Zina ki Tohmat lagana

Zina ki Tohmat lagana

* Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne jin 7 halakat khez gunahon se bachne ko kaha hai 
1. shirk karna 
2. jaadu karna 
3. qatl karna 
4. yateem ka maal khaana 
5. sood khaana 
6. maidane jung se bhaagna,usme ek ye bhi hai ki 
7. kisi paak daaman aurat par ilzaam lagaana
📕 Bukhari,jild 1,safah 388
📕 Muslim,jild 1,safah 66
* ALLAH rabbul izzat quran me irshad farmata hai ki "aur wo log jo paak daaman aurton par ilzaam lagate hain phir ispar wo 4 gawaah na laayein to unko 80 kode maaro aur unki gawaahi kabhi bhi qubool na karo ki wo log faasik hain
" kuchh aage irshad farmata hai ki "beshak wo log jo paak daaman aurton par ilzaam lagaate hain unpar duniya aur aakhirat me laanat bheji gayi hai aur unke liye bada azaab hai
📕 Paara 18,surah noor,aayat 4-23
Ye bimari to aajkal badi aam hai jahan kisi ladki ko kisi se baat-cheet karte dekha fauran uspar ilzaam tarashi shuru ho gayi,falan ka falan se chakkar hai falan to aawara hai 
falan bad chalan hai wagairah wagairah,islam ke kisi bhi masle me agar gawaahi ki zarurat padegi to 2 gawaah kaafi hain chahe kisi ke qatl ka muqadma ho ya kuchh bhi,lekin agar aurat par zina ka ilzaam lagaya to ab 2 gawaaho se kaam nahin 
chalega 4 gawaah chahiye aur chaaron ne us aurat ko kisi mard ke saath is tarah dekha ho jaise suyi me dhaaga,agar chaaron ne isi tarah mard wa aurat ko dekha to jab to wo zaani honge aur saza ke 
mustahik,zina ki saza ye hai ki agar zina karne waale shaadi shuda hain to sang saar kar diya jaaye yaani dono ko patthar maar maarkar maar daala jaaye aur agar kunware hon to 100,100 kode maare jaayein,

ye saza tab qaayam hogi jab ki islami hukumat ho chunki hindustan me islami hukumat nahin hai lihaza yahan saza nahin di ja sakti aise log tauba karen,ye to huyi zaani ki saza aur jisne ilzaam lagaaya agar wo 4 gawaah na pesh kar saka ya gawaah to aaye magar chaaron ne mard wa aurat ko us tarah ne dekha jis tarah bayaan kiya gaya to ilzaam lagaane waala jhoota saabit hoga aur uspar hadd qaayam hogi yaani 80 kode usko maare jayenge,chunki saza usko bhi nahin di ja sakti magar wo hukukul ibaad me giraftaar hua to uska gunah sirf tauba se maaf na hoga balki usse bhi maafi maangni hogi jispar ilzaam lagaya hai,hadise paak me hai ki
* Beshak aadmi zabaan ki badaulat jahannam me itna girta hai ki jitna mashrik aur magrib ke darmiyan faasla hai
📕 Attargeeb,jild 3,safah 537
* Imaan waalo ko chahiye ki achchhi baat bolen ya khaamosh rahein
📕 Majmauz zawayed,jild 10,safah 32
Yaad rahe aurat agar badkaar bhi hai jab bhi uspar ilzaam nahin laga sakte jab tak ki uski badkaari ko saabit karne ke liye 4 gawaah na hon,lihaza musalmano baat baat me kisi ko zaani ya kisi ko haraami ya kisi bhi ladke ya ladki par zina ka ilzaam lagaana agar che mazaak me bhi kahe jab bhi haraam hai 
gunahgar hoga lihaza tauba kare aur usse maafi bhi maange,haan magar kisi ko haraam zaada kahne par sarkare Aalahazrat farmate hain ki "haraam zaada kahne par hadd qaayam nahin hogi kyunki yahan is lafz se muraad sharaarti hota hai magar ladki ko haraam zaadi na kahe
📕 Almalfooz,hissa 4,safah 14

Post a Comment

0 Comments