​Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-5

​Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-5


​Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya


Part-5
Hazrat ismayeel Alaihissalam jab tak paida nahin hue the to hazrat ibraheem alaihissalam aulaad ke liye dua kiya karte the jab unki dua qubool huyi to maula farmata hai ki "humne use khushkhabri sunayi ek burdbaar ladke ki" 
chunki maula ne unhein sabr waala farmaya tha so uski misaal bhi pesh karni thi 
aur duniya ko dikhana bhi maqsood tha,so hazrat ibraheem alaihissalam ko zilhaj ki 8,9,10 taarikh ko lagataar khwab me apne bete ki kurbani karne ka hukm diya gaya,
chunki ye hukm khwab me dekha tha to 8 ko poora din sochne me guzar gaya to si din ko yaumul tarviya yaani soch vichaar ka din kaha gaya phir 9 ko khwab dekha to pahchaan liya ki ye sachcha khwab hai 
to ise yaumul arfa yaani pahchaanne ka din phir 10 ko iraada kar liya qurbani pesh karne ka is liye is din ko yaumun nahar yaani qurbani ka din kaha gaya
📕 Tafseere nayimi,jild 2,safah 296
* Qurbani ke waqt hazrat ismayeel alaihissalam ki umr kitni thi isme 2 qaul hai baaz ne 7 saal kahi aur baaz ne 13,magar 13 hi raajeh hai,
10wi zilhajj ko aap apne bete ko lekar mina ki jaanib nikal pade pahle to shaitan ne dost bankar un dono ko rokna chaha magar jab kaamyab na ho saka to unko rokne ke leye itna bada ban gaya ki poora raasta hi bund kar diya,

ek farishta haazir hua aur aapse farmaya ki ise 7 kankariyan maariye ye dafa hoga aapne use maara to bhaag gaya phir doosri jagah aaya to phir aapne use maarkar bhagaya phir teesri baar bhi aaya aur maar khakar bhaaga,

hazrat ibraheem alaihissalam ne hazrat ismayeel alaihissalam ko bataya ki wo yahan unhein kis liye laaye hain 

aur saabir bete ne jawab diya ki "aap apne rub ka hukm ada karen in sha ALLAH aap mujhe saabir hi payenge" aur apne baap ko mashwara diya 
ki mujhe rassi se baandh dijiye taaki main tadpu nahin aur apne kapdo ko bhi mere khoon se bachaiyega aur meri waalida ko mera salaam kahiyega,

phir aapne unhein peshani ke bal litaya ye bhi hazrat ismayeel alaihissalam ka mashwara hi tha ki kahin aap mere chehre ko dekhkar muhabbate pidri me na aa jayen aur unhein litakar unpar chhuri chala di,

Riwayat me aata hai ki aapne 70 martaba chhuri chalayi to jab 70 martaba bhi chalne ke baad rag na kati to aapne jalaal me aakar chhuri phenk di aur kaha ki tu mera hukm kyun nahin maanti hai

To chhuri ba zubaan hokar bolti hai ki huzoor aap gussa na karen aap kaatne ko kahte hain aur mera rub mujhe mana farmata hai aap hi bataein ki main kya karun 
to aapne farmaya ki tera kaam kaatna hai 
to tu kaat to chhuri bolti hai ki aag ka kaam bhi to jalaana hota hai phir kyun aag ne aapko nahin jalaaya
📕 Nuzhatul majalis,5,safah 24


* Allah ke hukm se hazrat jibreel alaihissalam jannat se ek mendha laaye jo hazrat ismayeel alaihissalam ka fidiya bana aur aapki jagah wo zabah hua,
iska naam jareer tha aur ye wahin mendha tha jise hazrat haabeel pahle hi raahe khuda me 
Qurban kar chuke the aur ye jannat me maze se rah raha tha,ye mendha rooye zameen ka iklauta aisa jaanwar hai jo ALLAH ke naam par 2 baar zabah hua,aapne iske gosht ko parindo ko khilaya kyunki is par aag asar na karti thi ki pakaya jaata
📕 Jalalain,hashia 21,safah 377


* Jab arab me kuchh aabadi bas gayi to maula ne hazrat ibraheem alaihissalam ko hukm diya ki ismayeel ko saath lekar kaaba sharif ki tameer karen,

aapne khuda ki marzi ke mutabiq kaabe ki taameer wahin ki jahan pahle hi kaabe ki buniyaad hazrat aadam alaihissalam daal chuke the,

hazrat ibraheem alaihissalam ek patthar par khade hokar kaabe ke tameer karte aur hazrat ismayeel alaihissalam unhe patthar wa gaara laakar dete,

is patthar ki khasiyat ye thi ki jaise jaise kaaba ooncha hota jaata ye patthar bhi uthta jaata aur ispar hazrat ibraheem alaihissalam ke qadmo ke nishan pad gaye yahi patthar Maqame ibraheem kehlata hai,

jab kaaba bankar mukammal ho gaya to maula farmata hai ki ai ibraheem logon ko hajj ke liye bulao to hazrat ibraheem alaihissalam kahte hain ki maula yahan to door door tak koi nahin hai main kisko aawaz doon aur kaun sunega to maula farmata hai ki tum aawaz to do bulaana tumhara kaam hai sabko sunana ye hamara kaam hai,

phir hazrat ibraheem alaihissalam jable abu qabees par khade hokar aawaz lagate hain ki "ai logon khuda ne tumhare liye apna ek ghar banaya hai to aao uski ziyarat karne ke liye" 

aapka ye qaul ALLAH ne tamam insano ko suna diya jo baap ki pusht me tha jo maa ke shikam me tha hatta ki qayamat tak paida hone waali tamam rooho ko jo aalame arwaah me thi
sabko sunaya,to jis jisne us aawaz par labbaik kaha usko hajj ki sa'adat milegi aur jo khamosh raha wo hargiz wahan tak nahin pahunch sakta
📕 Khazayenul irfan,safah 399

*Yahan ek masla ye bhi hal hua ki jab aam musalman ki roohein maa-baap ki pusht me rahkar bhi aur aalame arwaah me bhi aawazen sun sakti hain to huzoor sallallaho taala alaihi wasallam wa unke mahbubeen apni qabre anwar se hum gulamo ki aawazein kyun nahin sun sakte,

Yaqinan sun sakte hain balki sunte hain,kaabe sharif ki mukammal maalumat phir kabhi doonga in sha ALLAH*
* Aapki umr ya to 175 saal huyi ya phir 200 saal

📕 Alitqaan,jild 2,safah 176

* Aapka mazaar philisteen ke shahar hibroon ya jabroon me hai

📕 Umdatul qaari,jild 7,safah 345

..........END


Post a Comment

0 Comments