Darhi Rakhne ka Hukm Quraano Hadees ki Roshni me

Darhi Rakhne ka Hukm Quraano Hadees ki Roshni me

Darhi Rakhne ka Hukm Quraano Hadees ki Roshni me


Kya Darhi Rakhana Zaroori he❓

Aayiye Jante Hai Darhi Rakhne ka hukm kya hai Shariyat me

Hamare Muashre me Aksar
Log Darhi rakhana Gair Zaruri Smjhte hain
Jabki Haqeeqat ye hai ki Darhi Rakhna Sirf Sunnat Hi nahi
Balki Isko Wajib Kaha Gya hai
Iske Bareme Allah ke Rasool
صلى الله عليه وسلم
Ne Iska Khas Hukm dia hai



Hadees: (1)
MushrikoN ki Mukhalifat Kro
Darhi ko Badhaao Aur Moonchho ko Chhota karo
(Bukhari Sharif 5892, 5893)


Hadees: (2)
Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Ta'ala Anhu
Farmate hain ki
Rasoolullah صلى الله عليه وسلم
Ne Moonchho ko Chhota karne
Aur Darhi ko Badhaane ka hukm Dia Hai
(Abu dawd 4199
Muslim Sharif 259
Tirmizi Sharif 2764)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Islami Masail
► Auraton ke MasaiL
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL


Quraan Ka hukm Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ki Ita'At Karne Ke Liye

Allah Ta'ala Quraan me Irshad Farmata hai

QURAAN:
Aur Jo Kuchh Rasool صلى الله عليه وسلم
Tumhe De Wo le lo
Aur Jis Baat Se Manaa Farmayen
Usse Ruk Jao Aur Allah Se Daro
Beshaq Allah Sakht Azaab Dene
Wala Hai
(Surah Hashr 59 Ayah No.7)


Is Ayat Par Agar Gour Kia Jae
To Hamen Pata Chalta he ki
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ke Hukmo ko Manna
Asal me Allah ke Hukm ko manna he,
Aur Allah ke Hukm Ko Manna Aur Uspar Amal Karna
Har Insan Par Farz hai

Aur Ek Jagah Allah Rabbul izzat
Irshad Farmata hai

مَنۡ یُّطِعِ الرَّسُوۡلَ فَقَدۡ اَطَاعَ اللّٰہ

Jisne Rasool صلى الله عليه وسلم ki Farmabardari ki Usne Meri Yaani
Allah ki Farmabardari ki
(Surah Nisa 4 Ayah no. 80)

Yaani Jisne Rasool صلى الله عليه وسلم ke hukm ko maana Usne Allah ke hukm ko Maana
Ab Chunki Darhi Badhane
Ka hukm Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne Farmaya hai Isliye
Dadhi Rakhne me Na Sirf Rasool صلى الله عليه وسلم ki Farmabardari hai
Balki Allah ki Farmabardari hai
Dadhi Rakhane me Na Sirf Hadees Par Amal karna hua
Balki Quraane Paak Par bhi Amal karna hua
Ab Itna jaan lene k baad bhi
jo koi Allah Kr Rasool صلى الله عليه وسلم ke farman ki
Mukhalifat kare Unka kehna na maaneYa Apni Aqal se Apni Raaye ko Muashre ko Ya dunia
Waalo ko Apke hukm Se Zyada Tarjih de
To Ese logo ko Allah Rabbul Izzat Se Darte rehna chahye ki kahin
koi Azaab Unpar Na AA jae Kyunki
Allah Ta'ala ne Irshad Farmaya

" jo log Rasool صلى الله عليه وسلم ke hukm ki mukhalifat kerte hain
Unhe Darna Chahye ki Kahin Unpar
koi Zabardasht Aafat Na Aa Padhe
Ya Unhe dardnak Azaab Na Pahunche
(Surah Noor 24, Ayah no.63)


Allah Ta'ala ne Insan ko jode jode
paida kia hai
Aur Mard Aurat me Zahiri
Tameez Kerne ke lie
Mard ko darhi jaisa Anmol Khoobshurat tohfa dia
Darhi mard ki zeenat hai
Darhi khasaile Fitrat mese hai

Tamaam Ambiya e kiram ki Sunnat hai
koi nabi Aise Nahi guzre jinhone
Apni Darhi ko kataya ho
Yahi Wajah hai ki Shariate Islamia ne Musalmano ko Darhi Badhane ka hukm dia
Allah Ta'ala ki Is Ataa karda Is Fitrat ko
Badalna Apne Aapko Auraton ke Mushabah karna
Allah Ta'ala ki Takhleeq me tabdili karna hai
Jo Ek bohat Badha Gunah hai

Darhi Rakhna Wajib hai Aur isko Katana ek Haraam Amal hai
jo Allah Aur Uske Rasool صلى الله عليه وسلم ki Narazgi ka Baish
hai


Kuchh log chota sa khat rakh lete hai
Ye Poori Darhi nahi Darhi ki Lambayi
Shariat Aur Ahadis ki Roshni se sabit hai
ki Darhi ki Lambayi Ek Muth'thi
ke barabar ho
Yaani Thodi se milakar Muth Pakde Fir ek muth se jitni
Zyada ho usko kaat sakte hai
Yahi Amal Sahaba e kiram ka tha
Aur
Hazrat Ali bhi Aisa hi kia kerte the


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Nikah Ke Masail
► Aulia Allah Ka Zikar
► Hidayat Post
► Join Free SmS Service On Mobile


kuchh musalman
Darhi Rakhne Se islie Darte hain
ki koi Ladki pasand nahi kregi
Aur unke Liye Rishte Nahi Ayenge

Yeh jaan lo Ki Rishte Allah Ne
Insan ke paida hone se pahle hi banadie hai ki kon kab marega kiski shadi kisse hogi
Kiske kitni Aulade Paida hongi Aur
kitne ladke Aur kitni ladkia hongi
ye Sab Pahle se hi tey hai

Aur Wo ladki jo apki Darhi se Nafrat karen wo kis kaam ki jo
Apko Jannat ke Raste par Dekhkar munh mode

Aur Aise Rishtey kis kaam ke jo Apko Shariyat Par chalte hue Pasand Na kare
 Ye Allah ki Taraf Se Azmaish hai ki
Banda Aise Halaat me kya kare
Kya Wo Allah ko Naraz kerta hai
Aur logo ko khush karta hai

 Ya Allah ko raazi kerke wo
Nabi صلى الله عليه وسلم ke Hukm par Amal kerta hai

Aur jo Aurat Hamen shariat
ke sath pasand kregi
Wo Aage bhi Aulaad ki Tarbiyat me bhi
Hamara sath degi
Aur Aise Ghar bhi Allah ki rehmaton ka nuzool hoga

Agar Hamari Islami Behne Chahe to
Har Musalman ke chehre
Par Darhi hogi
Wo Aise ki Agar koi
Rishta Aye to wo pahle hi yeh
kehde ki Me Agar Shadi krungi
To us shakhs se krungi
Jiske chehre par mere Nabi  صلى الله عليه وسلم ki
Sunnat Yaani Darhi Sharif hogi
Fir Dekho Kya hota hai
Sabne Ye Ahad karlia
To har Chehre par Darhi nazar Ayegi
Allah Hamen Amal ki toufeeq Ataa farmaye Aameen

New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣