MEHMAAN NAWAZI


MEHMAAN NAWAZI

MEHMAAN NAWAZI

     -------------------------

Mehmaan Nawazi Hazrat Ibrahim ( Alaihissalam ) Ki Sunnat Hai

Aap Baghair Mehmaan  Ke Kabhi Khana Tanawul Nahin Farmate They

Yahan Tak Ki Agar Kabhi Koi Na Milta

Toh Aap Kisi Ki Talash Mein Ek Do Meel Tak Ka Safar Kar Aate They

Ki Koi Mil Jaye Jiske Sath Aap Khana Khayen

Mehmaan Ka Aana Rahmate Khudawandi Ka Aana Hai

Woh Apna Rizk Khud Lekar Aata Hai

Isliye Mehmaan Ke Aane Par Khushi Ka Izhaar Karna Chahiye

Mehmaan Ke Aane Par Nakhush Hona

Ya Usko Hiqarat Se Dekhna Tangi Aur Muflisi Ka Bais Hai

Chand Hadeesen Mulahizah Farmayen

                    HADEES
       

Jis Ghar Mein Logon Ko Khana Khilaya Jata Hai

Bhalai Uski Taraf Kohaan Ki Taraf Jane Wali Churi Se Bhi Tez Daudti Hai

( Ibne Majah Safah 204 )


                     HADEES
               

Apne Mehmaan Ki Tazeem Karo

( Muslim Jild 1 Safah 50 )


                   HADEES
     

Logon Ne Arz Kiya Ya Rasolallah ( Sallallhu Alaihi wasallam ) Hum Khate Hain Magar Hamara Pet Nahin Bharta

Toh Aap ( Sallallhu Ta-ala Alihi wasallam ) Ne Farmaya Ki Shayad Tum Log Alag Alag Khate ho

Arz Ki Haan Toh Farmaya Ki Ikattha Khaya Karo

Aur Bismillah Shareef  Padh kar Shurua Karo

( Ibne Majah Safah 236 )


                FUQHAA
       

Us Shakhs Mein Koi Bhalai Nahi Jo Mehmaan Nawaz Nahin

Aur Jiske Ghar Mehmaan Nahi Aate

Uske Ghar Rahmat Ke Farishtey Bhi Nahin Aate
( Ahyaul Uloom Jild 2 Safah 12 )


               FUQHAA
     
Mehmaan Apna Rizk Lekar Aata Hai Aur Ghar Walon Ke Gunah mita Kar Jata Hai

( Fatawah Razwiyah Jild 9 Safah 176 )


                 FUQHAA
   

Banda Jo Kuch Khud Khata Hai Ya Apne Maan Baap

Ya Ahlo Ayal Par Kharch Karega Uska Hisab Qayamat Ke Din Dena Hoga

Magar Jo Kuch Apne Doston Par Kharch Karega Uska Hisaab Nahin Hoga

Isliye Mehmaan Nawazi Buzurgane Deen Ki khaas Khaslat Rahi Hai

( Ahyaul Uloom Jild 2 Safah 9 )
( Kimiyae Sa-adat Safah 245 )


                   FUQHAA
       

Bhookh Se Kam Khana Sunnat Hai

Aur Pet Bhar Kar Kha Lena Mubah Yani Jayez Hai

Magar Bhukh Se Zyadah Kha Lena Ki Medah Ya Hazma Kharab Ho Jaye Haraam Hai

Magr Mehmaan Ka sath Dene Ke Liye Zyadah Kha Lene Ki ijazat Hai

( Durre Mukhtaar Jild 5 Safah 235 )
( Fiqhi Paheliyan Safah 247 )


                 FUQHAA
   

Jab Mehmaan Aaye Toh Uski Tazeem Karo  Aur Usey Khilao Pilao

Ki Aisa Karne Se Maula Ta-ala Mezbaan Ko Jahnnam Se 7 Khandak Door Kar Dega

Aur Har Khandak Ke Darmiyan 500 Saal Ki Musafat Hogi

( Ahyaul Uloom Jild 2 Safah 9 )

Ab Mehmaan Kaun Hai Kab Tak Hai Kya Khilaya Pilaya Jayega Uske Liye Ek Hadees Padh Lijiye


                     HADEES
       

Rasolallah (Sallallhu Ta-ala Alihi Wasallam) Irshaad Farmate Hain

Ki Mehmaani 3 Din Tak Hai Aur Behtareen Pakwaan 1 Din Aur Raat

Uske Baad Jo Pakaye Wo Khilaye

 Aur Mehmaan Ke Liye Halal Nahin Ki Itne Dinon Tak Thahera Rahe Ki Mezbaan Ko Pareshaan Kar Dale

( Tirmizi Jild 2 Safah 18 )


Yaani Mehmaan Ke Liye Ye Jayez Nahi  Ki 3 Din Se Zyadah Kisi Ke Ghar Thahre

Kunki 3 Din Ke Baad Uska Koi Haq Nahin

Haan Agar Mezbaan Khud 3 Din Ke Baad Bhi Mehmaan Ko Rokta Hai Toh Rok Sakta Hai

Aur Ab Jo Bhi Khilayega Wo Sadqae Nafila Mein Shumaar Hoga Jiska Use Ajro Sawab Milega