Baqar Ayat 223 )

Tumhari Biwiyan Tumhari Khetiyan Hain
Apni Khetiyon Mein Jis Tarah Chaho Aao

Is Ayat Ki Wazahat Karte Hue Nabi Kareem ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Irshad Farmaya Hai
Aage Se Aao Aur Piche Se Aao Lekin Pakhane Ke Raste Se Bacho
( Ukhrajul Tirmizi Wa Sahih Albani )

Albatta Haiz Wa Nifas Ki Halat Mein Ya
Pichli Sharmgah Ke Raste Se Lazzat Uthana Haram Hai
Sirf Wahi Rasta Istemal Karna Jayez Aur Durust  Hai Jisse Bachcha Paidah Ho Sakta Hai
Aur Jo Dar Haqeeqat Kheti Ki Jagah Hai
Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Irshad Hai

Jis Shakhs Ne Kisi Haiz Wali Aurat Se Jimaa Kiya
 Ya Kisi Aurat Ke Pakhana Wale Raste Se Jimaa Kiya
Toh Us Ne ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Par Nazil Hone Wali Shariyat Ka Kufr Kiya
( Ukhraj Abu Daud Wa Tirmizi Wa Ibne MAJA Wa Sahi Albani )

Aise Shakhs Ko "ALLAH" Se Tauba Aur Astaghfar Karni Chahiye
Wazeh Rahe Ki Tauba Sirf Zuban Se Tauba -Tauba Kahne Ka Naam Nahi
Balki Tauba Ka Mfhum Ye Hai Ki Uski Sharton Ko Pura Kiya Jaye
Yani Wah Amal Jis Se Tauba Kiya Ja Raha Hai
Use Fauri Taur Par Qatan Tark Kar De

Us Par Nadim Sharmindah Ho
Aur Aaindah Ke Liye Pukhta Azam Kare
Ke Use Ye Harkat Kabhi Dohrani Nahin Hai

 HAIZ ( Monthly Period ) Us Kaale Badbu Dar Khoon Ko Kahte Hain
Jo Baligh Aurat Ki Bachchedani Se Nikalta Hai
Aur Nifas Us Khoon Ko Kahte Hain
Jo Bachche Ki Paidaish Ke Baad Kamo Besh 40 Din Nikalta Hai
Haiz Ki Halat Mein Sohbat Karne Se Bahut Si Bimariyon Ke Andeshey Aur Khatrat Hote Hain

Nez Is Se Aurton Ki Andam Nihani Mein Shadeed Dard Paida Hota Hai
Kabhi Raham Ke Andar Biza Dani
 Ya Muqad Mein Tez Sozish Aur Jalan Hoti Hai
Jiski Wajah Se Behad Takleef Hoti Hai
Bas Awqat Biza Dani Kharab Ho Jati Hai
Aur Banjh Pan Paidah Ho Jata Hai

Isi Tarah Ye Khatrah Bhi Hota Hai Ki Haiz Ka Fasid Mawad
 Mard ke Azu Tanasul Mein Pewast Ho Jaye
Jiske Sabab Peshab Ki Nali Mein Aatishak Sozak Aur Shadeed Jalan Paida Ho Jaye
Kabhi Ye Zahar Khasiya Tak Pahunch Kar Sakht Tabahi Ka Bais Hota Hai

Duniya Ke Tamam Hakeem Aur Doctor
Haiz Ki Muddat Mein Biwi Se Jimaa Se Gurez Karne Ki Takeed Karte Hain

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
Namazi-k-Saamne-se-Guzarna-Mana-hai Hatna Nahi
5 WAQT NAMAZ ME SUSTI KARNA AUR WAZIFE PADNA
> Azaan ka Jawab Kaise dein 

SHABE ZAFAF KI SUBAH


Shadi Raat Guzarne Ke Baad Subah Mein Shsuhar Ke Liye Wajib Hai
Ki Taharat Ki Khatir Ghusle Janabat Kare
Ghusl Ka Afzal Tareeqa Ye Hai Ki

< BISMILLAH > Kah Kar Apne Donon Haath  3 Baar Dhoye
Fir Apni Sharm Gah Ko Bayen Hath Se Khoob Saaf Kare
Fir Apne Donon Haath Sabun Waghairah Se Dobarah adhoye
Fir Mukammal Wazu Kare Ya Pair Ka Dhona Maukhir Kar De
Wazu Ke Baad Apne Sar Par 3 Martaba Pani Dale

Fir Apne Dahine Pahlu Par Pani Dale
Fir Bayen Pahlu Par Pani Dale
Agar Usne Wazu Ke Waqt Apne Donon Pair Nahin Dhoye They
 Toh Baad Mein Unhe Dho Le

Is Tarah Ghusl Janabat Mukammal Ho Jayega
Subah Mein Naha Dho Kar Saaf Suthrey Kapdey Pahan Kar
 Itr Waghairah Istemaal Kar Ke
Apne Rishtedaron Azizon Aur Ghar Aye Mehmanon Se Mulaqat Kare
Un Se Salam Kare

Un Ko Dua De Aur Wo Log Bhi Use dua Dein
Dua Ke Liye Sab Se Behtar Alfaz Wah Hain
Jo Nabi ( SALLLALLAHU ALAIHI WASALLAM ) Se Sabit Hain

Aap ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Dulhe Ko Dua Dete Hue Kahte They
" BARAKAL LAHU LAKA WA BARAKAL LAHU ALAIKA WA JAMA-U BAINAKUMA FI KHAIR "
("ALLAH" Tere Liye Barkat Ata Kare
Tujh Pe Barkat Nazil Farmaye Aur Khair Wa Bhalai Mein Tum Donon Ko Muttahid Rakhey
( Akhraj Abu Daud Wa Tirmizi Wa Sahih Albani )

Yaad Rahe Ki Naujawan Doston Ki Mahfil Mein
Ya Kisi Bhi Shakhs Ke Samne Apni Biwi Ke Husn Wa Jamaal Ki Taareef
Ya Shabb Ke Andheron Mein Anjaam Diye Gaye Khangi Razon Ka Bayaan Haraam Hai
Ye Baat Shrai Wa Aqli Donon Taur Par Na Durust Hai

Raat Ki Tanhai Mein Apni Biwi Ke Saath Kiye Gaye Jinsi Aamaal Ki Tafseel
Kisi Se Bayan Karna Intehai Ghinauna Ghair Muhazzib Aur Ghair Fitri Amal Hai
Shariyat Ne Is Se Sakhti Se Roka Hai Aur Ise Haraam Qarar Diya Hai
Rasool "ALLAH" ( sallallahu alaihi wasallam ) Ka Irshaad Hai

Qayamat Ke Roz "ALLAH" Ke Yahan Sab Se Bad Martaba Wala Wah Shakhs Hoga
Jo Apni Aurat Se Milap Kare Aur Aurat Us Se Milap Kare Fir Wah Biwi Ke Raaz Failaye
Raaz Ke Failane Ka Mafhum Ye Hai
Ki Doston Mein Maze Le-Le Kar Bayaan Kare

Zahir Hai Ki Band Kamre Ki Baat Kisi Se Zubani Taur Par Bayan Kar Di Gai
To Goya Use Uski Tasweer Dikha Di Gai
Aur Wah Amal Uske Samne Anjaam Diya Gaya
Lihaza Ab Raaz Nahin Raha

Isi Liye Hadeese Paak Mein Jinsi Raaz Bayan Karne Wale Ki Misaal ye Di Gai Hai
Ki Jaise Ek Shaitaan Aur Shaitaan Sare Raah Baghal Geer Ho Kar Jinsi Amal Anjaam Dein Aur Log Unhein Dekh Rahe Hon

Baaz Ahmaq Apni Biwi Ka Husno Jamal Badha Chadha Kar Apne Doston Ko Bayan Karte Hain
Jis Se Dekhne Aur Milne Ki Khwahish Dilon Mein Angdaiyan Leti Hain
Aur Kabhi Aage Chal Kar Bade Hi Dard Naak Waqeyat Rau Numa Hote Hain
Baaz Log Apne Doston Se Apni Biwi Ka Ta-aruf Karwate Aur Us Se Milwate Hain
Ye Aur Bhi Zyadah Bhayanak Aur Sangeen Amal Hai


HUQUQE ZAUJIYYAT KE CHAND MASAIL

   
Shabe Zafaf Ke Ahkaam Wa Masail Ke Sath Sath
Huquqe Zaujiyat Ke Chand Aham Masail Ka Zikr Kar Dena Munasib Maloom Hota Hai
Taaki Mustaqbil Mein Kaam Aaye
Chunache Chand Aham Masail Mandarja Zil Hain

( 1 ) MIYAN BIWI EK DUSRE KE LIYE BANAW SINGAAR KAREIN

Jis Tarah Ek Mard Ki Khwahish Hoti Hai Ki Aurat Us Ke Samne Ban Sanwar Kar Aye
Waise Hi Ek Aurat Ki Bhi Ye Khwahish Hoti Hai Ki Uska Dhauhar Mardana Wajahat
Aur Mardana Husn Wa Zaibaish Ke Sath Us Ke Samne Ho
Sahih Muslim Mein Ayesha ( radiallahu Ta-ala Anha ) Ki Riwayat hai
Ki Nabi ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Jab Ghar Mein Dakhil Hote
Toh Sabse Pahla Kaam Miswak Karte They

Is Hadees Se Jahan Munh Ki Safai Ki Ahmiyat Maloom Hoti Hai
Wahin Safai Ki Amumi Ahmiyat Ka Bhi Andazah Hota Hai


( 2 ) AURAT SHAUHAR KE BULANE PAR BILA TAKHIR HAZIR HO JAYE

Aurat Ke Liye Zaruri Hai Ki Jab Uska Shauhar Use Bulaye Toh Uski Pukar Par Labbaik Kahe
Is Mein Takhir Na Kare
Agar Wah Is Se Inkaar Karti Hai
 Aur Shauhar Ki Shahwat Poori Karne Mein Takhir Karti Hai
Toh Farishtey Us Par Lanat Karte Hain

Aur "ALLAH" Ta-ala Us Par Ggazab Naak  Hota Hai
 Rasool allah (Sallallahu alaihi wasallam ) Farmate hain

"ALLAH" Ki Qasam Aurat Us Waqt Tak Apne Rab Ka Haq Ada Nahin Kar Sakti
Jab Tak Ke Wah Apne Shauhar Ke Huqooq Ada Na Kare
Neiz Nabi ( Sallallahu alaihi wasallam )Ka irshaad Hai
Aurat Jab Apne Shauhar Ka Bistar Chod Kar Raat Ghuzarti Hai
Toh Farishtey Us Par Subah Hone Tak Lanat Karte rahte Hain

Jo Aurat "ALLAH" Par Us Ke Rasool Par Aur Akhirat Ke Din Par Imaan Rakhti Hai
Namumkin Hai Ki In Ahadees Ke Hote Hue Apne Shauhar Ki Nafarmani Kare
Aur Is Muamle Mein Kotahi Aur Ghalti Kare


Jo Log Ye Aitraz Karte Hain Ki Aurat Jab Khwahish Kare Aur Mard Na Aaye
Toh Is Par Koi Waeed Shariyyat Mein Kyun Nahin Aai Hai
Aise Logon Ko Na Hi  Shariyyat Ka Ilm Hai Aur Na Hi Mard Wa Aurat Ki nafsiyat Se Waqfiyat
Waqeya Ye Hai Ki Mard Jinsi Kashish

Miyan Biwi Ke Bahimi Ache Rabt Balki Humbistri Ke Amal Par Bhi Ajro Sawab Hai
Rasool (Sallallahu alaihi wasallam) Ka Irshaad Hai
Hambistri Karna sadqah Hai

Sahaba (radiallahu taala anhu ) Ne Poocha Ae "ALLAH" Ke Rasool Hum Me Se Koi Apni Shahuwwat Poori Karta Hai Aur Us Me Bhi ajr Pata Hai
Aap (sallahu alaihi wasallam ) Ne Farmaya Mujhe Batao Agar Wah Use Haram Jagah Ki Taraf Istemaal Karta To Gunah Pata Ya Nahin

Sahaba ( Radiallahu taala anhu ) Ne Kaha Kun Nahi
Aap Ne Farmaya UsiTarah Jab Wah Halal Me Istemaal Karta Hai Tab Ajr Pata Hai
Aurat Apni Naazo Ada Se Use Chand Lamhon Me Hi Apni Zulfe Girah Geer
Aur apni Banhon Ka Qaidi Bana Sakti Hai

Iske Bawajood Islami Shariyyat Ne Lazim Kiya Hai Ki
Mard Apni Taqat Aur Biwi Ki Hajat Ke Mutabiq Us Ka Haq Ada Kare
Irshaade Baari Hai

Agar Tum Apni Biwiyon Ke Darmiyan Kama Haqe Adal Karna chaho
Toh Aisa Harghiz Na kar Sakoge

(Lihazah Yun Na Karna Ki Ek Biwi Ki Taraf Toh Poori Tarah Mayel Ho Aur Baaki Ko Latakta chod Do)
Latakta Ka Mafhum Ye Hai Ki Na Hi Wah Khali Hai Ki Doosri Shaadi Kar Sake
 Aur Na Hi Shauhar Wali Rah Jati Hai Kunki Uska Haq Use Nahin Diya Ja Raha Hai

Wazeh Rahe Ki Jis Tarah Nabiye Akram (Sallallahu alaihi wasallam ) Ka Ye Hukm Hai
Ki Agar Shauhar Ka Haq Faut Ho Raha Ho Toh Aurat Nafli Ibadaton me Mashghool Nahin Ho Sakti
Usi Tarah Aap Ka Ye Bhi Hukm Hai Ki

Shauhar Bhi Us Waqt Nafli Ibadaton Mein Mashghool Nahin Ho Sakta
 Jab Uski Wajah Se Biwi Ke Huqooq Ki Adayegi Mein Ghaflat Ho Rahi Ho
Abdullah Bin Umru Bin Aas ( radiallahu taala anhu ) Bayan Karte Hain Ki
Rasool Allah (Sallallahu alaihi wasallam) Ne Farmaya

Ae Abdullah Kya Mujhe Ye Khabar Sahi Pahunchi Hai Ki Tum Din Ko Saum Rakgte Ho Aur Raat Ko Qayam Karte Ho
Unhon Ne Kaha Sahih Hai Ae "ALLAH" Ke Rasool
Aap Ne Farmaya Aisa Na Karo Saum Rakho Aur Na Bhi Rakho Sowo Aur Tahajjud Bhi Padho
Kunki Tum Par Tumhare Jism Ka Haq Hai

Tumhari Aankhon Ka Haq Hai Tumhari Biwi Ka Haq Hai
Aur Tum Se Milne Walon Ka Haq Hai
Tumhare Liye Har Maah Me Teen Din Saum Rakhna Kaafi Hai
 Kunki Har Neki Ka Sawab Dus Guna Milta Hai

 Is Tarah Poore Saal Ke Saum Ka Sawab Tumhen Mil Jayega
Islami Shariyyat Ka Ek Dastoor Ye Bhi Hai
Ki Agar Shauhar Apni Biwi Ke Qareeb Na Jane Ki Qasam Kha Le Toh Use Qasam Todna Lazim Hai


            IKHTETAMIYAH

   
Is Mauzua Ke Ikhtetam (end ) Par Main Apne Aap Ko
Aur Tama Qarain ( Reader ) Ko Is Baat Ki Dawat Deta Hun
Ki Hum Sab "ALLAH" Se Dare Aur Uske Azab Ka Khauf Rakhein
Nez "ALLAH" Ki Halal Kardah Chizon Se Lutf Andoz Hon
Aur Haram Kardah Chizon Se Doori Aur Kinara Kashi Ikhteyar Karein

"ALLAH" Ta-ala Ne Ahle Iman Ki Safat Bayan Karte Hue Irshad Farmaya

:

وَ الَّذِیۡنَ ہُمۡ لِفُرُوۡجِہِمۡ حٰفِظُوۡنَ (5﴾
اِلَّا عَلٰۤی اَزۡوَاجِہِمۡ اَوۡ مَا مَلَکَتۡ اَیۡمَانُہُمۡ فَاِنَّہُمۡ غَیۡرُ مَلُوۡمِیۡنَ ۚ(6
(فَمَنِ ابۡتَغٰی وَرَآءَ ذٰلِکَ فَاُولٰٓئِکَ ہُمُ الۡعٰدُوۡنَ ۚ﴿7

 Jo Apni Sharm Gahon Ki Hifazat karne Wale Hain
Siwaye Apni Biwiyon Aur Milkiyat Ki Laundiyon Ke
 Yaqeenan Ye Malamtiyon Mein Se Nahin Hain
Jo Iske Siwa Kuch Aur Chahein Wahi Had Se Ziyadah Tajawuz Karne Wale Hain
( Sureh Mominun 5-7 )


Jo Log Apni Halal Jagah Chod Kar Kisi Aur Jagah Apni Khwahishat Ki Pyas Bujhate Hain
 Wah Had Se Tajawuz Karne Wale Log  Hain
Khwah Unka Amal Zina Kari Wa Badkari Ho
Ya Lawatat Ya Aghlam Bazi Ho Ya Musht Zani Waghairah Ho

Nabi (Sallallahu alaihi wasallam ) Ne Shaadi Ki Targheeb Dete Hue Farmaya Hai
Ae Jawanon Tum Mein Se Jo Shakhs Shaadi Ki Taqat Rakhta Ho Wah Shaadi Kar Le
Kunki Ye Nigahon Ko Past Rakhne
Aur Sharmgah Ko Mahfooz Rakhne Ka Sabse Acha Zariya Hai

Aur Jis Ke Andar Shaadi Ki Istetaat Nahin Wah Saum Rakhey ( Rozah )
Kunki Saum Shahuwwat Ko Todta Hai
Jo Log Apni Sharmgahon Ki Hifazat Ki Khalis Niyyat Rakhte Hain
Unke Liye "ALLAH" Ke Rasool (Sallallahu alaihi wasallam) Ki Taraf Se Khushkhabri

Aur Mazdahe Janfiza Hai Irshaad Hai
3 Logon Ki Madad "ALLAH" Ta-ala Zarur Karta Hai
1 Wah Ghulam Jo Kuch Raqam Ki Adayegi Kar Ke Azadi Hasil Karna Chahta Ho
2 Wah Shakhs Jo Nikah Ke Zariye pakdamni Ka Iradah Rakhta Ho
3 Wah Shakhs Jo "ALLAH"Ki Raah Mein Jihaad Kar Raha Ho

Nez Irshaad Rabbani Hai

( Jo Shakhs "ALLAH" Se Darta Hai
"ALLAH"Uske Chutkare Ki Shakal Nikal Deta Hai Jiska Use Ghuman Bhi Na Ho )
Har Musalman Mard Wa Aurat Ko Fahash Kari Aur Badkari Se Dur Rahna Farz Hai
Aur Uske Qareeb Jana Haram Hai
Balki Unke Asbab Wa Masael Aur Un Tak Qareeb Le Jane Wali Chizon Se Bhi Door Rahna Zaruri Hai

Na Ajnabi Mard Wa Aurat Kabhi Tanhai Mein Ikattha Hon
Na Hi Behijabi Wa Be Pardagi Ikhteyar Karein
Na Hi Apni Ankhein Azad Chodein Ki Jahan Chahein Wahan Se Apni Ankhein Senktein Firein
Aur Na Hi Aise Rwabte Wa taalluqat Qayem Karein
Jo Mustaqbil Mein Zina Aur Haram Kari Tak Pahunchane Wale Hon
Aur "ALLAH" Ke Shadeed Azab Ka khauf Rakhein Jo "ALLAH TA-ALA Ne Aise Mujrimon Ke Liye Taiyar Kar Rakha Hai

"ALLAH" Ta-ala Ne Zina Ke Mujrim Ke Liye Duniya Wa Akhirat Mein Ruswah Kun Saza Rakhi Hai
Jis Se Duniya Mein Bhi Fazihat Wa Ruswai Hai
Aur Aakherat Mein Bhi Dardnaak Aur Takleef Deh Azab Hai
Zina Ki Duniyawi Saza Ghair Shaadi Shuda Jode Ke Liye 100 Kodey Aur Ek Saal Ki Zila Watni
Aur Shaadi Shudaa Jode Ke Liye RajamAur Sangsari Hai

 Yaani Mujrim Ko Pattharon Se Maar Maar Kar Halak Kar Diya Jaye
Zina Ki Akhrawi Saza Ki Manzar Kashi Karte Hue Nabi (Sallallahu alaihi wasallam ) Ne Farmaya
Ek Tanur Ke Paas Hamra Guzar Hua Jiska Upri Hissa Tang Aur Nichla Hissa Kushadah Tha
 Aur Wahan Par Aag Bhadkai Gai Thi Aur Usmein Shor wa Hungama Aur Cheekh Wa Pukaar Ho Raha Tha

Dekha Gaya To Usmein Kuch Nange Mard Aur Kuch Barhana Aurtein Nazar Aain
Jab Jab Wah Aag Bhadakti To Wah Cheekhney Aur Chillane Lagte
Dariyaft Karne Par Malum Hua Ki Ye Zina Kar Mard Wa Aurat Hain
Jo Apne Kiye Ki Saza Bhugat Rahe Hain
( Sahih Bukhari )

Iske Siwa Ek Zina Kar Ko Ye Bhi Yaad Rakhna Chahiye
Ki Is Ke Natije Mein Us Par Uske Khandan par Aur Uske Azizo Aqarib Par
Zillat Wa Ruswai, Badnami, Sharmindagi Aur Aar Ka Jo Siyah Daagh Lagta Hai Use Mitaya Nahin Ja Sakta
Ye Us Ki Peshani Par Wah Kalank Hai Jo Kabhi Saaf Nahin Hota
Aise Logon Ka Jab Raaz faash Hota Hai Toh Wah Apne Dukh Aur Aziyyat Ko Dekh Kar Tamanna Karte Hain

 Ki Kaash Zameen Fat Gai Hoti Aur Wah Usmein Dhans Gaye Hote
Lekin Us Waqt Afsos Ka Koi
Fayedah Nahin Hota
Hona Ye Chahiye Ki Shurua Hi Mein Apne Badhtey Qadmon Ko Roka Jaye

Nikaah Ka Pakeezah Tareeqa Ikhteyar Kar Ke Zina Ke Ruswa Kun Amal Se Apni Hifazat Ki Ja Sakti Hai
Allah Ta'Ala Hamen in Baton par Amal Ki Toufeeq Ataa Farmaye Aameen