BAQAR EID KE MUSTAHAB AMAL

BAQAR EID KE MUSTAHAB AMAL


BAQAR EID KE MUSTAHAB AMAL:


>>> Gusl Karna
>>> Miswak Krna (Yeh Uske Ilava Hai Jo Wuzu Me Kee Jati Hai)
>>> Achchhe Kapde Pahnna, Naye Ho Toh Naye Varna Dhule Huve
>>> Khushbu Lgana
>>>  Anguthi Pahanna
(Islami Bhai Jab Kabhi Anguthi Pahane To
Is Baat Ka Khaas Khyal Rakhe Ki Sirf
Saadhe Chaar Masha Se Kam Vazan Chandi Ki
Ek Hi Anguthi Pahane
Ek Se Ziyada Na Pahane Aur Us Ek Anguthi Me Bhi
Nagina Ek Hi Ho Ek Se Ziyada Nagine Na Ho
Aur
Bigair Nagine Ki Bhi Na Pahane
Nagine Ke Vazan Ki Koi Qaid Nahi
Chandi Ya Kisi Aur Dhaat Ka Chhalla
Ya Chandi Ke Byan Karda Vazan Vgaira Ke Ilava
Kisi Bhi Dhaat Ki Anguthi Ya Chhalla
Mard Nahi Pahan Sakta

>>> Namaze Fajar Masjide Mahlla Me Pdhna
>>> Namaze Eid Eidgaah Me Ada Karna
>>> Eidgaah Paidal Chalna
>>> Suvari Par Bhi Jane Me Haraj Nahi
Magar
Jisko Paidal Jane Par Qudrat Ho Uske Liye
Paidal Jana Afzal Hai
Aur Vaapsi Par Suvari Par Aane Me Haraj Nahi

>>> Namaze Eid Ke Liye Ek Raaste Se Jana
Dusre Raaste Se Vaaps Aana
(Is Se Murad Masjid Ke 2 Raste (Gate) Nahi
Balki
Ghar Se Masjid Jane Ke 2 Raste Murad Hai)
>>> Khushi Zaahir Krna
>>> Eidgaah Ko Itminan Wa Wqar Aur Nichi Nigaah Kiye Jana
>>> Aaps Me Mubarak Baad Dena
>>> Baa'de Namaze Eid Musafaha (Yaani Haath Milana)
Aur
Muaanka (Yaa'ni Gale Milna) Jaisa Ki Umooman
Musalmano Me Raij Hai Behtar Hai Ki
Isme Izhaare Masrrat Hai
>>> Eidul Fitr Ki Namaz Ke Liye Jate Huve
Raaste Me Aahista Se Takbir Kahiye
Aur
Namaze Eide Azaha Ke Liye Jate Huve Raaste Me
Buland Aawaz Se Takbir Kahiye
Takbire Yeh Hai

اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ لَا إلَهَ إلَّا اللَّهُ وَاَللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ وَلِلَّهِ الْحَمْدُ

TARJAMA-
ALLAH ﷻ Sab Se Bda Hai ALLAH ﷻ Sab Se Bda Hai
ALLAH ﷻ Ke Siwa Koi Ibaadat Ke Laaiq Nahi
Aur
ALLAH ﷻ Sab Se Bda Hai ALLAH ﷻ Sab Se Bada Hai
Aur
ALLAH ﷻ Hi Ke Liye Tmam Khubiya Hai
(BAHAARE SHARI'AT Jild 1 Page 779 Se 781
AALMGIRI Jild 1 Page 149 Se 150)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Qurbani-ka-tariqa-aur-duaa
► QURBANI KE WAQT ISLAMI BAHANE KAB MAUJUD HO?:
► Qurbani ka Janvar Jabah Karne Ke Zaruri Masail
► QURBANI KE GOSHT KI TAQSIM KAARI

Baqar Eid Me Mustahab Yeh Hai Ki Namaz Se Pahle
Kuch N Khaae Chahe Qurbani Kre Ya N Kre
Aur
Agar Khaa Liya Toh Kraahat Bhi Nahi
(AALMGIRI Jild 1 Page 152)

Eid Ke Mut'allik Msgs Padhne Ke Liye Is Link Par Click Kre👇👇
► QURBANI KE FAZAIL MASAIL AUR QURBANI KARNE KA TAREEQA


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣