Hazrat Shams-ud-deen Abul Fazl Sayyed Shaah Aale Ahmad Barkaati rahmatullāhi alaihi

Hazrat Shams-ud-deen Abul Fazl Sayyed Shaah Aale Ahmad Barkaati


Hazrat Shams-ud-deen Abul Fazl Sayyed Shaah Aale Ahmad Barkaati rahmatullāhi alaihi :

♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qudwat-ul-Kaamileen, Achhe miyan.

****************
Aap ki wilaadat 28 Ramazaan 1160 Hijri ko hui.

Aap ke waalid ka naaam Hazrat Sayyed Shaah Hamza bin Shaah Aale Ahmad bin Sayyed Shaah Barkatullāh rahmatullāhi alaihi hai.

Aap Husaini saadaat hain.

Hazrat Sayyed  Shaah Barkaatullāh rahmatullāhi alaihi ne apne saahabzaade ko apna khirqa mubarak dekar farmaaya tha ALLĀH ta’ala hamari nasl me aisa beta ata farmaega jo hamare khaandaan ki shaan buland karega. Mera ye khirqa use ata kar dena.
Jab Shaah Aal e Ahmad Bismillāh khwaani ke mauqe par apne daada Shah Aal e Ahmad ki god me baithe the tab Shaah Aal e Ahmad ne farmaaya ke ‘Ye wo hi bacha hai jis ke baare me mere waalid ne bashaarat ki hai.’

****************
Aap ne apni ibtadaai ta’aleem apne waalid se haasil ki.
Aap ne Kaleem Nasrullāh Saahib Marehrwi se Ilm e Tab (medicine) sikha.

****************
Aap ka nikaah Fazal Faatima binte Sayyed Ghulaam Ali Salharwi Bilgrami se hua.
Aap ke 1 saahabzaade (Saa'in Saahib) aur 1 saahabzadi hai.
Dono ka inteqaal bachpan me hi ho gaya.

****************
Aap Aarif Billāh the. Aur mujaahida ke liye mash'hoor hain.
Aap zyada waqt Ibaadat aur wazaa'if me guzaarte.
Aap logo ko wa’az aur naseehat karte rehte.

Aap bahot hi sakhi the.
Aap ghareebo aur mohtaajo ka khaas khayaal rakhte aur tamaam ko madad karke pareshaani door karte.

Aap ke paas ek baksa tha jise Ghala-e-Ghauṡiyah kehte the. Aap us me paise rakhte the aur ghareebo ki madad ke liye 
aur 
khaanqaah ki aur khaadimo ki zaroorat ke liye us me se raqam nikaalkar kharch karte the. Magar kabhi us me paise khatm nahi hue.

****************
Aap apne mureedo ka khaas khayaal  rakhte.

Ek baar ek dehaati Hazrat Sayyed Hamza rahmatullāhi alaihi ke urs ke mauqe par Marehra shareef aaya. 
Hazrat Achhe miyan ka mureed hone ke baad ek taweel arse tak wo Hazrat ki baargaah me haazir nahi ho saka tha. 

Urs ka mauqa hone ki wajah se mureedo ki bahot bheed thi. Aahista aahista aage badhte hue wo Hazrat tak pahuncha. 

Us ne socha ke ‘Itna waqt guzar gaya hai aur khaanqaah me to hazaro mureed aate rehte hain. 

Shaayad Hazrat mujhe nahi pehchanenge. Us ne salaam pesh kiya. 
Hazrat ne use ishaare se qareeb bulaaya. Wo qareeb gaya to Aap ne puchha ‘Agar tum apne jaanwaro ke saath padosi ke jaanwar bhi charaane le jaate ho tab waapas aate waqt jaanwaro ke raiwad me apne jaanwar ko kaise pehchaan sakte ho?’ 

Us dehaati ne kaha ‘Hazrat! Main apne jaanwaro ko un ki nishaaniyo se pehchaan leta hu.’ Aap ne farmaaya ‘Usi tarah ye faqeer bhi apne mureedo ko pehchaan leta hai. 

Main un ke gale me meri mureedi ki aur mohabbat ki rassi mehsoos kar leta hu.’

****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mashhoor kitaaben :

(1) Aa'in-e-Ahmadi
(2) Adaab us Saalikeen
(3) Deewaan Ash’aar

****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Hamesha ALLĀH ke qareeb hone ki koshish karo. Agar tumne ALLĀH ki qurbat haasil kar li to tum ne sab kuchh paa liya.

(2) Jin ki nisbat Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se hai –Saadaat, Mashaa’ikh, Auliya, Ulema, un ki hamesha sache dil se ta’azeem karo.

(3) Apne Peer o murshid ko sab se behtar aur a’ala jaano. Hamesha un ki ita’at karo ke un ka hukm Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ka hukm hota hai. Un ke kisi bhi qaul o fail ko haqeer mat samjho.

(4) Kam khaane ki aur kam sone ki koshish karo ke is me bahut hi faa’ida hai.

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar ek sipaahi Aap ki baargaah me aaya. Us ko bars (Leucoderma) ki beemaari thi. Is liye wo door khada raha. 
Hazrat ne use dekha to qareeb aane ke liye kaha. Us ne kaha ‘Main is qaabil nahi hu.’ Hazrat ne dobaara use qareeb aane ke liye farmaaya. 

Jab wo qareeb aaya to Aap ne us ke aaza par dast e mubarak phera aur farmaaya ‘Yaha to kuchh bhi nahi hai.’ Us shakhs ne dekha to use ta’ajjub hua ke us ke badan par beemari ka koi nishaan hi nahi tha.

(2) Aap ke Aap ke ek mureed Mohammad Iraadatullāh Khalifa Badayuni Huzoor Saahib-ul-Barkaat ke urs ke mauqe par aap ki khidmat me the. 

Aap ne irshaad farmaaya ‘Iraadatullāh! Kya chaahte ho?’ Unho ne arz kiya ‘Huzoor! Ghulaam ko koi ladka nahi hai.’

Hazrat ne dua farmaai ‘Rabbe kareem! Hamare Iraadatullāh ko farzand ata kar de.’ Us ke baad farmaaya ‘Iraadatullāh! Pehle bete ka naam Kareem bakhsh rakhna, Dusre ka naam Raheem bakhsh aur teesre ka naam Ilāhi bakhsh rakhna.’

Iraadatullāh Aap ke qadmo par gir pade aur arz karne lage ‘Huzoor! Mujhe itni ummeed nahi.’ To Hazrat ne apne sar mubarak se kulaah (topi) utaarkar unhe ata farmaaya aur irshaad farmaaya ‘Khuda ki zaat se mujh ko ummeed hai.’

Iraadatullāh waapas rawaan hue. Jald hi khuda ki qudrat wa fazl se kuchh muddat ke baad beta paida hua. Iraadatullāh ne us ka naam Kareem bakhsh rakha. Isi tarah 3 saal me 3 bete paida hue. 
Teeno ke naam Hazrat ke farmaan ke mutaabiq rakhe.

Teeno bete jawaan hue, aaqil hue. Do beto ne apna aabai pesha hajaamat banaana ikhtiyaar kiya. Aur Kareem bakhsh ne ilm haasil kiya aur waha se faarigh hokar Angrezi hukoomat me mulaazim hue. 
Aur Lugaat (Dictionary) me ek motabar lugat ‘Kareemul Lugaat’ naam se likhi.

(3) Ek martaba Bukhara se ek shakhs Marehra aaya. Khaanqaah me namaaz e zohar padhne ke baad wo Hazrat ki baargaah me haazir hua aur arz kiya 
‘Huzoor! Aap ka naam sunkar aap ke paas roohaani faiz haasil karne ke liye aaya hu kyun ki mujh me itni taaqat nahi ke main mujaahida kar saku. Main chaahta hu ke bagair kisi mujaahida ke aap apni nazr e karam se mujhe ata farma den.’

Mehfil me maujood ek shakhs ne mazzaaq udaate hue kaha ‘Tum kya sochte ho ke ye ek qism ki meethaai hai jo aasaani tumhare munh me rakh sakte hain.’

Ye sunkar Hazrat ne farmaaya ‘Aisa mat kaho. ALLĀH ki qudrat ke koi cheez baeed nahi hai.’ Aap ne us shakhs ko ek Durood shareef sikhaaya aur raat ko is ka wird karne ke liye farmaaya.

Raat ko jab us shakhs ne Durood shareef ka wird kiya to khwaab me Huzoor e akram sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat se musarraf hua aur Aaqa ke karam se us ki zindagi ki kaifiyat badal gai aur us par roohaani faiz jaari ho gaya aur wo tasawwuf ki dunya me daakhil ho gaya.

Subah ko wo Hazrat ki baargaah me aaya aur kehne laga ‘Raat ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai ke har sadi me ALLĀH ta’ala meri ummat me ek khaas shakhs ko deen ko nikhaarne ke liye bhejta hai aur aap un me se ek hain.’

***************
Aap Hazrat Sayyed Shaah Hamza Qaadri Barkaati rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa han.

Aap ke khulfa :

(1) Hazrat Sayyed Shah Aale Rasool Marehrwi
(2) Hazrat Peer Baghdad Saahib Qaadri
(3) Hazrat Shah Khairaat Ali
(4) Hazrat Maulana Abdul Majeed Ain-ul-Haq Badayuni
(5) Hazrat Haafiz Sayyed Ghulaam Ali Shahjaanpuri
(6) Hazrat Maulwi Riyaaz-ud-deen Sahsawani
(7) Hazrat Maulana Zikrullāh Shah Saahib
(8) Hazrat Sayyed Ahmad Shaah Shahjahanpuri
(9) Hazrat Maulana Abdul Jabaar Shahjahananpuri
(10) Hazrat Sayyed Shaah Meeran Bareilwi
(11) Hazrat Maulana Fazl Imaam Rai Bareilwi
(12) Hazrat Ghulaam Jeelaani Badayuni
(13) Hazrat Maulana Abdul Majeed Uṡmaani Badayuni
(14) Hazrat Maulana Fakhr-ud-deen Uṡmaani Badayuni
(15) Hazrat Maulana Abul Hasan Uṡmaani Badayuni
(16) Hazrat Maulana Habeebullāh Abbaasi Badayuni
(17) Hazrat Maulana Muhammad Baha-ul-Haq Abbasi Badayuni
(18) Hazrat Maulana Muhammad Nizaam-ud-deen Abbasi Badayuni
(19) Hazrat Shaah Muhammad Ghulaam Ghauṡ Badayuni
(20) Hazrat Maulana Muhammad Afzal Siddeeqi Badayuni
(21) Hazrat Miyan Habeebullāh Shaah Badayuni
(22) Hazrat Maulana Naseer-ud-deen Uṡmaani Badayuni
(23) Hazrat Miyan Ji Abdul Malik Ansari Badayuni
(24) Hazrat Qaazi Zaheer-ud-deen Siddeeqi Badayuni
(25) Hazrat Munshi Zulfiqaar-ud-deen Badayuni
(26) Hazrat Maulana Abdul Ulaa Farshori Badayuni
(27) Hazrat Maulana Shaah Salaamatullāh Badayuni Kanpuri
(28) Hazrat Shaah Gul
(29) Hazrat Miyan Shaah Aalam
(30) Hazrat Maulana Sayyed Muhammad Ali Saahib Ghulaam Durvesh Lucknawi
(31) Hazrat Miyan Shaah Hasan
(32) Hazrat Shaah Husain Mughal
(33) Hazrat Maulana Ghulaam Abbas Bardwaani
(34) Hazrat Khwaja Kilan Qaazi Suroonj
(35) Hazrat Allama Muhammad Azam Sahsawani
(36) Hazrat Haafiz Muraad Shaah
(37) Hazrat Maulana Noor Muhammad
(38) Hazrat Shah Ghulaam Qaadir
(39) Hazrat Shah Shahaab-ud-deen Mast
(40) Hazrat Chaudhri Niyaaz Ali Marehrwi
(41) Hazrat Maulana Badr-ud-deen Bukhari
(42) Hazrat Maulana Shaikh Ahmad Delhwi
(43) Hazrat Khwaja Ghulaam Naqshbandi Khan Dehlawi
(44) Hazrat Maulana Abdul Qaadir Daghistani
(45) Hazrat Shaah Be Fikr
(46) Hazrat Sayyed Qudrat Ali Shahjahanpuri
(47) Hazrat Shaah Abdul Haq Shahjanpuri
(48) Hazrat Najf Ali Shah
(49) Hazrat Sayyed Munawwar Ali Shaah
(50) Hazrat Luft Ali Shaah
(51) Hazrat Ne'amatullāh Shaah
(52) Hazrat Shah Ilāh Yaar
(53) Hazrat Haafiz Muhammad Mahfood Aanola
(54) Hazrat Miyan Jee Shahaab-ud-deen
(55) Hazrat Sayyed Shaah Fazl Ghaus Bareilwi
(56) Hazrat Haafiz Muraad Shaah Punjabi
(57) Hazrat Deendaar Shaah Rampuri
(58) Hazrat Maulana Ibaadatullāh Siddeeqi
(59) Hazrat Shaikh Baarakullāh Siddeeqi
(60) Hazrat Qaazi Imaam Bakhsh Siddeeqi
(61) Hazrat Shaikh Ashraf Ali Ansaari
(62) Hazrat Shaikh Mubaazir-ud-een
(63) Hazrat Sayyed Rif'at Ali Shaah
(64) Hazrat Maulana Qaazi Abdus Salaam Abbaasi
(65) Hazrat Miyan Abdullāh Shaah Sahraa'i
(66) Hazrat Isa’lat Khan
 (67) Hazrat Sayyed Mahmood Makki
(68) Hazrat Jalaal-ud-een Purbi
(69) Hazrat Shaah Khaamosh.

***************
Aap ka wisaal 17 Rabi-ul-Awwal 1235 Hijri (January 1820 A.D.) ko Jumeraat ko hua.

Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.

***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Shaah Aal-e-Ahmad Achhe Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments