MAAHVAARI AUR NIFAAS ME ROZE KE MASAIL

MAAHVAARI AUR NIFAAS ME ROZE KE MASAIL:

>>> Haiz (Maahvaari, M.C)
Ya Nifaas (Yaani Bachcha Hone Ke Baa'd Jo Khun Aata Hai)
Ki Haalat Me Namaz,Roza Hram Hai
Aur
Aisee Haalat Me Namaz Wa Roza Sahih Hote Hi Nahi
(BAHAARE SHARIAT Hissa 2 Page 88, 89)

>>> In Dino Me Namaze Muaaf Hai Inki Kza Bhi Nahi
Albatta
Rozo Ki Kza Dusre Dino Me Rakhna Farz Hai
(BAHAARE SHARIAT Hissa 2 Page 102 DURRE MUKHTAR Jild 1 Page 532)

>>> Roze Ki Haalat Me Agar Haiz Wa Nifas Shuru Ho Gaya To
Voh Roza Jaata Rahaa Uski Kza Rakhe,
Farz Tha To Kza Farz Hai Aur Nafal Tha To Kza Wajib Hai
(BAHAARE SHARIAT Hissa 2 Page 104)



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Rozah-Ke-Masail
° Rozah-Todne-Wali-Chizen
° Roza-Kisse-Nahi-Totta
° Kab-Roza-Chhor-sakte-hain

KYA AAP JANTE HO?
IBTIDAAYI DAUR ME SAHRI KI IJAZAT NA THI!!

Ibtida'an Raat Ko Uooth Kar Sahari Krne Ki Ijazat N Thi
Roza Rakhne Wale Ko Gurube Aaftaab Ke Baa'd
Sirf Us waqt Tak Khane Pine Ki Ijazat Thi
Jab Tak Voh So Na Jae.
Agar So Gaya To Ab Bedar Hokar Khana Pina Mmnu' Tha
Magar
ALLAH Ne Apne Pyare Bando Par Ehsaane Azim Frmate Hue
Sahari Ki Ijazat Marhamat Farma Dee
Aur Iska Sabab Yoo Huva Jaisa Ki Khzainul Irfan Me
Sadrul Afazil Hazrate Allama Maulana Sayyid
Muhammad Naimuddin Murad'aabadi (Rahmatullahi alayh)
Naql Karte Hai:



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° CHAAND-DEKHNE-KA-BAYAN
° Radio-Taar-Telephon-ki-Khabar-Par-Chand Maan lena kaisa
° Eid-Ki-Namaz Ka Mukammal Tareeqa
° Eid-Ke-Baad-6-Roze-Rakhne Ka Sawab

SAHARI KI IJAZAT KI HIKAYAT:

Hazrate Sayyidyna Sarma Bin Qais (Radiyallahu Anhu)
Mehnati Shakhs The.Ek Din Ba Haalate Roza
Apni Zamin Me Din Bhar Kaam Kar Ke Shaam Ko Ghar Aae
Apni Zaujae Mohtarma (Radiyallahu Anhu) Se
Khana Talab Kiya
 Voh Pkane Me Masruf Huee.


Aap(Radiyallahu Anhu)Thake Hue The,
Aankh Lag Gaee.Khana Taiyyar Kar Ke Jab
Aap (Radiyallahu Anhu) Ko Jgaya Gaya To
Aap (Radiyallahu Anhu) Ne Khane Se Inkaar Kar Diya
Kyu Ki Un Dino (Gurube Aaaftaab Ke Baa'd)
So Jane Wale Ke Liye Khana Pina Mamnu' Ho Jata Tha.
Chunanche
Khaae Piye Bigair Aap (Radiyallahu Anhu) Ne
Dusre Din Bhi Roza Rakh Liya
Aap (Radiyallahu Anhu)Kamzori Ke Sabab Behosh Ho Gae
(TAFSIRAL KHAAZIN Jild 1 Page 126)
To Inke Haq Me Yeh Aayate Muqaddsa Naazil Huee

TARJAMA QURAN
Aur Khaao Aur Piyo
Yahaa Tak Ki Tumhaare Liye Zaahir Ho Jae
Sapedi Ka Dora Siyahi Ke Dore Se Po Fat Kar
Fir Raat Aane Tak Roze Pure Karo
(PAARAH 2 AL BAQRAH 187)

Is Aayate Muqaddsa Me Raat Ko Siyaah Dore Se
Aur
Subahe Sadiq Ko Safed Dore Se Tashbih Dee Gaee
Maa'na Yeh Hai Ki Tumhare Liye Ramzanul Mubarak Ki
Raato Me Khana Pina Mubaah (Yaa'ni Jaiz)
Qraar De Diya Gaya Hai
(TAFSIRE KHZAINUL IRFAN)


Is Se Yeh Bhi Maa'lum Huva Ki Roze Ka
Azane Fajar Se Koi T'alluq Nahi Yaa'ni
Fajar Ki Azan Ke Dauran khane pine Ka Koi Jvaz Hi Nahi
Azan Ho Ya N Ho, Aap Tak Aawaz Pahunche
Ya N Pahunche Subahe Sadiq Hote Hi
Aap Ko Khana Pina Bilkul Hi Band Krna Hoga

New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments