TARAWIH KE ZARURI MASAIL

TARAWIH KE ZARURI MASAIL:


(1)
Trawih Har Aaqil Wa Balig Mard
Aur
Aurat Ke Liye Sunnate Muakkda Hai
(DURRE MUKHTAAR Jild 2 Page 493)
Iska Tark (Chhorna) Jaiz Nahi

(2)
Isha Ke Farz Wa Vitar Ke Baa'd Bhi Trawih Pdhi Jaa Sakti Hai
(AD DURRUL MUKHTAR Jild 2 Page 494)
Jaisa Ki Baa'z Awqat 29 Ko Ruyate Hilaal Ki
Shahaadat Milne Me Taakhir Ke Sabab Aisa Ho Jata Hai

(3)
Bila Uzar Trawih Baith Kar Pdhna Makruh Hai
Balki
Baa'z Fuqahae Kiram Ke Nazdik To Hoti Hi Nahi
(AD DURRUL MUKHTAR Jild 2 Page 499)

(4)
Trawih Masjid Me Ba Jma'at Ada Krna Afzal Hai
Agar Ghar Me Ba Jma'at Ada Kee To
Tarke Jma'at Ka Gunah N Huva
Magar
Voh Sawab N Milega Jo Masjid Me Padhne Ka Tha
(AALMGIRI Jild 1 Page 116)

tarawih ke zaruri masail


Isha Ke Farz Masjid Me Ba Jma'at Ada Kar Ke
Ghar Ya Hall Vgaira Me Trawih Ada Kijiye
Agar Bila Uzre Shari Masjid Ke Bjae Ghar
Ya Hall Vgaira Me Isha Ke Farz Ki Jma'at
Qaaim Kar Lee To Tarke Wajib Ke Gunahgaar Honge
Jo Log Ghar Ya Hall Ya Bangale Ke Compound Vgaira Me
Trawih Ki Jma'at Qaaim Karte Hai


Aur
Qarib Masjid Maujud Hai To Un Par Bhi Wajib Hai Ki
Pahle Farz Rak'ate Jma'ate Ula Ke Saath Masjid Me Ada Kre
Jo Log Bila Uzre Shari BaVujude Qudrat
Farz Namaz Masjid Me Jma'ate Ula Ke Saath Ada Nahi Krte
Unko Dar Jana Chahiye Ki Sarkare Madina ﷺ Ka
Frmane Ibrat Nishan Hai



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Rozah-Ke-Masail
° Rozah-Todne-Wali-Chizen
° Roza-Kisse-Nahi-Totta
° Kab-Roza-Chhor-sakte-hain

"Jis Ko Yeh Pasand Ho Ki Kal ALLAH T'AALA Se
Musalman Hokar Mile To Voh In Pancho Namazo (Ki Jma'at)
Par Vahaa Paabandi Kre Jahaa Azan Dee Jati Hai
Kyu Ki
ALLAH ﷻ Ne Tumahare Nabi ﷺ Ke Liye
Sun-ne Huda Mashru' Kee Aur Yeh Ba Jma'at Namaze Bhi
Sun-ne Huda Se Hai Aur Agar Tum Apne Gharo Me
Namaz Padh Liya Kro Jaisa Ki Yeh Pichhe Rahne Wala
Ghar Me Padh Leta Hai To Tum Apne Nabi Ki
Sunnat Chhor Doge
Aur
Agar Apne Nabi Ki Sunnat Chhoroge To
Gumraah Ho Jaoge
(MUSLIM SHARIF Jild 1 Page 232 Hadis 257)

(5)
Na Baalig Imam Ke Pichhe Sirf Na Baaligaan Hi
Trawih Padh Sakte Hai

(6)
Baalig Ki Trawih (Balki Koi Bhi Namaz Htta Ki Nafal Bhi)
Na Baalig Ke Pichhe Nahi Hoti

(7)
Alag Alag Masjid Me Trawih Padh Sakta Hai
Jab Ki Khatme Qur'aan Me Nuqsaan N Ho
Maslan 3 Msajid Aisee Hai Ki In me Har Roz
Sava Parah Pdha Jata Hai To Tino Me
Rozana Baari Baari Jaa Sakta Hai

(8)
Agar 27vi Ko (Ya Is se Pahle) Qur'aane Paak
Khatm Ho Gaya Tab Bhi Aakhiri Ramzan Tak
Trawih Pdhte Rahe Ki Sunnate Muakkda Hai
(AALMGIRI Jild 1 Page 118)

(9)
Baa'z Muqtadi Baithe Rahte Hai
Jab Imam Ruku Karne Wala Hota Hai
Us Waqt Khade Hote Hai
Yeh Munafiqin Ki Mushaabahat Hai

Chunanche Qur'aane Paak Me Irshaad Hota Hai

TARJAMA KANZUL IMAN-
Aur(Munafiq) Jab Namaz Ko Khade Ho To Haare Jee Se
(SURE NISA Aayat No 142)

Farz Ki Jma'at Me Bhi Agar Imam Ruku Se Uooth Gaya To
Sajdo Vgera Me Fauran Sharik Ho Jaae
Niz Imam Qa'dae Uoola Me Ho Tab Bhi
Uske Khade Hone Ka Intizaar N Kre Balki Shaamil Ho Jae
Agar Qa'dah Me Shaamil Ho Gae
Aur
Imam Khada Ho Gaya To  Atthiyyat Puri Kiye Bigair N Khade Ho
(BAHAARE SHARIAT Hissa 4 Page 36, GUNAYTUL MUTMALI Page 410)

(10)
Ramzan Sharif Me Vitr Jma'at Se Pdhna Afzal Hai
Magar
Jisne Isha Ke Farz Bigair Jma'at Ke Pdhe
Voh Vitr Bhi Tanha Padhe
(BAHAARE SHARIAT Hissa 4 Page 36)

(11)
Ek Imam Ke Pichhe Isha Ke Farz
Dusre Imam Ke Pichhe Trawih
Aur
Tisre Imam Ke Pichhe Vitr Padhe Isme Haraj Nahi

(12)
Hazrate Syyiduna Umar Faruqe Aazam(Radiyyalahu Anhu)
Farz Wa Vitr Ki Jma'at Krvate The
Aur
Hazrate Syyiduna Ubay Ibne Kaa'b (Radiyyalahu Anhu)
Trawih Pdhate
(AALMGIRI Jild 1 Page 116)



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° CHAAND-DEKHNE-KA-BAYAN
° Radio-Taar-Telephon-ki-Khabar-Par-Chand Maan lena kaisa
° Eid-Ki-Namaz Ka Mukammal Tareeqa
° Eid-Ke-Baad-6-Roze-Rakhne Ka Sawab


TARAWIH ME AISA MAT KARNA!:

Baa'z Muqtadi Baithe Rahte Hai
Jab Imam Ruku Karne Wala Hota Hai
Us Waqt Khade Hote Hai
Yeh Munafiq Ki Mushaabahat Hai

Chunanche Qur'aane Paak Me Irshaad Hota Hai

TARJAMA KANZUL IMAN-
Aur (Munafiq) Jab Namaz Ko Khade Ho To Haare Jee Se
(SURE NISA Aayat No 142)

Farz Ki Jma'at Me Bhi Agar Imam Ruku Se Uth Gaya To
Sajdo Vgaira Me Fauran Sharik Ho Jaae
Niz Imam Qa'dae Ula Me Ho Tab Bhi
Uske Khade Hone Ka Intizaar Na Kre Balki Shaamil Ho Jae
Agar Qa'dah Me Shaamil Ho Gae
Aur
Imam Khada Ho Gaya To  Atthiyyat Puri Kiye Bigair Na Khade Ho
(BAHAARE SHARIAT Hissa 4 Page 36, GUNAYTUL MUTMALI Page 410)

Is Paigaam Ko Aam Kijiye
INSHA ALLAH
Kyi Muqtadi Hazraat
(Jo Trawih Me ruku Ke Intizaar Me Baithe Rahte Hai Unki
Islaah Hogi)

GUZARISH
>In Msgs Ko Dusro Tak Aam Kijiye
>Msgs E Mail,Mobile,Daayri Vgairah Me Save Kar Lijiye
>Munasib Msg Masjid Ke Bord Par Likh Kar Sawab Kmaiye

BRAAHE KARAM IS PAIGAAM KO DUSRO TAK AAM KIJIYE


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namaz Ki Sharton Ka Bayaan
° Salatut-tasbih-ki-Namaz Ka Tarika
° Farz,Wajib,Sunnat,Makruh,kya hai


ISLAMI BAHANE BHI TARAWIH ADA KRE:

Trawih Har Aaqil Wa Balig Musalman
Mard Aur Aurat Ke Liye Sunnate Muakkda Hai
(DURRE MUKHTAAR Jild 2 Page 493)
Iska Tark (Chhorna) Jaiz Nahi
Lihaza
Aurte Bhi Apne Apne Gharo Me Namaze Trawih Ada Kre

AFSOS!
Fee Zmana Kyi Islami Bahane Trawih Nahi Padhti Hai
YAAD RAKIHIYE
Unhe Bhi Iska Tark Krna(Chhorna) Jaiz Nahi

Tmam Se Arz Hai Ki Apne Ghar Ki Islami Bahano Ko
Trawih Ada Karne Ki Taakid Kre


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments