Nikah Qurano Hadees ki Roshni me


MAQASIDE NIKAH
QURAAN KI ROUSHNI ME..

Nikah karna ibadath hai
bashart ye k niyyat achhi
ho,
HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki pyaari
sunnath per amal karna
madsood ho,
Quraan e paak ki aayate
muqaddisa me nikah k
maqasid ko nihayat wazeh
andaaz me bayaan kiya
gaya hai,
Is taalluq se chandh aayate
mulaihiza kare:
AUR ISKI NISHANIYO SE HAI
TUMHARE LIYE TUMHARE HI
JINS SE JODE BANAYE KE INSE
AARAAM PAO, AUR TUMHARE
AAPAS ME MOHABBATH AUR
RAHMATH RAKHI BESHAK
ISME NISHANIYA HAI
DHYAAN KARNE WALO KE
LIYE.
(Surah Room : Aayat 21)

WOHI HAI JISNE TUMHARI EK
JAAN SE PAIDA KIYA AUR
ISME ISKA JODA BANAYA KE
ISSE CHAIN PAYE
(Surah Aa’raaf : Aayat 189,
Tarjuma Kanzul Imaan
Shareef)


ALLAH NE TUMHE BANAYA
MITTHI SE PHIR PAANI KI
BOONDH SE PHIR TUMHE
KIYA JODE JODE
(Surah faatir : Aayat 11,
Tarjuma Kanzul Imaan
Shareef)
ASMANO AUR ZAMEEN KA
BANANE WALA TUMHARE
LIYE TUMHI ME SE JODE
BANAYE AUR NAR WA
MAADA CHOUPAYE
(Surah Shu'raa : Aayat 11,
Tarjuma Kanzul Imaan
Shareef)
Mazkura aayate karima se
wazeh hota hai ke zoujiyat
qudhrate ilahiya ka
shoukaar hai,
RABB taala ye pasand nahi
farmata k be zawaaj rahe,
tanha rahe,
Is liye RABB taala ne awwal
al bashar sayyidna ADAM
alaihisalaam ko tanha na
rahne diya balke inke baad
sabse pahle hazrath
HOUWWA alaihisalaam ko
paida farmaya aur jab
insaan ne is zameen per
qadam rakha to wo 2
qadam nahi 4 qadam the,
tanha nahi zawaaj the,
Aur jannath se aane wala
insaan jab jannath me
jayega to waha bhi joda hi
hoga,
Jaisa k farmaane baari taala
hai:
BESHAK JANNTH WALE AAJ
DIL LE BAHLAO ME CHAIN
KARTE HAI WO AUR INKI
BIWIYA SAAYO ME HAI,
TAQTO PER TAKIYA LAGAYE
HUE
(Surah yasin : Aayat 55/56)

Insaan to insaan hai ALLAH
taala ne tamaam ashiyaa ka
joda banaya hai,
Jaisa k farmaane baari taala
hai:
HAMNE HER CHEEZ KE JODE
BANAYE HAI KE TUM DHYAAN
KARO
(Surah Thaariyaat : Aayat
49, Tarjuma Kanzul Imaan
Shareef)
.
MAQASIDE NIKAH
HADEESE KARIMA KI ROUSHNI
ME :
.
Nikah isliye karna taake
HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki pyaari
sunnath per amal hojaye to
ye ibadath hai lekin agar
khwaahishate nafsi ki
taklmeel ke liye nikah kare
to nikah to bahre haal
hojayega magar sawaab se
mahroom rahega,
Abwo hadees mulaihza
farmaye jin me ALLAH
azzawajal k pyaare HABIB
ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι
ωαѕαℓℓαм ne nikah k
maqasid ko wazeh lafzo me
bayaan farmaya hai:
NASLE INSAANI KI FARAASH
KI NIYYAT SE NIKAH KARE :
Hazrath ABUDAWOOD ba
riwayat Hazrath Mu’aqal bin
Yasaar Radhiallahu tahla
anha bayaan karte hai ke
HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne
irshad farmaya:
Mohabbath karne wali
bachhe paida karne wali
aurat se nikah karo kyu ki
mai tumhare kasrat tedaad
ke baa as (baroze qayamat)
dusri ummato per faqr
karunga.
(Abu Dawood Shareef
Hadees 2052)
.
GUNAHO SE BACHNE KI
NIYYAT HO:
Hazrat ABDULLAH BIN
MASOOD Radhiallahu tahla
anha bayaan karte hai ke
HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne
irshad farmaya:
Aye jawano: tum me se jo
ghar basane ki taaqat
rakhta ho wo nikah kare
kyu ki ye nazro ko jhukata
hai aur sharmjaho ko
mahfooz rakhta hai aur jo
iski taaqat na rakhta ho wo
roza rakhe kyu ki isse
khwashe nafsi marti hai.
(Muslim Shareef Hadees
3464)
.
Her insaan ke andar
khwahishate nafsi audiyat
kardi gayi hai, ab insaan k
samne jinsi khwahishat ki
takmeel ke liye makuha
biwi ka hona zaruri hai,
basurat digar aur gunaho
ka martakab hoga KHUDAE
jabbar ke ghazab ka
mustahiq hoga lihaza
istetaat hone ki surat me
nikah karlena chahiye taake
duniya aur aaqirat ki
ruswayio se bach sake.
.
.
NIKAH MERI
SUNNATH HAI:
.
ADAYE SUNNATH KI NIYYAT
SE NIKAH KARE
Hazrath ABU Huraira
Radhiallahu tahla anha
irshad farmate hai:
Jo meri sunnath se aaraza
kare, wo mere tariqe per
nahi.
(Bukhari Shareef Hadees
5063, Muslim Shareef
Hadees3469)
.
Aur ek hadees shareef me
hai, Jo mujh se mohabbath
karta hai ise meri sunnath
per amal karna chahiye
beshak nikah karna meri
sunnath hai
(Kanzul A’amaal Hadees
44413)
.
Is hadees pak me HUZOOR
ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι
ωαѕαℓℓαм ne nikah ko apni
sunnath qaraar diya hai aur
nikah karne per tarqheeb
aur na karne per tahyeed
sunayi hai.
HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne
irshad farmaya:
"Nikah Meri Sunnat Hai"
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no
1913, Safa 518)
.
Hazrat Sahal bin sa'ad
Radhiallahu tahla anha se
riwayat hai ke HUZOOR
ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι
ωαѕαℓℓαм ne irshad
farmaya:
"Nikah karo chahe (Mehr
dene ke liye) Ek Lohe ki
Anguthi hi ho
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa
80, Hadees no 136)
.
Aur irshad farmate he
PyareAAQA ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм:
"Bande ne jab Nikah kar liya
to Aadha Deen Mukammal
ho jata hai
Ab baki aadhe ke liye ALLAH
Ta'ala se daro"
(Mishkat shareef, Jild 2,
Hadees no 2962, Safa 72)

MOHABBATH KE LIYE
NIKAH SABSE ACHHA TARIQA:
.
Hazrat Abdullah Ibne Abbas
Radhiallahu tahla anha se
riwayat hai ke HUZOOR
ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι
ωαѕαℓℓαм ne irshad
farmaya:
Mohabbath karne walo ke
liye nikah se badh ker koi
cheez tumne nahi dekhi.
(Ibne Majah Shareef Hadees
1920)
.
Ghour kijiye ke nikah se
pahle tak do aise log ke
inme ek dusre ko jaanta hi
nahi tha, kisi khaandan ka
mard aur kisi khaandan ki
aurat , ek arabi dusra ajami,
ek ashyayi dusre faraqi, jab
sharyi nikah hojata hai to
ek dusre per nisar hojata
hai aur ulfath wa
mohabbath wo rang laati
hai ke zindagi bhar saath
nahi chodhta,
Nikah ke zariye jo taalluq
paida hota hai wo lamhati
aur waqti nahi balke
daayim hota hai.
.
.
BARKAT WALA NIKAH
Ummul momineen Hazrat
Ayesha siddiqa Radhiallahu
tahla anhuma se riwayat
hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne
irshad farmaya:
BADI BARKAT WALA NIKAH
WO HAI JISME BOJ KAM HO.
(musnad ahmed, hadees
24583, safa 360)
.
HAKEEM UL UMMAT hazrat
moulana mufti ahmed yaar
khan alaihirahma , maraa
tul manaajhe me is hadees
k tahet likhte hai,
Yaani jis nikah me farqeen
ka kharch kam karaya jaye ,
mahr bhi mamuli ho, jahez
bhaari na ho, koi janib
maqrooz na hojaye, kisi
taraf se shart na ho,
ALLAH azzawajal ke
tawakkal per ladki dijaye
wo nikah bada hi ba barkat
hai, aisi shaadi khaana
aabadi hai,
Aaj ham haraam rasmo se,
behuda riwajo ki wajah se
shaadi ko khaana aabadi
balke khaanha (yaani bohat
saare gharo ke liye baa as )
banalete hai,
ALLAH pak is hadees shareef
per amal ki toufeeq de-
aameen
(maraa tul manaajhe, jild 5,
safa 11)

NIKAH KAHA KARNA
CHAHIYE ?
.
Ummul momineen Hazrat
Ayesha siddiqa Radhiallahu
tahla anhuma Hazrat Anas
Bin Malik, Hazrat Abdullah
ibne umar Radhiallahu tahla
anhum se riwayat hai ke
HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne
irshad farmaya:
"Apne Nutfe (Shaadi ke liye)
Achchi jagah talash karo.
apni Biradri me Byaah ho,
aur Biradri se byaah karlo ki
Aurate Apne hi Kunbe ke
Mushaba (Milte hue
Bachche) Janti hai"
(Ibne Maja Jild 1, Hadees no
2038, Safa 549, Bayhaqi
Shareef wa Haaqim)
.
Hazrat imam Bukhari
Radhiallahu tahla anhu
Riwayat karte hai ki
"Aur Must'hab (Behtar) Hai
ke apni Nasl ke liye Behtar
Aurat chune Lekin ye Wajib
nahi"
(Bukhari sharif Jild 3, Bab no
41, Safa 56)
.
Hazrat Abuhuraira wa
Hazrat Jaabir Radhiallahu
tahla anhum se Riwayat Hai
Ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne
irshad farmaya:
"Aurat se 4 chizo ki wajahse
nikah kiya jata hai
1. Uska Maal
2. Husn wa Jamal
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar hone ki
wajah se.
Lekin tu Deendar Aurat Ko
Hasil Kar"
(Bukhari shareef Jild 3, Safa
59, Tirmizi shareef, Jild 1,
Safa 555)
.
HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne
irshad farmaya:
"Aurato se unke Husn ke
sabab shaadi na karo ho
sakta hai uska Husn tumhe
Tabah kar de, na uske Maal
ki wajah se shaadi karo ho
sakta hai ke unka Maal
tumhe gunaho me Mubtela
kar de,Balki Deen ki wajah
se nikah kiya karo,
Kali,Chapti,Bad -surat Londi
agar Deendar ho to Behtar
hai"
(Ibne maja, Jild 1, Hadees no
1926, Safa 522)
.
Dua ki guzarish
.
NIKAH KARNE KE BE
SHUMAR FAIDE HOTE HAI
AYIYE DALTE HAI EK NAZAR :
.
Nikah k bohat saare fawaid
hai yaha kuch ka zikr
iqtesaran kiya jaata hai,
.
1. Nikah karne se nazro ki
hifazat, paak damani aur
gunaho se bohat had tak
mahfooz hojata hai
.
2. Nikah karne se HUZOOR
ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι
ωαѕαℓℓαм Ki ek azeem o
pyaari sunnat ada hoti hai
.
3. Neik aulad duniya aur
aaqirat dono me kaam
aayegi
.
4. Nikah ke zariye jo aulad
hogi in ki achhi tarbiyat
karke deen o millat ke
istehkaam ke liye inka
istemaal kar sakta hai
.
5. Aulad ki wajah se
HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki
seerate taiyyiba ke is hisse
per amal ka mouqa mil
sakta hai jis ka taalluq aulad
se hai
.
6. ALLAH azzawajal aur uske
pyaare HABIB ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ke wo
ahkaam wa farmudaat jin
ka talluq aulad se hai, aulad
ki wajah se in ahkaam wa
farmudaat per amal ka
zariye mouqa milta hai
.
7. Insaan jab budha hojata
hai aise mouqe per aulad
sahara banti hai
.
8. Bachho ki kafalat ki
zimmedari ke sabab insan
ke dil me zyada se zyada
kamane aur mahnet karne
ka jazba paida hota hai
.
9. Aulad ki wajah se insan
muashre me alag thalag
nahi rahta balke isko izzath
ki nigah se dekha jaata hai
.
10. Agar aulad daras gahe
sunni me fout hojaye to
maa baap ki shafaat karegi
.
11. Neik biwi insan ki
zindagi k tamaam
malumaat me rafeeq hoti
hai, moharam raaz hoti hai,
gham ghusar hoti hai
.
12. Zahni aur jismani khurb
jis qadr insan ko apni biwi
se hota hai kisi aur se nahi
hota.
(Sharhey Sahih Muslim
Summary by Allama Gulam
Rasool Sa’eedi)
.
13. Nikah ke fawaid me ye
bhi hai ke waldain ko aulad
ki parwarish shafqat uthana
padhti hai aur ye baat ajr-e
azeem hai,
Hazrat abdullah bin
mubarak Radhiallahu tahla
anha ek din jihad me
shareek the to us halat me
apne sathiyon se farmaya,
ke tum jante ho ke koi aisa
bhi amal hai jo hamare is
jihad wale amal se bhi
fauqeeyat rakhta ho aur
baaise ajr ho,
Doston ne arz ki huzoor
baayan farmaye,
Tab aap ne farmaya ,wo
jihad se afazal amal ye hai
ke kisi musalman ke
bachche ho,un bachchon ko
raat sote me kapdhe utar
jata hai to baap meethi
neend chhodh kar un
bachchon ko sanbhal ta
hai,unko kapdhe se dhanpta
hai aur ye amal is jihad
wale amal se afazl hai.
(subhan ALLAH)
.
14. HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne
irshad farmaya, ALLAH pak
jannat me kisi momin
bande ke darje buLand
karta hai to wo banda arz
karta hai,ya ALLAH pak ye
mere darje kis wajah se
buland kiye gaye hai?
ALLAH pak farmata hai ,aye
bande tere bete tere liye
duwa aur isal sawab kiya
hai us wajah se tere darje
buland kiye gaye hai.
Isse maloom huwa ke insan
ek aulad chhodh jaye to ye
bahut bada ina’am hai aur
ye se nikah ke samrat me se
hai.
.
15. Hazrat umar
Radhiallahu tahla anha ka
qaul hai imaan ke bad nek
aurat se bahtar koi nemat
nahi hai.
.
16. Nikah ke fawaid me se
ye bhi hai ke shaadi ke baad
agar insan badkari aur bad
nigahi se bachna chahe to
ba aasani bach sakta hai-
Hazrat abdullah bin masood
Radhiallahu tahla anha se
riwayat hai ke HUZOOR
ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι
ωαѕαℓℓαм ka irshad hai,
aye najawano jo koi tum
me se nikah karne ki taqat
rakhta hai to use chahiye ke
wo shaadi kare kyu ke
shaadi karne se bad nigahi
aur bad kari se bach jaata
hai,agar kisi ko nikah ki
taqat na ho to wo roze
rakhe kyu ke roze bachao
ka zaria hai.
.
17. khuwaja abu talib kitab
(quwwatul quloob )me
naqal karte hai ke jab aurat
ke saath uska shauhar
khelta hai usko muhabbat
karta hai to usko itni
nekiyan milti hai jitni ALLAH
ko manzoor hai,
Aur jab dono gusl karte hai
to ALLAH pak paani ke har
qatre se ek farishta paida
karta hai jo qiyamat tak
ALLAH pak ki tasbeeh bayan
karta hai aur us tasbeeh ka
sawab dono khawind beevi
ko ata karta hai.
(Subhan ALLAH)



For More Msgs Click This Link
           www.diniraah.in
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments