SADQA E FITAR KA BAYAAN

SADQAE FITAR KA BAYAAN kise de kaise adaa karen eid ki namaz se pahle tak adaa karna zaruri

SADQA E FITAR KA BAYAAN


Hadis:
SadQah Karna Allah Ke Gazab
Ko
Bujhaata he aur Buri Mout Se Bachaata hai
(Sahih Tizmiri, jild2, Page-146, Hadis-664)



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Namaz Ke MasaiL
° Ramzano ke MasaiL
° Nikah Ke Masail
° Nabiyon Ka Bayaan
° Islami Masail


Hadis:
Allah Farmata hai
Ae Ibne Aadam (Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Aulaad)
Apna
Maal Mere Paas Jamaa Kar
 Wo Jalega Na
Doobega,
Na Chori Hoga
Main Tujhe Poora Dunga
Jb Tujhe Uski Zarurat Hogi
(Shaubul imaan, vol-3, Pag 211, Hadis 3342)

Hadis:
SadQah Buraayi Ke Sattar Darwazon Ko Band Kerta Hai,
(Al-Mojamul kabeer, vol-4, Pag 273, Hadis 4402)



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Rozah-Ke-Masail
° Rozah-Todne-Wali-Chizen
° Roza-Kisse-Nahi-Totta
° Kab-Roza-Chhor-sakte-hain
° ITIKAF KA TARIKA
° Zakaat-Ke-Masail

SADQA-E-FITAR KI TADAAT KITNI HAI


                   MAS-ALA

Har Malike Nisaab Par Apni Taraf Se Aur Apni Na Baligh Aulad Ki Taraf Se

Ek- Ek Sa-a Sadqae Fitr Dena Wajib Hai
( Durre Mukhtar Kitabul Zakaat Baab Sadqae Fitr Jild 3 Page 367 )

                   MAS-ALA


Sadqae Fitr Ki Miqdar Yeh Hai Ki

Gehun Aur Gehun Ka Aata Adha Sa-a

Aur Jaw Ya Jaw Ka Aata Ya Khajur Ek Sa-a Dein
( Fatawah Hindiyah Kitabul Zakaat Baab Ul Samin Fi Sadqatul  Fitr Jild 1 Page 191 )

                  MAS-ALA

Aala Darje Ki Tahqeeq Aur Ehtiyat Yeh Hai Ki

Sa-a Ka Wazan Chandi Ke Purane Rupae Se  351 Rupae Bhar

Aur Aadha Sa-a Ka Wazan 175 Rupae Athanni Bhar Upar Hai
( Fatawah Razwiyya Al Jadida Jild 1 Page 595 )

Aur Naye Wazan Se Ek Sa-a Ka Wazan 4 Kg. Aur Taqriban 94 Graam Hota Hai

Aur Aadhe Sa-a Ka Wazan 2 Kg. Aur Taqriban 47 Graam Hota Hai


Behtar ye hai ki 2 kilo 50 gram ke hisab se lagale
aur usko adaa kerde ya itne Paise Adaa kerde jitne ke gehun hai


                   MAS-ALA

Sadqae Fitr Dene Ke Liye Rozah Rakhna Shart Nahin

Lihaza Agar Beemari Ya Safar Ki Wajah Se Ya ( Maaz ALLAH ) Bila Uzr Apni Shararat Se

Rozah Na Rakha Jab Bhi Sadqae Fitr Dena Wajib Hai
(Durre Mukhtar Kitab Ul Zakaat Baab Sadqatul Fitr Jild 3 Page 367 )


Mas'Ala
Sadqa Fitar Waajib Hai Iska
waqt Umar Bhar
Hai,
Yaani Agar Pehle kabi bi Nahi Diya Tha To Ab De. Jitni baar nahi
dia ho
Na Dene Se Uska Hukam Saqit(Khatam) Nahi Hoga
Aur
Der Se Dega To Qaaza Bhi Nahi Kehlaega
Magar Sunnat Ye Hai Ki Namaze Eid Se Pahle Sadaqae Fitar Adaa karde
{Bahare-Shariyat, Part 5, Sadqae Fitar Ka Bayaan Page935}

Mas'ala
Eid K Din Sub'he Saadiq Hote Hi Sadq@e Fitar
Waajib Hota He

Lihaza Jo shakhs subah hone Se Pahle MarGaya Ya Gani (Sahibe Nisaab) Tha
Ab Fakeer Ho Gya,

Ya Subah Tulu Hone Ke Baad Kafir MusaLMan Hua,
Ya Baccha Peda
Hua
Ya Fakeer Tha To Gani(Maldaar) Ho Gya,
To Wajib Na Hua,



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Eimaan-Wa-Aqeede-Se-Zyada-Amal-Ko Ahmiyat Dena
° FILMi GAANON ME KUFRIYAAT
° Allah-Taala-ko-Upar-Wala-kehna-kaisa-hai


AGar Koi Subah Tuloo hone K
Baad Mara To uska Sadqaae Fitar Waajib He
Aur
Subah Tuloo HoneSe Pahle Kaafir Musalman
Hua Ya Baccha Paida Hua
Ya Fakeer Gani Hua
To in sab pe Dadqae Fitar Waajib He
(Fatawa e Alamgiri jild-1, Page 192)

Mas'ala:
Sadqae Fitar Har Musalman Azaad Maalike Nisaab
Par Jiska Nisaab Hajaate Asliya Ke ILAAWA Ho
Uspar Waajib H

Sadqae Fitr Ke Liye AAQIL (AQAL WALA) Baalig
Aur
Maal Ka Naami(Yaani uske Naam me kuchh Maal) Hona Zaroori Nahi

Na Maal Par 1 Saal Guzerna Bi Zaruri Nhi
(Durre Mukhtar, jild-3, Page_362)

Mas'ala:
Sadqae Fitar K Lie Maal Ka Baaqi Rehna B Shart Nhi

Maal Hilak(barbad) Hua Tab Bhi Sadqaa Dena waajib
Rahega
(Durre Mukhtar jild-3, Page 366)

Masla:
Sadqae Fitar K Lie Roza RAkhna bhi Shart Nahi
Kisi Uzar Majboori
Ya Safar
Ya Marz
Ya Budhaape Ki Wjah Se
Ya Bila Wjah Roza Chod Dia Tb Bhi Waajib hai
(Bahare-Shariyat Part-5
Page 936)

MasAla:
Sadqae Fitar Unhi Ko Dia Jae Jinhe Zakaat Di Jaati He

Jinhe Zakaat Dena Jayeez Nhi Unhe Sadqae Fitar Bi Nahi De Sakte
(Durre Mukhtar
 jild-3 Page 379)


JabTak Sadqae-Fitr
Adaa Nhi Kiaa Jaata
Bande Ka Roza Zameeno Aasmaan Ke
Darmiyaan Latka Rahta Hai
(Hadees Kanzul Ummal vol-8)

jabtak Banda Sadqae Fitar
Adaa Nhi karta tabtak
Uska Rozah Qubool nahi hota
{Sunni Bahishti Zewar}

QURAAN:
Aye Imaan Waalo Humne(Allah)
Ne jo tumko Rizaq Diya hai
Us mese Kharch Karo
(Surah-Baqarah Aayat-254 Paara 2)



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Magrib-Aur-Ishaa-ki-Namaz-Ka-Time Kabtak
° Namaz me Takbir Khade Hokar Sunna Kaisa
° Namaz Ki Sharton Ka Bayaan
° Namazi-k-Saamne-se-Guzarna-Mana-hai Hatna Nahi
° 5 WAQT NAMAZ ME SUSTI KARNA AUR WAZIFE PADNA


Sadqa Is Tarah Gunaaho
Ko bujhaa deta hai jaise
Pani Aag ko bujhaa deta hai
(MISHKAT Sharif vol-1 Page-14)


Sadaqa-Fitar
Bivi Ne Agar Bager  SHAUHAR Ki
Ijaazat ke
Shohar Ka Fitra Adaa KarDiya To Adaa Na Hua
{RAD'DUL MUKHTAAR}



Mard Maalike nisAab par apni taraf se aur apne chhote bacche ki taraf se sadqa-efitar Dena waazib hai

jabtak bachcha khud Sahibe nisaab naa ho Aur Maa Par khud apna sadqae Fitr waazib hai
 jabki maalike nisab ho
Chhote baccho ki tarafvse sadqae Fitr dena Maa par waazib nahi
(Raddul mohtar)

Aaqil Balig hona sadqae fitr me shart(Zaroori) nahi
To Nabaalig ya pagal agar malike nisaab hai
to unpar sadqa-efitra waazib
hai
unka wali(Zimmedar) unke maal se adaa kare
(Raddul mohtar)

Eid k din Subeh Saadiq hote hi Sadqae Fitar har Musalman malike nisaab mard,Aurat par jiski nisab hazate Asliya se faarig ho
Unpar
waazib hota hai aur Sunnat ye
hai kee Eid-ki-Namaz se pahle adaa kardiya jaaye
(Sunni Bahishti Zevar)



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° बगैर रुमाली के पाज़ामें या जांघिये को को पहन कर नमाज़ पड़ना
° अच्छी बाते अमल करो
° गेैर ज़रूरी जाहिलाना सवालात
° ग़ैर मुस्लिमो से गोश्त मँगाने का मसअला


Note:

Maalike Nisaab kise kehte hain?


Maalike nisaab wo shakhs Kehlata hai
jiske Pas itni Rakam ya zevar ho
jispar Zakaat Waajib hoti hai
jiski mikdar
7.5 Tola sona Ya 52.5 tola chandi
ho ya Chandi ke Barabar Qeemat
ho
Yaad Rahe Agar Apke pas 2 Gram
bhi sona hai aur kuchh Paise hai
Jinki Qeemat milakar 52.5 Tola chandi ke barabar hoti hai to
Wo bhi Naalike Nisaab Kelata hai
Aur Zakaat bhi Adaa karna Uspar Waajib hai
Chandi ki Qeemat Nayi ki Nahi purani ke Hisaab se Lagayi
Jaegi Aap Sunar dukan par
Rate Maloom karle ki kis Rate me Puraani
Chandi le Rahe hai wo



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Eid-Ki-Namaz Ka Mukammal Tareeqa
° Eid-Ke-Baad-6-Roze-Rakhne Ka Sawab


Note:

Hajaate Asliya Kise Kehte hain ?


Hajaate Asliya wo ghar ka samaan kehlaata hai
jisko hum Apne istemal me lete hai
jisko hum bechne ki niyat se nahi kharidte jo
Hanari Zarurat ka Samaan hota hai
Jaise Car, cycle, Rehne ka Ghar
Baratne ke Samaan khane Banane ke bartan
Aur bhi Saari Aisi chizi jinko hum
Apne Ghar me istemal me Laate hai
wo Hajaate Asliya Kehlate hai
inpar zakaat nahi hoti


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments