ILM Me Barkat Ke Liye Aur Imtihaan Me Kaamyaabi Ke Liye Duayen

ILM Me Barkat Ke Liye Aur Imtihaan Me Kaamyaabi Ke Liye Duayen


ILM Me Barkat Ke Liye Aur Imtihaan Me Kaamyaabi Ke Liye Duayen

(1) Har farz namaaz ke baad
Aankho par haath rakhkar 11 martaba 'Ya Nooru Ya Rahmānu'
padhen ke is se in shaa Allāh aankho ki roshni achhi rehti hai.

Aur phir paishaani par haath rakhkar 11 martaba 'Ya Qawiyyu Ya Hafeezu' padhen ke is se in shaa Allāh yaaddaasht tez hoti hai.

(2) Duayen :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
[1] رَبِّ زدْنيِ عِلْماً
 Rabbi zidnee ilmaa.

Tarjuma :
Aye Mere Rab! Mere ilm me ijaafa ata farma.

Translation :
O My Lord! Advance me in knowledge.

[2] اَللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا
Allāhumma inni as'aluka Ilman naafi'an.

Tarjuma :
Aye ALLĀH! Main sawaal karta hu nafa bakhsh ilm ka.

Translation :
O ALLĀH! I ask You for knowledge that is of benefit.

[3] يَا عَلِيمُ عَلِّمْنِى
Ya Aleemu Alimnee.

Tarjuma :
Aye har cheez ka ilm rakhne waale! Mujhe ilm ata farma.

Translation :
O All-Knowing! Grant me knowledge.

[4] اللَّهُمَّ انْفَعَنِىْ بِمَا عَلَّمْتَنِىْ وَ عَلِّمْنِىْ مَا يَنْفَعَنِىْ
Allāhumma infa’anee bimaa allamtanee wa alimnee maa yanfa-unee.

Tarjuma :
Aye ALLĀH! Tune mujhe jo ilm diya hai use mere liye nafa dene waala bana aur mujhe wo ilm ata farma jo mere liye nafa bakhsh ho.

Translation :
O ALLĀH! Make useful for me what you has taught me & teach me knowledge that will be useful for me.

[5] اللَّهُمَّ لا سَهْلَ إلَّا مَا جَعَلْتَهُ سَهْلاً وَ إنْتَ تَحْعَلُ الْحزْنَ إذَا شِئْتَ سَهْ
Allāhumma laa sahla illa maa ja'altahu sahla, wa anta tah'alul hazna izaa shi’anta sahla.

Tarjuma :
Aye ALLĀH! Kuchh aasaan nahi siwa e us ke jise tu aasaan farma de aur tu mushkil ko aasaan farma deta hai agar teri marzi ho.

Translation :
O ALLĀH! There is nothing easy except what You make easy, and You make the difficult easy if it be your will.

[6] اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَوْدِعُكَ مَا قَرأتُ وَمَا حَفَظْتُ، فَرُضُهُ عَليّ عِنْدَ حَاجَتِي إِلَي
Allāhumma inni astaudiuka maa qara-atu wamaa hafaztu, Farudduhu alayya inda haajatee ilayhi.

Tarjuma :
Aye ALLĀH! Main amaanat ke taur par tere hawaale karta hu jo kuchh maine padha hai aur yaad kiya hai, Mujhe wo waapas karna jab mujhe is ki zaroorat ho.

Translation :
O ALLĀH! I entrust You with what I have read and I have studied. Bring it back to me when I am in need of it.

[7] صَلّىَ اللهُ عَلى مُحَمّدٍ وَآلِ مُحَمّد. اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْألُكَ يَا مُذَكِرَ الخَيْرِ وَفَاعِلَهُ  وَالآمِرَ بِهِ ذَكِرّنِي مَا اَنّسَانِهِ الشّيطَان
SallAllāhu ala Muhammad wa aali Muhammad. Allāhumma inni as'aluka ya Muzakkiral khair wa faa-ilahu wal-aamira bihi zakirni ma annasanihish shaitaan.

Translation :
Blessings of ALLĀH be upon Muhammad and his progeny.
O ALLĀH! I ask You, The One who mentions goodness and actualizes it and commands it,
Remind me of that which the shaitaan makes me forget.
[7] Imtihaan ya interview ke 21 din pehle se rozaana namaaz e Isha ke baad 300 baar ‘Al Malikul Quddoos’ Dua karen.
(3) Jab bhi faarigh ho to kasrat se Durood shareef padhte rahen.
******************


Imtihaan ke liye jaane se pehle


(1) 2 rak’at nafl namaaz ‘Salaat-ul-Haajat’ ki niyyat se padhen aur Dua karen.

(2) Ye dua 7 martaba padh len :
فَإِنَّ حَسْبَكَ الله ، هُوَ الَّذِيْ أَيَّدَكَ بِنَصْرِه وَ بِالْمُءْمِنِيْنَ
Fa-inna hasbukallāh, Huwallazee ayyadaka bi-nasrih wa bil-mu'amineen.
(8 Surah al-Anfaal , Aayat 62)

Tarjuma :
Beshak mere liye ALLĀH kaafi hai, Wohi hai jis ne mujhe apni madad ke zariye aur mo’mino ke zariye taaqat bakhshi.

Awwal aakhir 11 Durood shareef bhi padhen.

(3) اللھم افتح علینا حکمتک وانشرعلینا رحمتک یا ذا الجلال والاکرام
Allāhummaftah alayna hikmataka wanshur alayna rahmataka ya zal-jalaali wal ikraam.

(4) سُبْحَانَكَ لَا عِلْمَ لَنَا إِلَّا مَا عَلَّمْتَنَا ۖ إِنَّكَ أَنْتَ الْعَلِيمُ الْحَكِيمُ
Sub'hānaka laa ilma lana illa maa allamtana, Innaka antal aleemul hakeem.
(2 Surah al-Baqarah, Aayat 32)

Tarjuma :
(Aye ALLĀH!) Teri zaat paak hai Hume kuchh ilm nahi magar is qadar jo tune hume sikhaaya hai, Beshak tu hi sab jaanne waala hikmat waala hai.

Translation :
(O ALLĀH!) Glory to You, You are Holy We have no knowledge except that which You have taught us, Surely, You alone are All-Knowing, All-Wise.
******************

 

Imtihaan ke dauraan

 (1) Jab Imtihaan me likhna shuru karen to pehle ‘Bismillāhir Rahmānir Raheem’ padhkar sab se upar Shahaadat ki ungli se ye Dua likh len :
رَبَّهُ أَنِّي مَغْلُوبٌ فَانْتَصِ
Rabbahū innee maghloobun fantasir.
(54 Surah al-Qamar, Aayat 10)

(2) Phir Awwal aakhir 3-3 martaba Durood shareef ke saath ye Dua 11 martaba padhen :
Rabbi yassir wa laa tu'assir wa tammeem bil khair.

(3) Paper likhne ke dauraan kuchh bhool jaayen to Durood e paak padhen. In shaa ALLĀH yaad aa jaayega.
**********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko Imtihaan me kaamyaabi aur tarakki ata farmae.
Aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aur Islaam ka bolbala farmae.
Aameen.