Yaum ul Hajj aur Wuqoof e Arafa

Yaum ul Hajj aur Wuqoof e Arafa



Yaum ul Hajj aur Wuqoof e Arafa


Hadeeṡ e Nabawi :

(1) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
Arfaat ke din ALLĀH ta’ala aasmaani duniya par Nuzool e Ijlaal farmaata hai aur Farishto ke saamne Maidaan e Arafaat me jama hone waalo par fakhr farmaata hai aur farmaata hai

‘Aye Farishto! Tum mere bando ko dekh rahe ho wo meri baargaah me paragandah baal, gard aalood chehro me door daraaz tang aur kushaada raasto se chal kar yaha haazir hai aur tasbeeh aur tahleel zikr o talbiyah karte 

hue mujhe pukaar rahe hain. Aye Farishto! 

Tum gawaah raho Maine in sab ko bakhsh diya.’
Yeh sunkar Farishte arz karte hain ‘Ilāahi! In me falaan mard aur falaan aurat bhi hai jo gunaahgaar hai.’

ALLĀH ta’ala farmaata hai ‘Suno. Maine neko ke saath in ko bhi bakhsh diya.’

 Yeh farmaakar Huzoor Aaqa e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya 
‘Kisi aur din dozakh se utne bando ko rihaai nahi milti jitne bando ko Arafaat ke din dozakh se rihaai milti hai.’
Mishkaat-ul-Masabeeh)

(2) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya

‘Aisa koi din nahi jis me ALLĀH ta’ala Arafa ke din se zyada bando ko aag se aazaad karta ho aur ALLĀH ta’ala bando ke qareeb hota hai, phir Farishto ke saamne Hajj karne walo par fakhr farmaata hai.’
(Muslim)

*******************
Makkah mukarrama me aaj 9 Zil Hijjah ka muabrak din hai.

Khusqismat Haaji saahibaan aaj Hajj ke arkaan ada karne ke liye Mina se Arafaat aaye hain aur is muqaddas maqaam jama hokar pura din ALLĀH ta’ala ki Ibaadat aur Dua karenge.

*******************
Hazrat Ādam alaihis salaam aur Hazrate Hawwa radiy-Allāhu ta’ala anha Maidaan e Arafaat me Jable Rahmat ke muqaddas aur mubarak maqaam phir se ek dusre se mile the aur 
Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me ALLĀH ta’ala ne apni rahmat aur fazl se un ki dua qubool farmaai.

Hajjatul wida ke mauqe par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne asr ki namaaz ke baad Arafaat me 
Jable Rahmat ke muqaddas maqaam ke qareeb khade hokar duaen maangi thi aur yahi par aakhri wahi naazil hui thi.

Aaj ke din is maidaan me Hazrate Ilyaas alaihis salaam aur Hazrate Khizr alaihis salaam yaha par tashreef farma hote hain.

*****************
Wuqoof e Arafa Hajj ka pehla farz arkaan hai.
Aur is ka waqt Zawaal ke baad se lekar Ghuroob e aaftaab tak hai.

Is dauraan agar koi Ehraam ke saath Niyyat karke aur Labbaik padhkar Maidaan e Arafaat me kuchh lamho ke liye bhi haazir ho gaya us ka ‘Hajj’ ho jaayega.

Aur jo kisi bhi wajah se is waqt ke dauraan yaha haazir na ho saka us ka Hajj na hoga.

Ghuroob e aaftaab ke baad tamaam Haajiyo ko  baghair namaaz e maghrib padhe yaha se Muzdalifah ki taraf rawaana honge.

Muzdalifah me un ko Maghrib aur Ishaa milaakar saath me ada karenge.

*****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Tamaam Haajiyo ke Hajj ko qubool farmae aur un ki Duao ko qubool farmae.
Sab mo’mino ko ye sa’adat ata farmaye.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments