Ramzan ki Judaai ka Gham

Ramzan ki Judaai ka Gham

Ramzan ki Judaai ka Gham


Aaj hum Ye Sochkar khush ho rahe hain
Ki Ramzan ja Rahe hai Kal Eid hai
Magar
Kya Sahaaba e kiraam bhi
Isi tarah Ramzan ke Jane ki khushi kia karte the
Hargiz nahi

Sahaaba e kiraam Radiy-Allāhu ta’ala anhu
6 Mahina Pahle Se Ramzan ke Aane ka Intezar karte the
Aur 6 Mahina Baad Tak Uske jane ke gham me guzarte the

Aapko Maloom hai Ye Rehmaton bhara Wo mahina humse juda ho raha
Hai
Jisme Allah Sabse Zyada Rehmaten Aur Barkate Nazil Farmata hai
Ye Wo Mahina Hai Jisme Quraan Nazil hua
Yahi Wo Mahina hai
Jisme Ek neki ka Sawab 70 gunah Kardia jaata hai 

Jo ramzan ke Aaane Par Khushi ka izhar Kare aur jaane Par gham Ka Izhar Kare Allah Ta'ala Usko Jannat Ataa Farmayega  

Ye Maahe Mubarak Ab se pahle kisi Ummat ko na mila
Ye Sirf Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ummat Yaani hamen
Mila hai

Aur isi Mubarak mahine me wo
Raat aati hai jisme Ibaadat karke
Humen hazaar mahino se behtar Sawab dia jaata hai

Is Maah e Mubarak ki har Ghadi me Beshumar Barkat Aur
Rehmaten hain 

Ramzan ke Baad fir wahi gunahon ka Dour Shuru hojaega Jo ramzan Aane Se Pahle tha Shaitan Azaad hojaega Aur Musalman fir uske Fareb Me Aa jaega


Hazrat Abdul Qadir Jilani Rehmatullahi Alaih Eid ke Din
Farma rahe the
"Log keh Rahe hain Aaj Eid Hai
Log keh Rahe hain Aaj Eid Hai
Abdul Qadir Jilani ki Eid to jab
Hogi Jab Imaan ke Sath Diunia Se Me Chala Jaun"


Wo to katayi Jannati hai
Logon ke Liye Dars Hai
Ki Insan ko Hamesha Apne Imaan ki fikr Karni chahye

Aur Achhe Amal karte rehna Chahye kya pata hamara konsa gunah hamen
Jannat Se jahannam ki Aur Le jaay Je


Aao Allah Se Ek dua Karte hai
Ya Allah hum
Teri Ibaadat Ka haqq Adaa na kar
Sake hum
Aisi ibaadat Ramzan me na kar sake
Jaisa uska haqq Tha humne bohat kam Ibaadat ki
Ya Allah fir bhi tu Hamari us Ibaadat

Ko Qubool Farmale Aur Hamen Muaaf Karde
Ayenda Ramzan Hamen Naseeb Farmana
Taaki humne jo waqt Is Ramzan me
Ibaadat se Mahrumi me Guzara
Us Tarah Ayenda na Guzre
Aur Hum Agle Saal teri khoob Ibaadat Kare

Hamen Bakhsh de Tu Raheem hai
Humpar Rahem Farma Hamare liye
Apni Rehmat ke Darwaze khol de
Aur Hamare Sagira,Kabirah Gunahon
ko muaaf Farma Aur Hamen Jannat me
Apna Deedaar Ataa farmana Moula
Aur Apne
Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam
Ka Pados Hamen Jannat me Ataa
Farmana
Ya Rabbe Kareem Humpar apna khaas Karam Farma
Aameen Summa Aameen


Post a Comment

0 Comments