Roze ke Mutaliq Najaiz Wa Haraam Bole jaane Wale Alfaz

Roze Me Bole Jane wale galat alfaz


Roze Me Bole Jane wale galat alfaz


Aksar Hamare Bhai Kam Ilmi Aur Deen Se
Doori hone ki wajah se
Apne Munh Se Kuchh Aise Alfaz Nikal dete hai
Jo ki Gunah Hain

(1) "Roze Me Meri Haalat Aisi ho gai
Ki mene to Roza Tod Dia Aur Ab Kabhi Ayenda Roza Nahi Rakhunga

(2) "Roza Wo Rakhta hai jiske Pas khane ko Nahi hota

(3) "Mujhe To Roze Ne Itna Pareshan Kardia ki Roza Todna Padha

(4) "Mera Roza na hota to batata,

(5) "Tumhe Roza to nahi lag Raha,

(6) "Ya yon kehna mujhe Roza lag Raha hai

(7) "Aaj to Roze ne halat buri kardi

(8) "Kab khule ga roza,

(9) "Roze me kuch to peene ya khane ki ijaazat honi chahiye thi,

(10) "Roze me teri shakal kaisi nikal ayi hai


Yaad rakhiye Roza Farz ibaadat hai
Aur

Aur Allah Quraan Me Farmata hai

"Aye Imaan walo Tum Par Roza Farz Kie Gaye
Jaisa ki Tum Se Pehle Ummaton Par Farz Huye
Taki Tum Gunaho Se Bacho"
{قرآن كريم، پارہ-2، سورة البقرة-187}

Ab Agar Ramzano ke Rozon ki koi Touheen
Karen aur Galat Alfaz Kahe Wo
Bhala ek Sachcha Musalman Aur Momin kaise ho sakta hai

Aise Alfaz bolne Se Khud bhi bachen Aur Dusre bhai behno ko bhi bachaye

Allah Hamen Har Tarah ke Galat Alfaz Bolne se Bachaye Aameen