Bachcho Ko Doodh Pilaane ki Muddat Kitne Din Hai

  • Bachcho Ko Doodh Pilaane ki Muddat Kitne Din Hai

Bachcho Ko Doodh Pilaane ki Muddat Kitne Din Hai




Bachche ko Doodh Sirf 2 (Year) Saal Tak Pilaana Chahiye
Isse Zyada Pilana Haraam Hai
Ladka ho ya Ladki Dono ko
Ye Jo Awaam Me Mash'hoor hai ki
Ladke ko 2 Saal aur Ladki ko Dhaayi Saal tak Doodh pilaana chahye Ye Bilkul Galat Tareeqa
hai
Jo ki Quraano Hadees ke khilaf
Hai


QURAAN:
Allah عَزَّوَجَلَّ Farmata hai
Maayen(Mothers)
Apne Bachcho Ko Doodh Pilaaye
Poore 2 Baras Tak
(Paara 2 Surah Al-Baqarah Ayah 233)

Ladka ho Ya ladki Dono k lie
Hukm Ek hi Hai
2 Saal Isse Zyada pilaana Gunah hai

Aur Saal ki Ginti Hijri date Yaani Chand ki Tarikh ke Hisab
Se 2 Saal Tak Doodh pilaaye

(BAHAARE SHARI'AT Jild 2 Page 36)

Doodh Pilaana 2 Saal ka
Hone Se Pahle hi
Doodh Chhudane
ki
Koshish Shuru karde Taaki Baad me
Pareshani na ho kyunki
Aksar Bachche 2 Saal ke hone k baad Fouran Doodh nahi chhod Paate Unki Adaat Dhire dhire Chhootti hai



Bachche ke Liye Maa ka Doodh Ek Behtarin Tohfa hai
Botal ka Doodh Kabi bhi Is Neymat Ka Badal
Nahi Ho Sakta
Islie Bachcho ko Hmesha Maa ka Doodh hi Pilaye
agar
Shadeed Majboori ho tab Kisi Aur Aurat Ka Ya Baher Ka Doodh Pilaye
Wo bhi thik ho tab Milawati Doodh Bachche ko Nuksan
Pahuncha Sakta hai

Doodh pilane ki Fazilat

HADEES:
Rosoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya
Koi Aurat Jab Apne bachche ko
Doodh pilati hai to har Ghoont Pilaane par Aisa Ajr o Sawab
Milta hai ki Jaise Kisi Jaandar
ko Zinda kardia ho
Fir Jab Doodh Chhudati hai to
Ek Farishta Uske Kandhe Par
Thapki Deta hai Aur Kehta hai
Apna Amal Dowara Shuru kar(Yaani Uske Gunah Bakhs Die gaye Ab Dowara Apne Nek Amal ka Agaaz kare)
[Kanzul Ummal
Hadees No.45152]


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Islami Masail
► Auraton ke MasaiL
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL


Sawal:
Doodh Pite Bachche Ka Peshab Paak Hai Ya Napaak

Jawab:
Peshab Chahe Chand mint ka hi ho Bachche ka Peshab bhi Isi tarah Napaak hai jis tarah Bade insan ka
Awaam me Ye jo mah'hooor
Hai ki Doodh pite
Bachche ka Peshab paak hota hai
Iski koi Asal nahi
(Fatawa e Hindia jild 1 page 46)


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

2 Comments

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe