HAZRATE KHADEEJA Radiyallahu Anha

Ummul Mo’mineen Hazrate Khadeejatul Kubra radi-Allāhu ta’ala anha :

Aap ki wilaadat 555 A.D. me hui.

Aap ke waalid ka naam Khuwailid ibn Asad aur waalida ka naam Faatimah bint Za'idah hai.

Aap Banu Quraish se ta’alluq rakhti hain.

Aap ne bachpan se hi kabhi but parasti nahi ki.

575 A.D. me aap ki waalida ka inteqaal hua.

****************
Aap ka pehla Nikaah Abu Halah Malak bin Nabash al-Tameemi ke saath hua jis se aap ko 2 bete hue : Halan aur Hind; aur us ke baad dusra nikaah Ateeq bin Ais bin Abdullāh al-Makhzumi ke saath hua jis se aap ko 2 aulaade hui : 1 beta Abdullāh aur 1 beti Hind.

****************
585 A.D. me Aap ke waalid ke inteqaal ke baad aap ne apne waalid ka kaarobaar samhala.

Aap bahot sakhi thi. Aur ghareebo aur mohtaajo ko aur rishtedaaro ko madad karti thi.

Ek baar aap ne apne makaan ke baala-khaane par se dekha ke Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam guzar rahe the aur Huzoor ke sar par ek baadal saaya kar raha tha aur aap ke saath chal raha tha.

Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko apni sachai aur amaanatdaari se ‘Saadiq’ aur ‘Ameen’ ke alqaab mile the.

Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko apni bakriyo ki nigraani ke liye rakha. Aap ne dekha ke bakriyo me barkat hone lagi aur wo doodh bhi zyada dene lagi

Phir Hazrate Khadeeja ne tijaarat ke liye Shaam ki taraf ek kaafila bheja to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko us kaafile ke zimmedaar aur mukhtaar banakar bheja. Aap ne apne khaadim Maysarah ko aap ke saath rehne ke liye kaha.
Jab kaafila Makka waapis aaya to Maysarah ne aap ko dauraan e safar ki chand khaas baaten batai. Us ne bataaya ke ‘Safar ke dauraan aap ke upar ek baadal saaya karta tha jo har waqt aap ke saath rehta tha.
Aur ek maqaam par ek girija ke Paadri Nestora ne Maysarah ko bulakar puchha ke ‘Us darakht ke neeche jo shakhs baitha hai wo kaun hai?’ Maysarah ne bataaya ke ‘Wo hamara saathi Muhammad ibn Abdullāh hai. Magar aap us ke baare me kyun puchh rahe hain?’ To us ne kaha ‘Is darakht ke neeche Hazrate Eisa alaihis salaam baith karte the. Un ke baad aaj tak koi shakhs is darakht ke neeche baitha nahi hai. Aaj taweel arse ke baad is shakhs ko maine is darakht ke neeche baitha hua dekha hai. Mumkin hai ke ye nabi ho.’ Nestora ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ta’azeem wa takreem ki.
Phir ek maqaam par ek darakht ke neeche kaafile ne wukoof kiya to waha paani na hone ki wajah se kaafile ko pareshaani hui to Maysarah ne aap ko arz kiya. Aap ne dua ki to ghaib se aawaaz aai ke thoda door chaah khodo. Aap ne waisa hi kiya to paani nikla jo saaf aur meetha tha.
Phir aage safar me raaste me kai beemaar oont pade hue mile jin ke badan me keede pad gaye the. Aap ko raham aaya aur aap ne apna daste mubarak un phera to wo sahi tandurast ho gaye.
Phir mulk e Shaam pahunchkar tijaarat ka maal bechkar bahot munaafa haasil kiya aur waha se maal kharidkar Makka waapas pahunche aur munaafa e tijaarat Hazrate Khadeeja ko diya.

Ye sab baaten sunkar Hazrate Khadeeja bahot khush hui.

Aap bahot nek aur paarsa aurat thi.
Aap ke Husn o Jamaal aur Aql o kamaal aur maal ki wajah se Quraish ke bade bade sardaar aap se nikaah karna chaahte the. Magar aap ne inkaar kiya.

Ek baar aap ne khwaab me dekha ke aasmaan se sooraj neeche utarkar aaya hai aur un ka ghar roshan ho gaya hai. Aap ne ye sab apne chachazaad bhai Waraaqa bin Nawfal ko bataaya to unho ne kaha ke ‘Ye bahot acha khwaab hai aur ye is baat ki nishaani hai ke ek aisa shakhs tumhari zindagi me aane wala hai jis ke noor se tumhari zindagi roshan hogi.’

Is ke baad aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki fufi Safiyya (jo aap ke bhai Awwaam bin Khuwailid ki biwi thi) se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Husn e akhlaaq aur kirdaar ke baare me majeed maaloomaat haasil ki.

Phir aap ne apni saheli Nafisa binte Umayya ke saath Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko nikaah ke liye paigaam bheja.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Abu Taalib se aur khaandaan ke dusre buzurgo se mashwara kiya.

595 A.D. me Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam 4 miskaal sona maher ke saath aap se nikaah kiya.
Us waqt aap ki umr 40 saal aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki umr 25 saal thi.

Aap ne apni tamaam milkiyat Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko de di. Aur un ki marzi ke mutaabik maal ko khiaraat karte rahe.

Aap Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ki pehli Zauja e mohtarama hain.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aap se bahot mohabbat karte the.
Aap ki hayaat me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne kisi dusri aurat se nikaah nahi kiya.

Aap ke baare me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai
‘(Jis tarah) Apne zamaane ki behtareen aurat Maryam hain aur apne zamaane ki behtareen aurat Khadeeja hain.’

*******************
610 A.D. me jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko Ghaar e Hira me ibaadat e ilāhi me masroof the tab Hazrat Jibreel alaihis salaam ne hukm e ilāhi se Wahi lekar waha tashreef laaye aur aap ko padhne ke liye farmaaya aur jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke ‘Main padhna nahi jaanta.’ Tab Hazrat Jibreel alaihis salaam ne un ko pakadkar apne seene se lagaakar dabaaya tab aap ko paseena hone laga. Phir Hazrat Jibreel alaihis salaam ne aap ko Surah al-Alaq ki 5 aayaten sikhaai.
Surah al-Alaq, Aayat 1 se 5 :
‘Apne Rab ke naam se padho jis ne (har cheez ko) paida farmaaya. Us ne insaan ko (shikame maadar me) junk kitarah moallaq wajood se paida farmaaya. Padho aur aap ka Rab bada hi kareem hai. Jis ne qalam ke zariye ilm sikhaaya. Jis ne insaan ko wo sikha diya jo wo nahi jaanta tha.’
Is ke baad jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kaanpte hue apne ghar tashreef laaye aur Hazrate Khadeeja ko lihaaf (chaadar) odhaane ke liye kaha.
Phir jab aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se tamaam ahwaal suna to aap ne tasalli di ke ‘Aap Rab ta’ala ke nek bande hai. ALLĀH aap ki hifaazat farmaega.’
Phir aap ne apne chachazaad bhai Waraaqa bin Nawfal ko tamaam baaten batai. Waraaqa bin Nawfal Taurāt aur Injeel ke aalim the. Unho ne bataaya ke ‘Ye wohi farishta hai jo Hazrate Moosā alaihis salaam ke paas aaya tha. Kaash main Hazrate Mohammad sallallāhu alaihi wa sallam ki nabuwwat ka zamaana paata to un par eimaan laata.’

Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam jab chaadar odhkar baithe the tab Hazrate Jibreel alaihis salaam phir se wahi lekar aaye.
Surah al-Muddassir, Aayat 1 se 3 :
‘Aye chaadar odhne wale (nabi). Utho aur (logo ko ALLĀH ka) dar sunaao. Aur apne Rab ki badai (aur azamat) bayaan farmao.’

Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne posheeda taur par logo ko Islaam ki daawat dena shuru kiya.

Aap ne (aurto me) sab se pehle Islaam apnaaya. Aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath namaaz padhna aur ibaadat karna shuru kiya.

Ahle Makka ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko takleef dena shuru kiya tab aap har haal me saath rahe aur hosla dete rahe.

***************

Aap ke 2 sahabzaade aur 4 sahabzaadiya hain.

Saahabzaade :
Qaasim, Abdullāh.

Saahabzaadiya :
Zainab, Ruqayya, Umm Kulsoom, Faatima Zahra.

♦ In ke ilaawa aap ke ghar me 2 dusre bacho ki bhi parwarish hui : Hazrate Ali ibn Abu Taalib aur Zaid ibn Haarisa.

**************
Aap ka wisaal 10 Ramazaan 10 Nabawi (619 A.D.) ko 65 saal ki umr hua.

Aap ka mazaar Jannatul Mualla, Makka mukarrama hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ummul Mo’mineen Hazrate Khadeejatul Kubra radi-Allāhu ta’ala anha aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz muraado ko puri farmae.
Aameen

For More Msgs Click This Link
           www.diniraah.in
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments