HUZoor Sallallahu Alaihi Wasallamka Laqab UMMI hai

"UMMI LAQAB"
HUZOOR ﷺsallallahu Alaihi Wasallam
ka laqab UMMI hai
Is laqab ke do ma'ane hain
>
Ya toh yeh "Umm ul Kura" ki taraf nisbat hai. "Umm ul Kura" Makka Mukarrama ka laqab hai
>
lihaaza UMMI ka ma'ana Makka Mukarrama ke rehne wale.
>
Ya UMMI ka yeh ma'ana hai ki Aap ﷺ ne duniya mein kisi insaan se likhna padhna nahi sikha.
Yeh
HUZOOR ﷺ ka bohat hi Azeem-o-Shaan mo'ajeza hai ki,
duniya mein kisi ne bhi
Aap ﷺ ko nahi padhaya likhaya magar,
KHUDA WAND E QUDDUS ne Aapﷺ  ko iss qadar ILM ata farmaya ki,
>
Aap ﷺ ka seena awwaleen wa aakhireen ke uloom wa ma'aref ka khazana ban gaya aur Aap ﷺ per aisi Kitaab naazil hui jiski shaan Har cheez ka roshan bayaan.
>
Hazrat Maulana Jaami Rehmatullah Alaih ne khoob farmaya hai:
>
"Mere Mehboob naa kabhi maktab(madarsa) mein gaye
Naa likhna seekha,
Magar apne Chashm e Abroo ke ishaare se, Sekdo'n ustaado ko sabak padha diya."
>
Zaahir hai ki, jiska ustaad aur taaleem dene wala khallak e Aalam Jall-Jalal ho, bhala isko kisi aur Ustaad se taaleem hasil karne ki zaroorat hogi ?
>
Aala Hazrat, ne Irshad farmaya:

"Aisa UMMI kis liye minnat kash e Ustaad ho,
Kya kifayat usko Iqra Rabbul Akram nahi."

Qur'an E Qareem mein RAB Ta'ala Irshad farmata hai:

"Aur tumhe sikha diya jo kuch tum naa jaante the, Aur ALLAH ka tum per bada fazal hai."
[Surah Al-Nisa, Aayat No:113]

AAP KE "UMMI LAQAB" HONE KA HAQEEQI RAAZ KYA HAI ?

Isey to Allah Ta'ala ke siwa aur kaun bata sakta hai.

Lekin Ba-Zaahir iss mein chand hikmatein aur fawayed maloom hote hain:-

☆Tamaam duniya ko ilm wa Hiqmat sikhane wale HUZOOR E AQDAS ﷺ ho aur Aap ka ustad sirf KHUDA WAND E AALAM hi ho.

☆Koi insaan Aap ﷺ ka ustaad naa ho, ki kabhi koi yeh naa keh sake ki Paigamber E Aazam ﷺ toh mere padhaye hue shaagird hain.

☆Koi shaqs kabhi bhi yeh khayaal naa kar sake ki, falaa'n aadmi HUZOOR ﷺ ka ustaad hai toh shayad yeh in se zyada ilm wala hoga.

☆HUZOOR ﷺ ke baare mein koi yeh wehem
bhi naa kar sake ki, HUZOOR ﷺ chunke padhe likhe hain,
to
isliye inhone khud hi Qur'aan Shareef ki aayato'n ko apni taraf se bana kar pesh kiya hai
aur Qur'an Shareef inhi ka banaya hua Qalaam hai.

☆Jab HUZOOR ﷺ saari duniya ko kitaab wa hiqmat ki taalim dein toh koi yeh naa keh sake ki, pehli aur poorani kitabo'n ko dekh kar iss qism ki anmol aur inqilaab aafre taalimaat duniya ke saamne pesh kar rahe hain.

☆Agar HUZOOR ﷺ ka koi ustaad hota,
 to Aap ko iss ki taazim karni padhti.
Haala'nke HUZOOR ﷺ ko
Khaleek E Qainaat
ne
isliye paida farmaya taaki saara aalam
HUZOOR E AQDAS ﷺ ki taazim karein.
Is liye ALLAH Tabarak Wa Ta'ala ne is ko gawaara nahi kiya ke Mera Mehboob kisi ka
shagird bane aur koi uska ustaad ho.
Reference:-
Seerat E Mustafa ﷺ


For More Msgs Click This Link
          www.diniraah.in
    
.
Baraye Karam Is Paigham Ko uu ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments