Gunahon ka Bayan

Gunahon ka Bayan


Gunahon Ki 2 Qisme hain
Gunahe Saghira (Chote Chote Gunaah)
Gunahe Kabira (Bade Bade Gunaah)
Gunahe Saghira Nekiyon Aur Ibadaton ki Barkat se Muaaf Hojaate Hain
Lekin
Gunahe Kabira Us Wqt Tak Muaaf Nahi Hote Jb  Tak ki Aadami Sacchi Touba Na Kerle

Ke Ahle Huqooq Se Unke Huqooq Na Muaaf Karalen
Yaani Jis kisi ka Haq Maara ho Ya kisi Ke Sath Dhoka kia ho To Jabtak wo gunah Muaaf Nahi honge Jabtak ke Unse Khud Apne Wo Gunah Muaaf Na Karale Unka Haq Adaa Karke


Gunahe Kabira Kisko Kahete Hain


Gunahe Kabira Us Gunah ko Kahete Hain ki  Jisse Bachne Par Khudabande Quddus Ne Maghfirat Ka Waada Farmaya Hai.


Aur Baaz Ulmay-e-kiram Ne Farmaya ki Har Wo Gunah jiske Kerne waale par ALLAH Azzuwajal Ne
Aur Rasul Sallallahu Alaihi wassallam Ne Laanat Farmaayi
Ya Azaab Wa Ghazab Ka Zikar Farmaya Woh Gunahe Kabira hai


Gunahe Kabira Kon Konse Hain


Gunahe Kabira ki Taa'daad Bahot Zyada Hai
Mager Inmese Chand Mashhur Kabira Gunahon ka Hum Yahan Zikar kerte Hain.

1- Shirk Kerna 

2- Jaadu Kerna 

3- khun-e- Nahak kerna 

4- Sood Khana

5- Yateem Ka Maal Khana 

6- Jihaad Kuffar se Bhaag Jana 

7- Paak Daaman Momin Mard Aurton Par Zina ki Tohamat Lagana

 8- Zina(rape) kerna

9- Chori Kerna 

10- Jhoot Bolna Aur Jhooti Gawahi dena 

11- Sharab peena

 12- Zulm Kerna 

13- Danka Daalna 

14- Maa,baap Ko Taklif Dena 

15- Haiz wa Nifaas ki Halat me Biwi se Sohbat Kerna 

16- Juwaa Khelna 

17- Saghira Gunah ka Israar Kerna

18- ALLAH Azzuwajal ki Rahemat se Naummid Hona 

19- ALLAH Azzuwajal ke Azab se Bekhauf Hona

20- Naach Dekhna

21- Aurton ka Beparda Phirna

22- Naaptol me Kami Kerna 

23- Chugli kerna

24- Gheebat Kerna

25- Do Musalmano Ko Aapas me Ladadena 

26- Amanat me Khayanat kerna

27- Kisi ka Maal ya Zamin Vaghera Ghasab Kerlena 

28- Namaz Roza Aur Hajj wa Zakaat Waghera Faraiz Ko Chord Dena

29- Musalmaano ko Gaali Dena 

30- Inse Nahak Taor par Maarpeet Kerna
waghera waghra Sainkdo Gunahe Kabira Hai

Jinse Bachna Har Musalmaan Mard Aur Aurat par Farz Hai

(Fyuz Al'bari Sareh Bukhari  kitabul imaan Jild 1 page 160,161)


Aur Saath Hi Dusron ko Bhi Rokna Laazim Aur Zaruri Hai

Hadees Shareef Me  hai ki Ager Kisi Musalman ko Koi Gunaah Kerte Dekho To is par Laazim Hai ki Usko Us
Gunah Se Apna Haath Badhakar Rokden

Aur Ager Haath se Rokne ki Usko Taqat Na ho To Zubaan se Manaa Kerden
Aur Ager Isse Bhi Taqat Na Ho  To kamse kam Apne Dil Se Us Gunah Ko Bura Samjh kar Us se Bezaari Zaahir kren Aur ye Imaan ka Nihayat hi Kamzor Darja Hai
(Sahih Muslim Sharif Kitabul imaan Page 44)

Yaani Agar Apko Lagta hai ki Me Isko Agar Manaa Karunga to ye Nahi manega Aur mujhse Ladega Ladayi Bad Jaegi
To
Us Gunah Ko Apne dil me Bura Jaane
Taki Qayamat ke Din Jab Allah Kahe ki Tune Gunah hote hue dekhe Aur Mere Bandon ko Us Gunah Se Roka Nahi To Aap keh Saken ki moula mene Isko Bohat rokna chaha Par Ye Nahi Manta tha
Lekin Me Us Gunah ko dil me Bohat bura Samjhta tha Islie Fir Uspar Aapki pakad nahi hogi

Ek Aur Hadees Me Aya Hai Ki  koi Aadmi kisi Qaum Me Rehkar Gunaah Ka Kaam Kare


Aur Wo Qaum Quwwat(Taqat) Rakhte hue Bhi Us Aadami Ko Gunaah Na Kerne Se Roke To ALLAH TA'AALA Us Gunaah Ke Sabab Puri Qaum
Ko uske Marne se Pahle Azaab Me Mubtela Farmayega

Allah Ta'Ala se Yahi dua Hai Ki Allah hamen
Gunahon Se Nafrat Ataa Farma Aur Hamen Is Qabil bhi Bana ki hum logo ko
Gunahon Se Rok Saken Aameen
(At'targhib Wat'tarhib Jild 3 Page 161)


Next Post👇👇
📝 Gunahon-se-duniyawi-nuqsaan

Post a Comment

0 Comments