RAMZAN KA CHAND HIQAYAT

RAMZAN KA CHAND


RAMZAN KA CHAND HiQAYAT


Ek Martaba Ramzan Sharif Ke Chand Ke Baare May Kuch Ikhtilaaf Paida Hogaya! Baaz Log Kehte The Ki Chand Hogaya, Baaz Kehte The Nahi Hua!

Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ki Walida Ne Irshad Farmaya Ki Mera Yeh Baccha (Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi) Jabse Paida Hua Hain

Ramzan Sharif Ke Dino May Saara Din Dudh Nahi Pita! Aaj Bhi Chuki Abdul Qaadir (Rehmatullah Ta'aala Alaihi) Ne Dudh Nahi Piya, Isliye Raat Ko Wakayi Chand Hogaya Hain!

Chunanche, Fir Tehkik Karne Per Yahi Saabit Hua Ki Chand Hogaya Hain!
(Bahzatul Asraar, Page-79)

SABAK

ALLAH Walon Ki Sirat Bachpan Hi Se Acchi Hoti Hain! Unki Aadat Ibtida Hi Se Sharayi Aadat Hoti Hain!

Fir Agar Ek Aisa shaks Jisne Umr Bhar Ek Bhi Roza Na Rakha Ho Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ki Shaan-A-Wala May Koi Gustakhi Kare To Wo Kis Qadr Gustaakh Hain

Post a Comment

0 Comments